Umar Asari

Administrator
Staff member
Aurton ki fazeelat se mutalliq chand baton ki haqeeqat

Tehqeeq: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Roman Translation:
Umar Asari
Logon mein aurton ke fazail se mutalliq kuch baatein bahut ziyadah share ki jaa rahi hain aur un baton ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kiya jaa raha hai, yahan un baton ki haqeeqat aap logon ke saamne pesh ki jaa rahi hai:
Nek aamaal karne waali ek aurat 70 awliya se behtar hai.
➋ Bure aamaal karne waali ek aurat 1000 bure aamaal karne waale mardon se badtar (buri) hai.

➥ Tehqeeq:
In do baaton ki koi haqeeqat nahi hai, ek gadhi hue riwayat is tarah se marwi hai:
فُجُورُ المرأةِ الفاجرةِ، كفُجُورِ أَلْفِ فاجِرٍ، وبِرُّ المرأةِ كعَمَلِ سَبْعِينَ صِدِّيقًا​
Tarjumah: Faajira aurat ka fujoor 1000 mardon ke fujoor ke barabar hai aur aurat ki neki 70 siddiq ke amal ke barabar hai.
(Kanz ul Ummal: 16/398)
❗Is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Silsila Az-Za’eefa mein Mauzoo’ aur Za’eef ul Jami’ mein Za’eef qarar diya hai.
(Za’eef ul Jami’: 3957)

Ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.
➥ Tehqeeq:
Haamla aurat ko kaam kaaj mein dushwari hoti hai, Namaz padhne mein bhi use kaafi diqqat ka saamna karna padta hai magar mazkoorah (upar zikr ki gayi) baat kisi Sahih Hadees se saabit nahi ke ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai. Is liye ise Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karna jaaiz nahi hai. Haamla aurat ki fazeelat se mutaliq ek riwayat is tarah ki milti hai:
أَمَا تَرْضَى إحداكن أنها إذا كانت حاملًا من زوجِها، وهو عنها راضٍ، أنَّ لها مِثْلَ أَجْرِ الصائمِ القائمِ في سبيلِ اللهِ​
Tarjumah: Kya tum mein se koi is par raazi nahi ke agar woh apne khawind ki haamla ho aur khawind us se raazi ho to use Rozedaar aur Allah ki raah mein qiyam karne waale ka sawab haasil ho?
❗Ise Allama Albani Rahimahullah ne Mauzoo’ qarar diya hai.
(Za’eef ul Jami’: 1234)

Jo aurat apne bachchon ko doodh pilaati hai use Allah Taala ek ek boond par neki ata karte hain.
➥ Tehqeeq:
Mazkoorah Hadees mein yeh alfaaz bhi hain:
ولم يُمَصَّ من ثَدْيِها مَصَّةٌ، إلا كان لها بكلِّ جُرْعَةٍ وبكلِّ مَصَّةٍ حسنةٌ​
Yani Maa ke seene se bachcha doodh jo peeta hai to ek ek ghoont par neki milti hai.
❗Yeh riwayat gadhi hue hai is liye is se istedlaal nahi kiya jaayega.

Jab shauhar pareshan haal ghar aa jaaye aur us ki biwi use khush aamdeed kahe aur tasalli de to Allah us aurat ko nisf (aadhe) jihaad ka sawab ataa farmaate hain.
➥ Tehqeeq:
Ek riwayat is tarah ki warid hai:
أبلِغي من لقيتِ من النِّساءِ أنَّ طاعةَ الزَّوجِ واعترافًا بحقِّه يعدلُ ذلك - يعني: الجهادَ -، وقليلٌ منكُنَّ مَن يفعلُهُ​
Tarjumah: Yeh baat tum aurton ko bata do ke shauhar ki ita’at aur us ka haqq e aitraaf karna jihaad ke barabar hai aur tum mein se bahut kam aurtein aisa karti hain.
❗Is hadees ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Za’eef qarar diya hai.
(Silsila Az-Za’eefa: 5340)

Jo aurat apne bachche ke rone se raat bhar na so sake Allah Taala us ko 20 ghulamon ko aazad karne ka ajr dete hain.
➥ Tehqeeq:
Ek gadhi hue riwayat is tarah ki hai:
فإن أسهرها ليله كان لها مثل أجر سبعين رقبة يعتقهن في سبيل الله عز وجل​
Tarjumah: Agar bachcha aurat ko raat bhar jagaaye rakhe to Allah ki raah mein 70 ghulam aazad karne ka sawab us aurat ko milega.
❗Ibn e Hibban ne ise Mauzoo’ kaha hai.
(Al-Majrooheen: 2/34)

Jo aurat zikr karte huwe jhadoo de Allah Taala us ko Khana e Ka’ba mein jhadoo dene ka sawab ataa karte hain.
➥ Tehqeeq:
Islam mein is baat ki bhi koi haqeeqat nahi hai.

Jo aurat Namaz, Roza ki pabandi kare aur paak daman rahe aur apne shauhar ki tabe’dari kare, us ko ikhtiyar hoga ke jis darwaaze se chaahe jannat mein daakhil ho jaaye.
➥ Tehqeeq: Yeh baat sahih hai. Is ki daleel yeh Hadees hai:
عن عبد الرحمن بن عوف قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم :إِذَا ‏صَلَّتِ الْمَرْأَةُ خَمْسَهَا، وَصَامَتْ شَهْرَهَا، وَحَفِظَتْ فَرْجَهَا، وَأَطَاعَتْ زَوْجَهَا، قِيلَ لَهَا: ادْخُلِي الْجَنَّةَ مِنْ أَيِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ ‏شِئْتِ​
Tarjumah: Hazrat Abdur Rehman bin A’uf Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Jab aurat apni paanch waqt ki Namaz padh le, apne maheene (yaani Ramadhan) ke Roze rakh le, apni sharmgaah ki hifaazat kar le, aur apne shauhar ki ita’at kar le to us se kaha jaayega ke jannat mein jis darwaaze se daakhil hona chahe daakhil ho jaa.
{Musnad Ahmad: 3/128 and Sahih At-Targheeb (Albani): 1932}

Jo aurat apne bachche ki bemari ki wajah se na so sake aur apne bachche ko aaraam dene ki koshish kare to Allah Taala us ke tamam gunah mu’aaf kar dete hain aur us ko 12 saal ki ibadat qabool karne ka sawab milta hai. Bachche ki paidaish ke baad us ke liye 70 saal ki Namaz aur Roze ka sawab likha jaata hai.
➥ Tehqeeq: Upar 6 number mein yeh baat guzri hai ke bachche ki wajah se aurat na so sake to 70 ghulam aazad karne ka sawab milta hai, yeh baat gadhu hue hai isi tarah bachche ki paidaish par 70 saal ki Namaz aur Roze ka sawab milta hai yeh bhi kisi Hadees se saabit nahi hai. Ek aisi Hadees mujhe mili:
إنَّ للمرأةِ في حملِها إلى وضعِها، إلى فصالِها من الأجرِ كالمتشحِّطِ في سبيلِ اللهِ، فإن هلكت فيما بين ذلك؛ فلها أجرُ الشهيدِ​
Tarjumah: Aurat ke liye hamal se le kar waza e hamal tak aur doodh chhudaane tak Allah ki raah mein morcha bandi ka sawab milta hai, agar woh is se halaak ho gayi to shaheed ka ajr milta hai.
❗Is Hadees ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Za’eef kaha hai.
(Silsila Az-Za’eefa: 6047)

Bachcha raat ko roye aur maa baghair bura bhala kahe us ko doodh pilaaye to us ko ek saal ki Namazon aur Rozon ka sawaab milega.
➥ Tehqeeq:
Is baat ka bhi koi suboot nahi hai.

Jab bachche ke doodh ka waqt poora ho jaaye to aasmaan se ek farishta aa kar us aurat ko khushkhabri sunaata hai ke aye aurat Allah ne tujh par jannat wajib kar di hai.
➥ Tehqeeq:
Is baat ki bhi koi haqeeqat nahi hai.

Aurat ka shauhar us se raazi ho aur woh inteqaal kar jaaye to jannat us par wajib hogi.
➥ Tehqeeq: Is ma’ne ki ek riwayat hai:
أَيُّمَا امْرَأَةٍ مَاتَتْ وَزَوْجُهَا عَنْهَا رَاضٍ دَخَلَتِ الْجَنَّةَ​
Tarjumah: Jo aurat is haal mein mare ke us ka shauhar us se raazi ho to woh jannat mein daakhil hogi.
(Ibn e Majah: 1854)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Za’eef kaha hai.
(Za’eef Ibn e Majah: 364)

Nek aurat 70 mardon se afzal hai.
➥ Tehqeeq:
Yeh wohi baat hai jo pehle number mein hai, is ma’ne ki riwayat gadhi hue hai.

Aurat bhi apne shauhar ke ghar mein cheezon ko qareene se rakhegi to Allah Taala us par rehmat ki nazar daalega aur jo bhi Allah ka manzoor e nazar ho gaya use azaab se amaan mil jaayegi.
➥ Tehqeeq:
Shia ki kitaab mein yeh baat hai:
ما من امرأة رفعت من بيت زوجها شيئا من موضع إلى موضع تريد به صلاحا إلا نظر الله إليها، و من نظر الله إليه لم يعذبه​
Tarjumah: Aurat apne shauhar ke ghar mein cheezon ko qareene se ek jagah se doosri jagah rakhe to Allah Taala us par rehmat ki nazar daalega aur jo bhi Allah ka manzoor e nazar ho gaya use azaab se amaan mil jaayegi.
Yeh baat kisi Hadees se saabit nahi hai.

Shaista aurat 1000 na-shaista mardon se behtar hai. Jo aurat bhi shauhar ki bhalaayi ke liye 7 din kaam karti hai Allah us par jahannam ke 7 darwaaze band kar deta hai aur jannat ke 8 darwaaze khol deta hai ke woh jis darwaaze se bhi chaahe jannat mein daakhil ho jaaye.
➥ Tehqeeq:
Yeh baat Shia kitaab “Wasail-ush-Shia” mein paayi jaati hai:
المرأة الصالحة خير من ألف رجل غير صالح وأيما امرأة خدمت زوجها سبعة أيام أغلق عنها سبعة أبواب النار وفتحت لها ثمانية أبواب الجنة تدخل من أيها شاءت​
Tarjumah: Nek aurat 1000 ghair nek mard se behtar hai aur jo aurat apne shauhar ki 7 din khidmat kare to us ke liye jahannam ke 7 darwaaze band ho jaate hain aur jannat ke 8 darwaaze khul jaate hain jis se bhi chaahe daakhil ho jaaye.
Yeh baat kisi hadees se saabit nahi hai.

Paani ka ek ghoont bhi mard ke haath mein deti hai to woh ek saal ki mustahab ibadat jis mein woh din mein Roze rakhe aur raat ko Namaz ada kare is se behtar hai.
➥ Tehqeeq: Yeh baat bhi mazkoorah shia kitaab mein is tarah hai:
ما من إمرأة تسقي زوجها شربة ماء إلا كان خيرا لها من عبادة سنة​
Tarjumah: Jo aurat apne shauhar ko paani ke ek ghoont se seraab kare to us ke liye ek saal ki ibadat se behtar hai.
Is baat ki islam mein koi haqeeqat nahi.

Aurat apne shauhar ke liye lazeez ghiza tayyar karti hai Allah Taala jannat mein us ke liye tarah tarah ke khaane tayyar karega aur farmayega khoob khaao aur piyo yeh un zehmaton ki jaza (badla) hai jo tum ne duniya ki zindagi mein bardasht ki hain.
➥ Tehqeeq: Is baat ki bhi koi asal nahi hai.

In 17 nukaat mein se sirf ek hi baat Sahih Hadees se saabit hai woh 8 number ki hai, is liye isi baat ko logon mein phailaayen aur baaqi doosri baaton ko kahien share na karen.
 
Top