BE-SANAD AQWAAL SE ISTEDLAAL GHALAT HAI !


BE-SANAD AQWAAL SE ISTEDLAAL GHALAT HAI !
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.69, page:2-4)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Imam Abdullah Bin Mubarak al-Marwazi rahimahullah (Mutawaffa:181 Hijri) ne farmaaya:

(( يَقُولُ الإِسْنَادُ مِنَ الدِّينِ وَلَوْلاَ الإِسْنَادُ لَقَالَ مَنْ شَاءَ مَا شَاءَ ))
"Isnaad(sanadain) Deen mein se hain, aur gar sanden nah hotin to jo shakhs jo kuch chaaht kahta."(Sahih Muslim, Muqaddimah, Hadis No[Darussalam]:32 aur is ki sanad SAHIH hai)

Hafiz Abu Nasar Ubaidullah Bin Sayeed Bin Hatim al-Waayili al-Sajzi –Hanafi- (Mutawaffa:444 Hijri) ne farmaaya:

فكلّ مدع1 للسنّة يجب أن يطالب بالنقل الصحيح بما يقوله، فإن أتى بذلك عُلِم صدقه، وقبل قوله،
"Pass har har shakhs jo sunnat(maan'ne) ka muddayi(dawedaar) hai, ye zuroori hai ke woh jo kahta hai us ke bare mein us se Sahih Sanad ka mutalibah kya jaye phir woh agar ye (Sahih Sanad) pesh karde to us ki ki sachchayi maloom hojate hai aur us ki baat qobool ki jaati hai."(Risalah Al-sajzee 'Iilaa 'Ahl Zabid Fi Al-raddi Alaa Min 'Ankar Al-harf Wal-sawt, page:146)

Is se do baatein maloom howi:
1)Har riwaayat aur har hawaale keliye Sahih o Maqbool Sanad pesh karni chahiye.
2)Be-sanad riwaayat aur be-sanad hawalah mardood hota hai.

Hum ne maahnaamah AL-HADIS Hazro aur apni taazah tasaaneef mein ye meyaar qaayim kya hai ke har baat baa-hawalah aur baa-sanad hoti hai.

Agar riwaayat Sahih o Maqbool hoto us se istedlaal kyajata hai, warna usey radd kardiya jaata hai. AL-HAMDULILLAH

Yeh woh khaas manhaj hai jis mein dunya ka koi insaan bhi maahnaamah AL-HADIS ka muqabilah nahi karsakta, masalan ZARWALI KHAN DIOBANDI ne "AHSAN-UL-MAQAAL FI KARAHIYATO SIYAAMON SITAT-USH-SHAWWAL naami mazmoon mein ye dawa kyat ha ke SHAWAAL ke che(6) Rozon ke bare mein "Hazrat Abu Hanifah se bhi mutabar fatawa aur kutb-e-mazhab mein karaahat manqool hai…." (Ahsan-ul-Maqaal, page:24, neez Dekhiye page:34-36)

Is ke jawaab mein Raqim-ul-Horoof(Zubari Ali Zai rahimahullah) ne likha tha:"Shawwal ke che roozon ko makrooh yaa mammon samajhna imam abu hanifah se baa-sanad saabit nahi hai. Zar Wali Deobandi ne fiqah ki kitabon se jo kuch naqal kya hai wo be-sanad hone ki wajah se mardood hai.(Maahnaamah AL-HADIS:50/48)

Ek deobandi ne TASHIH-UL-AQWAAL FI RADDI SAHIHUL AQWAAL ke unwaan se ek mazmoon likha: (maahnaamah al-Ahsan, Safar, 1430 Hijri, page:22-33) magar elhaadi waghairah gaalion ke ilaawah imam abu hanifah se ek Sahih Sanad bhi pesh nahi ki, jis se Shawwal ke che rozon ka makrooh yaa mamno hona saabit hota ho. Itni azeem shikast ke baad ye loog Ahle Hadis ko gaaliyaan nah den to kya karen?!

Sarfaraaz Khan Safdar Deobandi ne likha hai:"Aur Imam Bukhari rahimahullah ne apne istedlaal mein unke asar ki koi sanad naqal nahi ki aur be-sanad baat hujjat nahi hosakti."(Ahsan-ul-Kalaam:1/327, Dosra nuskha page:403)

Jab Imam Bukhari ki Be-sanad baat hujjat nahi hosakti to kotob-e-fiqah ke be-sanad aqwaal kis tarah hujjat hosakte hai?!

TASHIHUL-AQWAAL naam rakhne se be-sanad aqwaal kabhi hujjat nahi hosakte.

Ek aur shakhs ne qurbani ke chaar din saabit karne keliye Allama Nawawi, Hafiz Ibn Al-Qaiyyim aur Shokani ke be-sanad hawale pexh karke ye manwaane ki koshish ki ke Syidina Ali raziallahu-anhu, Syidina Abdullah Bin Omer raziallahu-anhuma aur Syidina Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma qurbaani ke chaar dino ke qaayil the.

Yeh zahir hai ke be-sanad aqwaal to mardood hote hain lihaaza woh apne is mazmoon mein sakht naakaam rahe.

hamari taraf se aam elaan hai ke agar koi shakhs hamare manhaj ko madd-e-nazar rakh kar daleel se jawaab de to hum us jawaab ko tasleem karenge aur elaaniyah rujoo karenge.

Rahe be-sanad aqwaal aur hawale yaa kitaab o sunnat o ijmaa aur jamhoor Salaf Saliheen ke khilaaf "TAHQIQAT" ya "TADQEEQAAT" to inhe kon sunsakta hai aur ilmi maidaan mein inki waq'at hi kya hai?!

Imam Shafayi rahimahulla ne farmaaya:
"Jo shakhs hujjat (daleel aur sanad) ke baghair ilm talab karta hai, is ki misaal aisee hai jaisa raat mein lakdiyaan akhtti karne wala, jo lakdiyan othaakar lejara hai un lakdion mein zahrilaa saanmp (bhi) hai, jo usey dass lega aur usey pata bhi nahi hooga."(Al-Mud'khil Ilaa Kitaab al-Akeel lil-Hakim, page:28, aur is ki sanad SAHIH hai)

(29/November/2009)
 
Top