Bandon Ko Sab Se Ziyadah Ummid Dilaane Wali Aayat

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab​

Allaah Ki Mukammal Kitaab Quraan e Hakeem Bandon Ke Liye Sukoon Ka Zariya Hai, Hidayat Ka Samaan Hai Aur Zindagi Ke Har Mod Par Unhein Ummid Dilaati Hai. Is Liye Us Se Talluq Mazboot Rakhne, Sab Se Pyaara Banaane ,Padhne, Padhaane Aur Zindagi Me Utaarne Ki Zaroorat Hai. Hamein Jab Bhi Be Chaini Mehsoos Ho Allaah Ka Kalaam Padhen, Pareshaani Ka Saamna Ho Kalaam e Ilaahi Ki Tilaawat Karen, Khauf Aur Dahshat Ka Manzar Ho Zikr e Khaaliq Se Dil Aur Zabaan Ko Tar o Taazah Karen Yani Hamein Kabhi Mayus Hone Ki Zaroorat Nahi Hai Chaahe Haalat Kuch Bhi Hon. Aakhir Hamara Koi Khaaliq Hai Woh Sab Kuch Dekh Aur Sun Raha Hai, Sab Ki Nigraani Karne Wala Hai, Sab Ki Zarooratien Puri Karne Wala Hai, Rozi Roti Se Le Kar Zindagi Ka Har Samaan Dene Wala Hai To Ham Kyun Mayus Hote Hain. Jab Ke Allaah Ne Hamein Har Tarah Ki Pareshani Se Nikalne Ka Rasta Batlaya Hai, Achchai Aur Buraai Ki Pehchaan Di Hai, Imaan Aur Kufr Ka Farq Diya Hai, Ek Roshan Deen Aur Khuli Kitaab Di Hai Jis Ke Har Kalime Mein Roshni, Ummid Aur Hidaayat Hai.
Mumkin Hai Doosre Mazaahib Mein Maayusi Ki Ta'leem Di Gai Ho Magar Islaam Mein Is Ko Koi Jagah Nahi Di Gai Hai, Balke Maayusi Aisa Gunaah Hai Jo Kufr Tak Le Jaata Hai Aur Kabhi To Aadmi Kaafir Bhi Ho Jaata Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
وَلَا تَيْأَسُوا مِن رَّوْحِ اللهِ ۖ إِنَّهُ لَا يَيْأَسُ مِن رَّوْحِ اللهِ إِلَّا الْقَوْمُ الْكَافِرُونَ​
Tarjumah: Aur Allaah Ki Rehmat Se Maayus Na Ho Yaqeenan Rab Ki Rehmat Se Maayus Wahi Hote Hain Jo Kaafir Hote Hain.
(Surah Yousuf: 87)

Dusri Jagah Allaah Ka Farmaan Hai:
قَالَ وَمَن يَقْنَطُ مِن رَّحْمَةِ رَبِّهِ إِلاَّ الضَّآلُّونَ​
Tarjumah: Kaha Apne Rab Ki Rehmat Se Na-Ummid To Sirf Gumraah Aur Behke Huwe Log Hi Hote Hain.
(Surah Al-Hijr: 56)

Is Silsile Mein Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
الكبائرُ: الشِّركُ باللهِ، والإْياسُ من رَوْحِ اللهِ، و القُنوطُ من رَحمةِ اللهِ​
Tarjumah: Allaah Ke Sath Shirk Karna Aur Uski Rehmat Se Na-Ummid Hona Kabeerah Gunaah Hai.
(Sahih ul Jami: 4603)

Yani Allaah Ki Rehmat Se Maayusi Khuli Gumraahi Hai. Yah Raasta Gumraah Aur Kaafir Hi Ikhtiyaar Karta Hai, Agar Koi Muslim Mayusi Ka Shikaar Hai To Woh Gunaah e Kabeerah Ka Murtakib Hai Aur Use Taubah Karna Laazmi Hai.
Quraan e Hakeem Ka Har Page Aur Har Line Bandon Ke Liye Raahat Ka Samaan Hai. Hai Koi Jo Quraan Padh Kar Aur Samjh Kar Dekhe? Hai Koi Jo Apni Bimaariyon Ka Ilaaj Is Kitaab Mein Talash Kare? Taarikh Gawaah Hai Jis Ne Bhi Quraan Ko Apni Zindagi Ka Hissa Banaya Uske Hisse Mein Kaamiyabi Hi Kaamiyabi Aayi. Aap Bhi Kaamiyaab Hona Chahte Hain To Kitaabullaah Ko Apna Saathi Banayen, Use Ghaur o Fikr Se Padhen, Us Par Amal Karen Aur Us Ki Taraf Muslim Aur Gair Muslim Ko Bulaayen.
Ulama Ne Talash Karne Ki Koshish Ki Hai Ke Quraan Ki Woh Kon Si Aayat Hai Jo Bandon Ko Sab Se Ziyadah Ummid Dilaati Hai, Maayusi Se Bachaati Hai Aur Gunehgaar Ho Kar Bhi Apne Khaaliq Aur Maalik Se Bakhshish Aur Darguzar Ki Ummid Jagaati Hai. Is Silsile Mein Kai Quraani Aayat Zikr Ki Jaati Hain Lekin Aksar Ahl e Ilm Ne Surah Az-Zumar Ki Aayat No: 53 Ko Sab Se Ziyadah Ummid Dilaane Wali Aayat Qaraar Diya Hai, Allaah Ka Farmaan Hai:
قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِن رَّحْمَةِ اللهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا ۚ إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ​
Tarjumah: (Meri Jaanib Se Keh Do) Ke Aye Mere Bando! Jinhone Apni Jaanon Par Ziyadti Ki Hai Tum Allaah Ki Rehmat Se Na-Ummid Na Ho Jaao. Yaqeenan Allaah Saare Gunaahon Ko Bakhash Deta Hai Waaqai Woh Badi Rehmat Waala Hai.
(Surah Az-Zumar: 53)

Yah Qaul Ali Radhiallahu Anhu Aur Abdullaah Bin Masood Radhiallahu Anhu Ki Taraf Bhi Mansoob Hai Magar Sanad Ke Aitbaar Se Yah Aqwaal Saabit Nahi Hain. Jab Ham Upar Zikr Aayat Ka Shaan e Nuzool (Ayat Ke Utarne Ka Sabab) Talash Karte Hain To Sahih Bukhari Me Ibn e Abbaas Radhiallahu Anhu Se Marvi Yah Rivaayat Milti Hai:
أنَّ نَاسًا، مِن أهْلِ الشِّرْكِ كَانُوا قدْ قَتَلُوا وأَكْثَرُوا، وزَنَوْا وأَكْثَرُوا، فأتَوْا مُحَمَّدًا صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ فَقالوا: إنَّ الذي تَقُولُ وتَدْعُو إلَيْهِ لَحَسَنٌ، لو تُخْبِرُنَا أنَّ لِما عَمِلْنَا كَفَّارَةً فَنَزَلَ: {وَالَّذِينَ لا يَدْعُونَ مع اللهِ إلَهًا آخَرَ، ولَا يَقْتُلُونَ النَّفْسَ الَّتي حَرَّمَ اللهُ إلَّا بالحَقِّ، ولَا يَزْنُونَ} ونَزَلَتْ: قُلْ يا عِبَادِيَ الَّذِينَ أسْرَفُوا علَى أنْفُسِهِمْ، لا تَقْنَطُوا مِن رَحْمَةِ اللهِ​
Tarjumah: Mushrikeen Mein Se Kuch Logon Ne Bahut Khoon Na-Haq Bahaaye The Aur Bahut Ziyadah Zina Karte Rahe The, Woh Muhammad ﷺ Ke Paas Aaye Aur Kaha Ke Aap Jo Kuch Kehte Hain Aur Jis Ki Da'wat Dete Hain Woh Yaqeenan Achchi Chiz Hai Lekin Agar Aap Hamein Is Baat Se Aagah Kar Den Ke Ab Tak Ham Ne Jo Gunaah Kiye Hain Kya Woh Mu’aafi Ke Qaabil Hain To Allaah Ne Yah Aayat Naazil Farmaai: “Woh Log Jo Allaah Ke Saath Kisi Dusre Ma’bood Ko Nahi Pukarte Aur Kisi Jaan Ko Naahaq Qatl Bhi Nahi Karte Jis Ka Qatl Allaah Ne Haraam Kiya Hai Magar Haq Ke Sath Aur Na Woh Zina Karte Hain.” Aur Yah Aayat Bhi Naazil Hui “Keh Dijiye Aye Mere Bando! Jinhone Apni Jaano Par Ziyadti Ki Hai Allaah Ki Rehmat Se Maayus Na Hon.”
(Sahih Bukhari: 4810)

Goya Ke Shaan e Nuzool Me Khitaab Mushrikeen e Makka Ko Hai Magar Is Aayat Ka Hukm Aam Hai. Is Mein Mushrekeen Aur Kuffar Aur Har Tarah Ke Gunehgaar Shaamil Hain Jinhone Khoob Gunaah Kar Ke Apni Jaano Par Zulm Kiye Hain. Haafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah Ne Is Aayat Ke Mutalliq Likha Hai Ke “Yah Aayat Tamaam Nafarmaano Ko Chaahe Woh Kaafir Hon Ya Doosre Unko Taubah Aur Allah Ki Taraf Rujoo’ Ki Dawat Dene Wali Hai, Aur Khabar Dene Wali Hai Ke Allaah Taubah Karne Waale Aur Uski Taraf Rujoo’ Karne Waalon Ke Sare Gunaah Mu’aaf Kar Deta Hai, Gunaah Kitne Bhi Hon, Chaahe Samandar Ke Jhaag Ke Barabar Kyun Na Ho Jaayen. Aur Is Aayat Ko Taubah Par Mehmool Na Karna Sahih Nahi Hai Kyunke Shirk Taubah Ke Bagair Mu’aaf Nahi Kiya Jata Hai.
(Tafseer Ibn e Kaseer)

Is Aayat Ko Taubah Par Mehmool Karna Zaroori Hai Jaisa Ke Haafiz Rahimahullah Ne Kaha Hai, Taaki Quraan Ki Us Aayat Se Takraao Na Ho Jis Mein Kaha Gaya Hai Ke Allaah Saare Gunaah Mu’aaf Kar Sakta Hai Siwaaye Shirk Ke. Allaah Ka Farmaan Hai:
إِنَّ اللَّهَ لا يَغْفِرُ أَنْ يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ ما دُونَ ذلِكَ لِمَنْ يَشاءُ​
Tarjumah: Yaqeenan Allaah Apne Saath Shareek Kiye Jaane Ko Nahi Bakhshta Aur Uske Siwa Jise Chaahe Bakhsh Deta Hai.
(Surah An-Nisa: 48)

Aayat Ke Shaan e Nuzool Aur Uske Ma’ne Aur Mafhoom Par Gaur Karne Se Maloom Hota Hai Ke Bandon Ke Haq Me Sab Se Ziyadah Ummid Wali Ayat Yahi Hai. Aaiye Dekhte Hain Allaah Gunehgaar Bandon Ko Kis Tarah Ummid Dilaata Hai?
➤ Sab Se Pehle Allaah Apne Paighambar Ko Khitaab Karta Hai Ke Woh Apni Ummat Ko Khabar Karen Fir “يَا عِبَادِي” Ke Zariye Bandon Ko Shafqat Aur Muhabbat Bhare Niraale Andaaz Mein Yaad Karta Hai Aur Kehta Hai Ki Tumhein Darne Aur Khauf Khaane Ki Zaroorat Nahi Hai, Tum Ne Gunaah Kar Liye To Kya Huwa? Bande To Mere Hi Ho. Main Hi Tumhara Khaaliq Aur Maalik Hun. Aur To Koi Nahi Jis Se Tumhein Ghabraane Ki Zaroorat Hai.
➤ Jab Allaah Apne Bando Ko Piyaar Bhare Lehje Me Pukaar Kar Unka Ahtiraam Aur Ikraam Karta Hai Fir Gunaah Aur Nafarmaani Ki Kasrat Yaad Dilata Hai Ke Tum Ne Had Se Ziyadah Gunaah Kar Liye, Gunaaho Ki Had Paar Kar Di, Nafarmaani Par Nafarmaani Karte Rahe.
➤ Gunaahon Ki Kasrat Yaad Dilaane Ke Baad Ab Gunehgaaron Ki Himmat Baandhata Hai, Na-Ummidi Se Rokta Hai Aur Saaf Lafzon Mein Gunehgaaron Se Kehta Hai Ke Gunaahon Ki Kasrat Ho Jaane Ki Baad Bhi Tumhein Allaah Ki Rehmat Se Maayus Nahi Hona Hai. Upar Aap Ne Quraan Ki Kuch Aayat Bhi Padhi Hain Jin Mein Maayusi Gumraah Aur Kaafir Ki Sifaat Qaraar Di Gai Hain. Momin Ko Kisi Bhi Taur Par Kabhi Bhi Maayus Nahi Hona Chaahiye, Aise Mauqe Par Allaah Par Bharosa Bahut Kaam Aata Hai Aur Imaan Aur Yaqeen Mein Mazbooti Paida Hoti Hai.
➤ Ab Allah ﷻ Taakeedi Jumle Ke Sath Woh Baat Kehta Hai Jis Se Gunehgaaro Ki Ummid Bilashuba Jaag Jati Hai Aur Rehmat e Ilaahi Se Daaman Bhar Jata Hai, Allaah Farmata Hai Ke Tumhein Tumhara Gunaah Yaad Hai Mujhe Meri Rehmat Aur Maghfirat Yaad Hai, Jaao Tumhare Sare Gunaah Mu’aaf Kar Diye. Sun Lo! Ek Do Gunaah Nahi Saare Gunaah Bakhash Diye. Allah ﷻ Ne Isi Par Bas Nahi Kiya Balke Aage Taakeed Ke Saath Yah Bhi Khabar De Di Ke Be-Shak Main Hi To Sab Se Ziyadah Mu’aaf Karne Waala Aur Sab Se Ziyadah Mehrbaani Karne Wala Hun, Tum Mere Alawah Kis Ko Itna Mu’aaf Karne Waala Paate Ho?Subhanallaah, Allaah Waqai Bada Mu’aaf Karne Wala Hai. Jab Hamein Yah Maaloom Ho Gaya Ke Allaah Bahut Mu’aaf Karne Wala Aur Bada Mehrbaan Hai Aur Gunehgaaron Ke Sare Gunaah Mu’aaf Kar Deta Hai To Iske Saath Mazeed Do Baaton Ko Jaanne Aur Amal Mein Laane Ki Bhi Zaroorat Hai:
PEHLI BAAT To Yah Hai Ke Allaah Ki Rehmat Se Maayus Na Hone Ka Matlab Yah Nahi Hai Ke Ham Allaah Ki Rehmat Ki Ummid Mein Jaan Boojh Kar Gunaah Karte Rahen, Gunaahon Par Jamey Rahen, Allaah Ke Hudood Ko Paar Karte Rahen Aur Faraaiz o Waajibaat Mein Kotaahi Kareb. Yaad Rahe Ke Allaah Bahut Mu’aaf Karta Hai To Bahut Sakhat Saza Bhi Deta Hai.
DUSRA BAAT Yah Hai Ke Chhote Gunaah Nekiyon Se Khood Hi Mit Jaate Hain Magar Bade Gunaahon Ke Liye Taubah Zaroori Hai Jaisa Ke Upar Zikr Ki Gayi Aayat Bhi Taubah Ko Lazim Pakadne Ki Hidayat Deti Hai. Bagair Taubah Ke Bade Gunaah Mu’aaf Nahi Hote Aur Taubah Ki Qabooliyat Ki Sharaait Yah Hain:
➊ Gunaah Par Sharmindagi Aur Afsoos Ka Izhaar Kiya Jaaye
➋ Allaah Ki Ita’at Mein Gunaah Chhod Diya Jaaye
➌ Aaindah Us Gunaah Se Bachne Ka Allaah Se Wa’da Kiya Jaaye.
➍ Gunaah Huqooq ul Ibaad Se Mutalliq Ho To Haq Ki Wapasi Bhi Taubah Ki Shart Hai.
Aakhri Baat Tehreer Kar Ke Mazmoon Khatam Karna Chahta Hun Ke Aisa Nahi Hai Ke Yahi Aayat Sirf Gunhegaaron Ko Ummid Dilaati Hai, Ek Moamin Ka Imaan Hona Chaahiye Ke Allah Ke Deen Mein Hi Bilkul Sukoon Aur Raahat Ka Samaan Hai. Allaah Ka Mukammal Kalaam Ummid Hai. Apni Zindagi Ko Maayusi Aur Kufr Se Bachaane Ke Liye Hamein Quraan Ko Samajh Kar Padhna Aur Us Par Amal Karna Chaahiye. Kuch Ahl e Ilm Ne Surah Az-Zumar Ki Upar Zikr Ki Gayi Aayat Ke Alawah Dusri Aayat Ko Sab Se Ziyadah Ummid Wali Aayat Qaraar Diya Hai, Un Aayat Mein Bhi Be-Shak Momin Aur Khaas Taur Se Gunehgaaron Ke Waaste Rehmat Aur Maghfirat Ki Ummid Hai Magar Sab Se Ziyadah Ummid Wali Aayat Surah Az-Zumar Ki Upar Zikr Ki Gayi Aayat Hi Maloom Hoti Hai, Is Aayat Ke Alawah Sab Se Ziyadah Ummid Wali Aayat Ke Mutalliq Ahl e Ilm Ka Jo Ikhtilaaf Hai Us Mein Kuch Ke Nazdeek Surah Faatir Ki 32-33 Aayat, Surah An-Noor Ki 22 No Aayat, Surah Gaafir 33, Surah Al-Hijr:49, Surah Al-An’aam:82, Surah Al-A'raaf 156, Surah Ar-Ra'ad 6, Surah Taha 48, Surah Al-Ahzaab 47, Surah Az-Zuha 5, Surah Ash-Shura 30, Surah An-Nisa 110, Surah Muhammad 11 Aur 19, Surah At-Taubah 102 Wagairah Hain.
Allaah Hamare Gunaahon Ko Mu’aaf Farmaaye Aur Apni Rehmat Se Nawaaz Kar Jannat ul Firdaus Me Aala Maqaam Ata Farmaaye. Aameen
 
Last edited by a moderator:
Top