ASL AL-DEEN (Part 04)


ASL AL-DEEN (Part 04)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Asl Al-Deen ke mu'aamlon mein ek Mukallaf [1] Mard aur Aurat ko jahaalat ka uzr kyun nahin hai ?

• Asl Al-Deen ke masaael mein kisi ko jahaalat ka uzr nahin hai kyunke Allaah ne Asl Al-Deen ke masaael ko hamaari Fitrat mein pehle se hi rakh diya hai.

• Ek Mukallaf Mard aur Aurat Asl Al-Deen ke baare mein Dunya mein paida hone se pehle hi jaan chuke hain aur iska isbaat Meesaaq [2] ke zariye kar chuke hain aur ye Zarooriyaat e Fitrat aur Aql se jaan bhi liya jaata hai.

قال شيخ الإسلام ابن تيمية - رحمه الله -: "وأصل الدين، هو عبادة الله، الذي أصله الحب والإنابة، والإعراض عما سواه، وهو الفطرة التي فطر عليها الناس"، انتھی كلامه.

• Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne farmaaya:

"Asl Al-Deen ye hai ke Allaah (akele) ki ibaadat kee jaaye, jo uski Asl wa Bunyaad hai woh Allaah ki Muhabbat hai aur Usi ki taraf rujoo' karna hai aur uske siwa doosron se eraaz karna hai. Yahi woh Fitrat hai jis par Insaanon ko paida kiya gaya hai."
[3]

• Ibnul-Qayyim (Rahimahullaah) ne farmaaya:

وَأَيُّ شَيْءٍ يَصِحُّ فِي الْعَقْلِ إِذَا لَمْ يَكُنْ فِيهِ عِلْمٌ بِقُبْحِ الشِّرْكِ الذَّاتِيِّ، وَأَنَّ الْعِلْمَ بِقُبْحِهِ بَدِيهِيٌّ مَعْلُومٌ بِضَرُورَةِ الْعَقْلِ، وَأَنَّ الرُّسُلَ نَبَّهُوا الْأُمَمَ عَلَى مَا فِي عُقُولِهِمْ وَفِطَرِهِمْ مِنْ قُبْحِهِ

"Kaunsi cheez aql mein saheeh samjhi jaaye jab aql Shirk ki qabaahat ko hi na pehchaan sakey ? (jo ke aisa saaf aur khula mas'alah hai ke usko pehchaanne ke liye kisi doosre cheez ke sahaare ki zaroorat hi nahin) woh khud apne aap mein qabaahat hone ki daleel hai, Aur Shirk ke Qabeeh hone ka ilm toh saaf zaahir hai Zarooriyaat e Aql se Maloom hai, Aur Rasoolon ne ummaton ko is cheez se aagaah kiya hai jiski qabaahat unki aqlon aur fitraton mein (pehle se hi) maujood hai."
[4]

• Yahaan hum jaan gaye hain ke Asl Al-Deen ke mu'aamlon mein kisi par Kufr ka hukm lagaane ke liye hujjat qaayem karna shart nahin hai. Ya'ni hum uspar Kufr ka hukm lagaayenge jo Asl Al-Deen ke khilaaf amal karey chaahe uspar hujjat qaayem ho ya na ho.

• Hum taakeed ke saath ye bataana chaahte hain ke Asl Al-Deen ke mu'aamlon mein kisi ko jahaalat ka uzr nahin diya jaayega kyunke ye aisa mas'alah hai jo ma'loom hai aur mazbooti ke saath har ek ki Fitrat aur Aql mein maujood hai.

• Chunaanche jo bhi Asl Al-Deen ko todega woh Mushrik hai. Lekin uska azaab Dunya aur Aakhirat mein Risaalat ki hujjat uske paas pohanchne par mauqoof hai. Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

وَمَا كُنَّا مُعَذِّبِينَ حَتَّىٰ نَبْعَثَ رَسُولًا

"Aur jab tak hum paighambar na bhejlein azaab nahin diya karte." [5]


قال العلامة ابن القيم: "وأما كفر الجهل مع عدم قيام الحجة، وعدم التمكن من معرفتها، فهذا الذي نفى الله التعذيب عنه حتى تقوم حجة الرسل"، انتهى كلامه.

• Al-'Allaamah Ibnul-Qayyim (Rahimahullaah) ne farmaaya:

"Jahaan tak jahaalat mein Kufr karna qiyaam e hujjat ki ghair maujoodgi mein aur Hujjat ki Ma'rifat haasil karne ke imkaan ki ghair maujoodgi mein ('Adm e Tamakkun) toh Allaah usko azaab nahin dega yahaan tak ke uspar Rasoolon ki hujjat qaayem hojaaye."
[6]

Ya'ni Hujjat qaayem hone se pehle agar jahaalat ki bina par kufr ka irtekaab hojaaye aur uske paas Hujjat ki Ma'rifat haasil karne ke zaraaye bhi maujood nahin ho toh usko azaab nahin diya jaayega yahaan tak ke uspar Raoolon ki hujjat qaayem hojaaye.

ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Mutarjim: Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:

[1] Baaligh hone ke ba'd ek aqalmand Mard wa Aurat par Islaam ke tamaam Faraaez par amal karna waajib hojaata hai usey Mukallaf kehte hain.

[2] Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 172.


Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

وَإِذْ أَخَذَ رَبُّكَ مِن بَنِي آدَمَ مِن ظُهُورِهِمْ ذُرِّيَّتَهُمْ وَأَشْهَدَهُمْ عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ أَلَسْتُ بِرَبِّكُمْ ۖ قَالُوا بَلَىٰ ۛ شَهِدْنَا ۛ أَن تَقُولُوا يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِنَّا كُنَّا عَنْ هَٰذَا غَافِلِينَ

"Aur Jab Aapke Rabb ne Aulaad e Aadam ki pusht (peeth) se unki Aulaad ko nikaala aur unse un hi ke muta'lliq iqraar liya ke Kya Main tumhaara Rabb nahin hoon ? Sabne jawaab diya Kyun nahin ! Hum sab gawaah bante hain. Taake tum log qiyaamat ke din yoon na kaho ke hum toh is se mehez bey khabar the."

[3] Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 15, Pg: 438.


[4] Madaarij Al-Saalikeen, Jild: 1, Pg: 253.

[5] Soorah No. 17, Al-Israa (Banee Israaeel), Aayah: 15.

[6] Tareeq Al-Hijratayn, Pg: 414.

Links:

ASL AL-DEEN (Part 01)

ASL AL-DEEN (Part 02)

ASL AL-DEEN (Part 03)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top