Israr Hussain Al-Wahhabi
Member
Allah Ta’ala Ne AL-WALAA (Ya’ni Muhabbat Aur Dosti) Kis Se Aur Kaise Rakhne Ko Kaha Hai ?
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡن
“(Musalmaano !) Tumhaara Dost Khud Allaah Hai Aur Uska Rasool Hai Aur Eemaan Waale Hain Jo Namaazon Ki Paabandi Karte Hain Aur Zakaat Adaa Karte Hain Aur Woh Rukoo (Khushoo Wa Khuzoo) Karne Waale Hain.”
[Surah Al-Maaidah, Aayat : 55]
وَ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ وَ الۡمُؤۡمِنٰتُ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ۘ یَاۡمُرُوۡنَ بِالۡمَعۡرُوۡفِ وَ یَنۡہَوۡنَ عَنِ الۡمُنۡکَرِ وَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ یُطِیۡعُوۡنَ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہ
“Mumin Mard Aur Aurat Aapas Mein Ek Doosre Ke (Madadgaar Aur) Dost Hain, Woh Bhalaayi Ka Hukm Detey Hain Aur Buraayi Se Rokte Hain Aur Namaazon Ki Paabandi Karte Hain, Zakaat Adaa Karte Hain Allaah Aur Uske Rasool Ki Itaa’at Karte Hain...”
[Surah At-Taubah, Aayat : 71]
اِنَّ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ ہَاجَرُوۡا وَ جٰہَدُوۡا بِاَمۡوَالِہِمۡ وَ اَنۡفُسِہِمۡ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ وَ الَّذِیۡنَ اٰوَوۡا وَّ نَصَرُوۡۤا اُولٰٓئِکَ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡض
“Jo Log Eemaan Laaye Aur Hijrat Kee Aur Apne Maalon Aur Jaanon Se Allaah Ki Raah Mein Jihaad Kya Aur Jin Logon Ne Inko Panaah Dee Aur Madad Kee Yeh Sab Aapas Mein Ek Doosre Ke Dost Hain...”
[Surah Al-Anfaal, Aayat : 72]
اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ اِخۡوَۃٌ فَاَصۡلِحُوۡا بَیۡنَ اَخَوَیۡکُمۡ وَ اتَّقُوا اللّٰہَ لَعَلَّکُمۡ تُرۡحَمُوۡن
“(Yaad Rakho !) Saarey Musalmaan Bhaai Bhaai Hain Pas Apne Do Bhaaiyon Mein Milaap (Sulah) Karaadiya Karo Aur Allaah Se Dartey Raho Taaki Tum Par Raham Kiya Jaaye.
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَسۡخَرۡ قَوۡمٌ مِّنۡ قَوۡمٍ عَسٰۤی اَنۡ یَّکُوۡنُوۡا خَیۡرًا مِّنۡہُمۡ وَ لَا نِسَآءٌ مِّنۡ نِّسَآءٍ عَسٰۤی اَنۡ یَّکُنَّ خَیۡرًا مِّنۡہُنَّ
Aye Eemaan Waalon ! Mard Doosre Mard Ka Mazaaq Na Udaaein Mumkin Hai Ke Yeh Unse Behtar Ho Aur Na Auratein Auraton Ka Mazaaq Udaaein Mumkin Hai Ke Yeh Unse Behtar Ho.
وَ لَا تَلۡمِزُوۡۤا اَنۡفُسَکُمۡ وَ لَا تَنَابَزُوۡا بِالۡاَلۡقَابِ ؕ بِئۡسَ الِاسۡمُ الۡفُسُوۡقُ بَعۡدَ الۡاِیۡمَانِ ۚ وَ مَنۡ لَّمۡ یَتُبۡ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الظّٰلِمُوۡن
Aur Aapas Mein Ek Doosre Ko Ayb Na Lagaao Aur Na Kisi Ko Burey Laqab Do Eemaan Ke Ba’d Fisq Buraa Naam Hai. Aur Jo Taubah Na Karein Wahi Log Zaalim Hain.”
[Surah Al-Hujuraat, Aayat : 10, 11]
وَ الَّذِیۡنَ تَبَوَّؤُ الدَّارَ وَ الۡاِیۡمَانَ مِنۡ قَبۡلِہِمۡ یُحِبُّوۡنَ مَنۡ ہَاجَرَ اِلَیۡہِمۡ وَ لَا یَجِدُوۡنَ فِیۡ صُدُوۡرِہِمۡ حَاجَۃً مِّمَّاۤ اُوۡتُوۡا وَ یُؤۡثِرُوۡنَ عَلٰۤی اَنۡفُسِہِمۡ وَ لَوۡ کَانَ بِہِمۡ خَصَاصَۃٌ وَ مَنۡ یُّوۡقَ شُحَّ نَفۡسِہٖ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡمُفۡلِحُوۡنَ
“Aur (Unke Liye) Jinho Ne Is Ghar Mein (Ya’ni Madeena) Aur Eemaan Mein In Se Pehle Jagah Banaali Hai Aur Apni Taraf Hijrat Karke Aaney Waalon Se Muhabbat Karte Hain Aur Muhajireen Ko Jo Kuch Dey Diya Jaaye Isse Woh Apne Dilon Mein Koi Tangi Nahi Rakhte Balke Khud Apne oopar unhein Tarjeeh Detey Hain Chaahey Khud Ko Kitni Hi Sakht Zaroorat Ho (Baat Yeh Hai) Ke Jo Bhi Apne Nafs Ke Bukhl Se Bachaaya Gaya Wahi Kaamyaab (Aur Baa Muraad) Hai."
وَ الَّذِیۡنَ جَآءُوۡ مِنۡۢ بَعۡدِہِمۡ یَقُوۡلُوۡنَ رَبَّنَا اغۡفِرۡ لَنَا وَ لِاِخۡوَانِنَا الَّذِیۡنَ سَبَقُوۡنَا بِالۡاِیۡمَانِ وَ لَا تَجۡعَلۡ فِیۡ قُلُوۡبِنَا غِلًّا لِّلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا رَبَّنَاۤ اِنَّکَ رَءُوۡفٌ رَّحِیۡمٌ
“Aur (Unke Liye) Jo Inke Baad Aayein Jo Kahengey Ke, Aye Hamaare Rabb Humein Bakhsh Dey Aur Hamaare Un Bhaaiyon Ko Bhi Jo Hum Se Pehle Eemaan Laa Chukey Hain Aur Eemaan Daaron Ki Taraf Se Hamaare Dil Mein Keena (Aur Dushmani) Naa Daal Aye Hamaare Rabb Beshak Tu Shafaqqat Aur Meharbaani Karne Waala Hai.”
[Sūrah Al-Hashr, Aayat : 9, 10]
《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
AL-BARAA (Allah ke liye Nafrat aur Dushmani) Allah Ta’ala Ke Faraameen Ki Raushni Mein
Last edited: