Umar Asari

Administrator
Staff member
Cigarette (Tambaaku) ko bechna

❅Sawaal:❅
Tambaaku peene aur bechne ke baare mein kya hukm hai?

◈Jawaab:◈
Tumbaaku peena bhi haraam aur us ki khareed o farokht karna aur tambaaku aur Cigarettes bechne walon ko apni shops rent par dena bhi haraam hai kiunki yeh gunaah aur sarkashi ke kamon mai ta'awun hai aur is ki hurmat ki daleel Allah Taala ka yeh farmaan hai:
وَلَا تُؤْتُوا السُّفَهَاءَ أَمْوَالَكُمُ الَّتِي جَعَلَ اللَّهُ لَكُمْ قِيَامًا​
Tarjumah: Be-aqal logon ko apna maal na de do jis maal ko Allah Taala ne tumhaari ma'eshat ke qaaim rakhne ka zariya banaya hai.
(Surah An-Nisa, Sarah No: 4, Ayat No: 5)

Is ayat se istedlaal yeh hai ke Allah Taala ne hamein is baat se mana farmaya hai ke hum be-aqlon ko maal den kiunki be-aqal us mein aisa tasarruf karega jis mein faida na ho aur Allah Taala ne is maqaam par yeh bhi bayan farmaya hai k yeh maal deeni o dunyawi maslihaton ke husool ka zariya aur logon ke liye ma'eshat ka sabab hai aur is maal ko tambaaku aur Cigarettes mein kharch kar dene mein na deen ka faida hai aur na duniya ka, lehaza us mein kharch karna us maqsad ke munaafi (mukhaalif) hai jis ke liye Allah Taala ne usey paida farmaya hai is ki hurmat ki ek daleel yeh irshad e baari Taala bhi hai:
وَلَا تَقْتُلُوا أَنْفُسَكُمْ​
Tarjumah: Aur apne aap ko halaak na karo.
(Surah An-Nisa, Sarah No: 4, Ayat No: 29)

Is Ayat e karima se istedlaal yeh hai ke Tibb aur medical science ne yeh sabit kar diya hai ke tambaaku aur Cigarettes peena aisi muhlik (halaak karne waali) beemariyon ka sabab banta hai jo insan ko maut ke muh mein gira deti hain masalan cancer ka ek bada sabab bhi huqqa aur cigarettes noshi hai to tambaaku noshi karne waala ek aisi cheez ko istemal karta hai jo halakat ka sabab hai is ke haraam hone ki ek aur daleel yeh irshad Bari Ta'ala bhi hai:
وَكُلُوا وَاشْرَبُوا وَلَا تُسْرِفُوا ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُسْرِفِينَ​
Tarjumah: Aur khaao aur piyo aur hadd se mat niklo. Be-shak Allah hadd se nikal jaane waalo ko pasand nahi karta.
(Surah Al-A'raaf, Surah No: 7, Ayat No: 31)

Is ayat e kareema se istedlaal is tarah hai ke jab Allah Ta'ala ne mabaah (jaaiz) cheezon mein bhi israaf yani hadd se badh kar kharch karne se mana farmaya hai to ek aise kaam mein maal kharch kerna to bil-awla mana hoga jis mein koi faidah na ho.

Is ki hurmat ki ek daleel yeh bhi hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne maal barbaad karne se mana farmaya hai.
(Dekhen: Sahih Bukhari: 5975, Sahih Muslim: 593)

Aur is mein koi shak nahi ke tambaaku aur Cigarettes khareedne mein maal sarf (kharch) karna maal ko barbaad karna hai, kiunki kisi befaida kaam mai maal sarf (kharch) karna bilashuba usey barbaad karna hi hai. Is ki hurmat ke agerche aur bhi bahut se dalaail hain lekin aqaldmand k liye to kitab o sunnat ki sirf ek daleel hi kaafi hoti hai.

Is ki hurmat ki aqli daleel yeh bhi hai ke kisi bhi aqalmand ko yeh bat zeb nahi deti ke woh kisi aisi cheez ko ikhtiyaar kare jo us ke liye nuqsaan aur beemari ka sabab bane aur phir us mein maal bhi kharch hota ho kiunki aqalmand to apne jism aur maal ki hifaazat karta hai aur us mein kotaahi sirf wohi karta hai jis ki aql aur samjh bojh mein nuqs ho. Is ki hurmat ki doosri aqli daleel yeh hai ke jab usey cigarettes nahi milti to us ka seena tang ho jaata hai afkaar e preshan ka ghalba ho jaata hai aur cigerette peene waale ko ibadat khusoosan roza rakhna bahut mushkil mehsos hota hai kiunki tulu e Fajr se guroob e aftaab tak cigerette chorna usey bahut mushkil maloom hota hai aur agar rozah garmi ke mausam ke lambe dino ka ho to phir cigerette peene waala roze ko intihaayi na-pasandeeda nigaahon se dekhta hai lehaza main apne musalman bhaiyon ko aam taur se aur cigarettes peene mein mubtala logon ko khaas taur se yeh naseehat karta hun ke woh cigarettes aur tambaaku peene se mukammal taur par bachen us ki khareed o farokht bhi na karen aur us ka karobaar karne walon se bhi rent par shop dene ya kisi bhi aur surat mein hargiz hargiz ta'awun na karen.
☘Shaikh Ibn e Uthaimeen☘
✹Fatawa Islamiyah✹

واللہ اعلم بالصواب​
 
Top