BID'ATI SE TUABAH KI TUAFEEQ CHHEEN LEE JAATI HAI.


Shona shaikh

Active member
BID’ATEE SE TAUBAH KI TAUFEEQ CHEEN LI JAATI HAI

Anas (رضي اللّٰه عنه) Se Marfoo’an NaQaL Kiya Gaya Hai,

[Ke RasooL ALLAAH (صلّى اللّٰه عليه و سلّم) Ne Farmaaya]:
إِنَّ اللّٰهَ احْتَجَزَ التَّوْبَةَ عَنْ صَاحِبِ كُلِّ بِدْعَةٍ​
“ALLAAH Ta’aLa Ne Har Bid’atee Se Taubah Ko Parde Mein Rakha Hai.”

SiLsiLatuL-Ahaadeesus-Saheehah, I’Lm Sunnat Aur Hadees Nabawee (صلّى اللّٰه عليه و سلّم), JiLd: 3, Urdu Page No. 34, Hadees: 2445
[Takhreej: As-Saheehah (1620), Tabaraanee FiL-Ausat (4214)]


FAWAAID: Gunaahgaar Kabhi Na Kabhi Gunaah Chord Kar (Agar ALLAH Ne Chaaha To) Raah e Raasat Par Aa Jaata Hai. Magar Bid’atee Choonki Bid’at Ko Deen Aur Sawaab Samajh Kar Karta Hai Is Liye Us Ko Saari Zindagee Bid’at Se Taubah Naseeb Nahin Hoti.

Balki Shaitaan Bhi Bid’atee Ka Madadgaar Hota Hai Aur Aaye Din Bid’at Ko Tarweej (Promote) Wa Tash-heer (Advertisement) Milti Rahti Hai. Jis Tarah Ke Hamarey Mulk Mein Eid Meelaad Un-Nabi Ka JuLoos, Gyaarahween Shareef Ka Khatam Aur Deegar Bid’aat Ko Bada Maqaam Haasil Hai.

Log Usi Ko Deen Samajhtey Hain Aur Un Bid’ati Umoor (Kaamon) Ko Apney Liye Nijaat Ka Zariya Samjhtey Hain.
 
Last edited:
Top