BAD SHUGUNI


Ibnatu Ali

Member
❐BAD SHUGUNI❐
بسم الله الرحمن الرحيم​

Nahoosat yaa bad shuguni wa bad faali Lena kaafir qaumon ka shewah raha hai aur haraam hai, Allahﷻ ka irshaad hai:
◈فَإِذَا جَاءَتْهُمُ الْحَسَنَةُ قَالُوا لَنَا هَٰذِهِ ۖ وَإِنْ تُصِبْهُمْ سَيِّئَةٌ يَطَّيَّرُوا بِمُوسَىٰ وَمَنْ مَعَهُ۝​
“Jab in par khush haali aajaaye toh kehtey ke ye toh humaarey liye hona hi chaahiye aur agar in ko koi bad haali pesh aati toh Moosa 'alaihis salaam aur unke saathiyon ki nahoosat batlaatey”.
❲Surah Al-A'raf: 131❳

Arab logon mein se agar koi safar waghirah ka iraada karta toh kisi parindey ko pakad kar hawa mein udaa deta, agar woh parinda daayein taraf jaaye toh woh shakhs khush ho kar apne kaam ko chal deta. Aur agar parinda baayein taraf ko udhta to nahoosat samajh kar waapis aajaate. Jabke Nabiﷺ ne iss fe'l ka hukum apne irshaad mein yuun bayaan farmaaya hai.
◉الطِّيَرَةُ شِرْكٌ​
Badshuguni Lena shirk hai.
❲Musnad Ahmed 1/389, Sahih ul Jaame' 3955.❳

◉Ba'z mahinon se bad shuguni Lena jaisa ke maahe safar mein nikah tark karna.
❲Yahan toh sirf maahe safar mein nikah manhoos kehney waalon ka zikar kiya gaya hai jabke humaarey yahan toh shiya' ke propaganda ke nateeje mein maahe muharram mein bhi shaadi biyah ko manhoos qaraar detey hain jo ke saraa sar jahaalat aur nari za'yeef ul a'iteqaadi hai.❳ ❨Abu Adnan❩

Aur ba'z dino se jaisa ke iss baat ka 'aqeedah rakhna ke har mah ke aakhri budh[wednesday] ka din musalsil manhoos hai, yaa numbers mein se jaisa ke [13] ko manhoos qaraar dena, ba'z naamon aur ma'zooron mein se kisi ko manhoos samajhna jaisa ke koi shakhs apni dukaan kholney ke liye jaaye aur raastey mein kisi bahaingey aadmi ko dekhley toh shuguni le aur waapis laut aaye waghaira waghaira. ye a'iteqaad kamaal e tawheed ke munaafi hai, ye sab haraam aur shirk mein se hai.

Nabiﷺ ne aisey logon se baraa't wa laa ta'lluqi ka ailaan farmaaya hai, Hazrat Imraan bin Husain(razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawi hai:
◉لَيْسَ منَِّا مَنْ تَطَيَّرَ أَوْ تُطُيِّرَ لَهُ وَلَا تَكَهَّنَ وَلَا تُكُهِّنَ لَهُ [وَ أَظُنُّهُ قَالَ]: أَوْ سَحَرَ أَوْ سُحِرَ لَهُ​
“woh hum mein se nahi: jis ne badshuguni li ho yaa uskey liye bad shuguni li gayi ho, aur jis ne kahanat ki ho yaa uskey liye kahanat ki gayi ho [aur mujhe aisa lagta hai ke Aapﷺ ne ye bhi farmaaya] : yaa uss ne koi jaadu kiya ho yaa uss ke liye kisi ne jaadu kiya ho”.
❲At Tabrani fil Kabeer 18/162, nez dekhiye Sahih ul jaame' 5435.❳

Aur Jo shakhs iss tarah ke umoor mein mubtela ho jaaye toh usey tawba karna chaahiye aur uska kaffarah iss tarah hai jaisa ke hazrat Abdullah bin 'Amr(razi Allahu 'Anhuma) ki hadees mein waarid huwa hai woh farmaatey hain ke Nabiﷺ ka irshaad hai.
◉من ردته الطيرة من حاجة فقد أشرك، فقالوا: يا رسول الله! ما كفارة ذلك؟ فقال :أن يقول أحدهم (اللهم لا خير إلا خيرك ولا طير إلا طيرك ولا إله غيرك)​
Jis shakhs ko bad shuguni ne uski kisi haajat ko poora karney se roka toh uss ne shirk kiya, Sahaaba-e-kiraam(razi Allahu 'Anhum) ne poocha: Aye Allah ke Rasoolﷺ! iska kaffarah kya hai? toh Aapﷺ ne farmaaya: ke un mein se koi ye kahey: [ yaa Allah! Teri khair wa bhalaayi ke siwa koi bhalaayi nahin, aur tere shugun ke siwa koi shugun nahin aur tere siwa koi ma'bood e bar haq nahin].
❲Musnad Imam Ahmed 2/220, As Silsilat us Sahihatu 1065, (ye hadees za'yeef hai aur isey tamreez ke seghey se zikar karna behtar hoga)❳

Shugun Lena logon ki fitrat mein daakhil hai ye kisi mein kam hota hai aur kisi mein ziyaada, aur iska sab se ahem 'ilaaj Allah ta'la Par tawakkul karna hai jaisa ke hazrat ibne Mas'ood(razi Allahu 'Anhuma) ke irshad mein hai:
◉وَمَا مِنَّا اِلَّا [اَُيُّ: اِلَّا وَ يَقَعُ فِيْ نَفْسِهِ شَئٌ مِّنْ ذٰلِكَ] وَ لٰكِنَّ اللهَ يُذْهِبُهُ بِلتَّوَكُّلِ.​
“Aur hum mein se koi shakhs aisa nahin Jo ke [ya'ni: uskey dil mein iss tarah ki koi baat naa aati ho] magar Allah ta'la Par tawakkul karney se door ho jaati hai”
❲Abu Dawood 3910, As Silsilat us Sahihatu 430.❳
━━━━━━━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa umoor❩ Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah] Page No: 36,37,38,39┃
 
Top