Corona Virus Ke Khauf Se Gharo Me Namaaz Ada Karna


Corona Virus Ke Khauf Se Gharo Me Namaaz Ada Karna

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab.​

Baaz Khaliji Mamalik Jin Me Saudi Arab Bhi Shaamil Hai Waha Hukoomat Ki Jaanib Se Masaajid Me 5 Waqta Aur Namaaz E Jum'a Par Pabandi Lagaane Se Awaami Halqa Me Aksar Yah Sawaal Ghum Raha Hai Ke Kya Aysa Karna Thik Hai Kya Quraan Aur Hadees Ki Roshni Me Masjid Band Karne Aur Faraaiz Gharo Me Ada Karne Ki Gunjaaish Hai?
Awaam Ke Darmiyan Mazkoorah Sawaal Ka Ghumna Fitri Kaam Hai Kuy Ke Yah Ibaadat Ka Mamla Hai Is Silsile Me Social Media Par Mukhtalif Qisam Ki Tehreer Padhne Ko Mili Pakistan Ke Chand Ulma Ki Muttafiqa Qaraar Daad Bhi Nazar Se Guzri Un Sab Baato Ko Samne Rakhte Hue Is Masale Ko Kitaab Aur Sunnat Ki Roshni Me Waazeh Karne Ki Koshish Kar Raha Hu Allaah Taala Mujhe Haq Ki Taufeeq De.
Islaami Taaleemaat Me Mushaqqat Ke Waqt Aasaani Ikhtiyaar Karne Aur Khatraat Aur Nuqsaanaat Ke Waqt Ahtiyaati Tadaabeer Apnane Ka Hukam Diya Gaya Aur Apni Jaano Ko Halaakat Me Dalne Se Man'a Kiya Gaya Hai. Is Silsile Me Bahut Sari Daleele Hai Jo Umooman Musalmaano Ko Maaloom Hai Bilkhusus Aysa Koi Bhi Rasta Ikhtiyaar Karna Jis Se Halaakat Ka Andesha Bhi Ho Mamn'u Hai. Saudi Arab Ki Fatwah Commety"هيئة كبار العلماء Ne Mashwarah Ke Baad Fatwah Jaari Kiya Hai Ke Corona Virus Ke Andesha Ke Paish E Nazar Yaha Ki Masaajid 5 Waqt Aur Namaaz E Jum'a Ke Liye Band Rakhi Jaae Gi. Is Faisla Ki Wajah Se Arab Ke Mashaaikh Aur Hukoomat E Arab Par Kuch Log Wawela Aur Na Munasib Baate Karte Nazar Aa Rahe Hai Iska Hindustaan Aur Pakistan Ya Duniya Ke Kisi Mulk Se Talluq Nahi Hai Fir Logo Ka Is Fatwah Par Wawela Karna Khususan Muqqallido Ka(Jin Ke Fatawah Ki Buniyaad Arab Nahi Apne Chune Hue Imaam Ki Baate Hai) Qaabile Afsos Hai. Aap Apne Ilaaqe Me Corona Virus Se Mehfooz Hai To Apni Masaajid Khuli Rakhe,Saudi Hukoomat Aap Ko Apni Masaajid Band Karne Ka Hukam Nahi Deti Hai.
Raha Masala Sharai Nuqta E Nazar Se Kya Wabaai Bimaariyo Ke Khauf Se Masaajid Ki Bajaae Gharo Me Faraaiz Ada Kar Sakte Hai Ke Nahi?
Uska Jawaab Yah Hai Ke Alag Alag Hadeeso Se Hame Maloom Hota Hai Ke Shadeed Baarish Ya Tez Aandhi Toofaan Ki Wajah Se Logo Ko Apne Gharo Me Namaaz Ka Hukam Diya Ja Sakta Hai. Chunacha Abdullaah Bin Umar RA Ne Ek Thandi Aur Barsaat Ki Raat Me Azaan Di Fir Ayse Pukaar Kar Keh Diya《الا صلوا في رحال》 Ke Logo Apni Qiyaam Gaaho Par Hi Namaaz Padh Lo Fir Farmaya:
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يأمر المؤذن إذا كانت ليلة ذات برد ومطر يقول الا صلوا في الرحال.(صحيح البخاري:666)
Tarjumah:Nabi SAV Sardi Aur Baarish Ki Raato Me Muazzin Ko Hukam Dete The Ke Woh Elaan Kar De Ke Logo Apni Qiyaam Gaaho Par Hi Namaaz Padh Lo.
Isi Tarah Sahih Bukhaari 668 Me Mazkoor Hai Ke Ek Martaba Abdullaah Bin Abbaas RA Ne Juma Ke Din Khutba Sunaya Aur Baarish Aur Keechad Ki Wajah Se Muazzin Ki Yah Hukam Diya Ke Azaan Me Aaj《حى على الصلاة》Ki Jagaah Ayse Pukaar Do《الصلاة في الرحال》Ke Namaaz Apni Qiyaam Gaaho Par Hi Ada Kar Lo.
Jab Logo Ne Aap Ke Is Amal Par Tajjub Kiya To Unhone Kaha:
كانكم انكرتم هذا ان هذا فعله من هو خير مني يعني النبي صلى الله عليه وسلم انها عزمة واني كرهت ان اخرجكم.
Tarjumah: Aysa Maloom Hota Hai Ke Tum Ne Shayad Is Ko Bura Jana Hai Aysa To Mujh Se Behtar Zaat Yani Rasool SAV Ne Bhi Kiya Tha Beshak Jum'a Waajib Hai Magar Me Ne Yah Pasand Nahi Kiya Ke 《حى على الصلاة》 Keh Kar Tumhe Baahar Nikaalu《Aur Takleef Me Mubtila Karu》.
Aur Hammad Aasim Se Woh Abdullaah Bin Haaris Se Woh Ibne Abbas RA Se Isi Tarah Rivayat Karte Hai Albatta Unhone Itna Aur Kaha Ke Ibne Abbaas RA Ne Farmaya:
كرهت ان اؤثمكم فتيجئون تدوسون الطين إلى ركبكم.
Tarjumah:Mujhe Achcha Maloom Nahi Hua Ke Tumhe Gunehgaar Karu Aur Tum Is Haalat Me Aao Ke Tum Mitti Me Ghutno Tak Aaloodah Ho Gae Ho.
Sahih Bukhari Ki In Dono Hadees Par Gaur Kare To Maaloom Hota Hai Ke Baarish Aur Keechad Ki Wajah Se Basti Aur Muhalle Ke Sare Log Masjid Ki Bajaae Apne Apne Gharo Me Namaaz Ada Kar Sakte Hai Yah Allaah Ki Taraf Se Bando Ke Liye Aasaani Hai Taaki Mashaqqat Se Bacha Jaa Sake,Islaam Aasaani Ka Naam Hai In Ahaadees Se Ek Aham Nuqta Yah Samjh Me Aa Raha Hai Ke Jab Sirf Jismaani Mashaqqat Ki Wajah Se Shariat Hame Shadeed Baarish Ke Waqt Gharo Me Namaaz Ada Karne Ki Ijaazat Deti Hai To Jaha Jaan Ka Khatrah Ho Waha Gharo Me Namaaz Ada Karna Badarja Awla Jaaiz Hoga Balke Ham Ne Ibne Abbaas RA Ke Amal Ko Dekha Ke Unhone Baarish Ki Wajah Se Namaaz Jum'a Se Bhi Logo Ko Roka Aur Apne Gharo Me Namaaz Ada Karne Ka Hukam Diya Aur Is Amal Ko Sunnat E Rasool Bataya Jaan To Badi Chiz Hai Usko Halaakat Me Dalne Se Sakhti Ke Sath Man'a Kiya Gaya Hai Aur Corona Virus Se Jaan Ka Khatrah Hai Is Wajah Se Saudi Arab Ka Yah Qadam Sunnat Ke Khilaaf Nahi Hai. Aur Chand Baate Niche Darj Zail Hai.
*Corona Virus Ke Khauf Se Sirf Unhi Maqaamaat Ke Log Apne Gharo Me Namaaz Ada Kare Jaha Iska Khatrah Hai Aur Jo Ilaaqe Mamoon Hai Waha Wale Masaajid Me Faraaiz Ka Ahtimaam Kare.
* Jo Log Yah Shak Paida Kar Rahe Hai Ke Corona Virus Ke Mareez Ali Masaajid Se Door Rakha Jaae Lekin Masaajid Band Na Ki Jaae. Onion Kha Kar Masjid Aane Wale Ya Bimaar Camle Ko Sahat Mand Oont Se Door Rakhne Ki Daleel Paish Karte Hai. Is Baat Ke Liye Me Bayan Karna Chahta Hu Ke Corona Virus Ibtidaai Taur Par 14 Din Tak Uski Alamat Zaahir Nahi Hoti Ayse Me Ek Mareez Bhi Khood Ko Achcha Hi Samjhe Ga Aur 14 Dino Me Kitno Ko Bimaari Ki Lapet Me Le Le Ga,Nez Kuch Log Adaawat Me Jaan Bujh Kar Virus Phaila Big Sakte Hai Is Liye Khususan Saudi Arab Jo Puri Duniya Ke Musalmaano Ka Markaz Hai Usko Tamam Khadshaat Aur Khatraat Se Mehfuz Rakhna Be Had Zaroori Hai. Ek Shakhas Jis Ke Mutalliq Yaqeeni Taur Par Maloom Hai Ke Is Ko Vabaai Bimaari Hai Us Se Doori Ikhtiyaar Ki Jaa Sakti Hai Jaisa Ke Nabi SAV Ne Ek Majzoom Se Bait Nahi Ki Lekin Jab Logo Ke Bare Me Maloom Hi Na Ho Ke Kon Bimaar Hai Aur Kon Nahi Waha Masale Ka Hal Yahi Hai Ke Logo Ko Jama Hone Se Roka Jaae.
* Jo Log Yah Kehte Hai Ke Corona Ke Khauf Se Masaajid Band Karna Aur Gharo Me Namaaz Padhna Imaan Ki Kamzori Hai Aur Yah Allaah Par Bharosa Ke Khilaaf Hai Unse Arz Hai Ke Jaha Halaakat Ka Dar Ho Waha Halaakat Se Bachne Ke Liye Ahtiyaati Tadaabir Apnana Na To Imaan Ki Kamzori Hai Aur Na Hi Bharosa Ke Khilaaf Hai. Is Se Na To Namaaz Ki Ahmiyat Ghatti Hai Aur Na Hi Yah Fareeza Saaqit Hota Hai,Namaaz To Kisi Haal Me Maaf Hi Nahi Hai Fir Namaaz Padhne Wala Khood Ko Kamzor Imaan Wala Kaise Keh Sakta Hai Aur Uska Bharosa ALLAAH Par Kaise Barqaraar Nahi Reh Sakta? Kya Tadbeer Ikhtiyaar Karna Bharosa Ke Manaafi Hai Aur Kya Waqti Taur Par Chand Din Gharo Me Namaaz Ada Karne Se Imaan Kamzor Ho Jaae Ga? Hargiz Nahi. Dar Asao Kodhi Se Bhaagne Ka Hukam E Nabvi Tadbeer Hi Hai Jo Bharosa Ke Khilaaf Nahi Hai Aur《 صلوا في الرحال》 Uzar Ke Waqt Sahaba Ka Amal Hai Jo Imaan Ki Kamzori Nahi Hai.
Allaah Hame Har Qisam Ki Bimaari Se Bachaae Khususan Aaj Ke Pur Fitan Daur Me Hamaare Imaan Ki Hifaazat Farmaae Aur Imaan Par Hi Khatma Naseeb Farmaae. Aameen
 
Top