Allah Ke Liye Dosti Wa Muhabbat Aur Allah Hi Ke Liye Nafrat Wa Dushmani karna


Allah Ke Liye Dosti Wa Muhabbat Aur Allah Hi Ke Liye Nafrat Wa Dushmani karna

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

1. Al-Walaa Ka Matlab Hai Allaah Ke Liye Dosti Wa Muhabbat Karna. Isko Mawaalaat Bhi Kehte Hain.

2. Al-Baraa Ka Matlab Hai Allaah Ke Liye Kisi Se Nafrat Wa Dushmani Karna. Aur Isko Baraa-at Bhi Kehte Hain.

Aur Yeh Donon Haqeeqat Mein Eemaan Ki Bunyaadi Sifaat Hain.

Allaah Se Muhabbat Ka Taqaaza Yeh Hai Ke Allaah Ke Ambiyaa Karaam Aur Unke Itaa’at Guzaaron Se Muhabbat Kee Jaaye.

Isi Tarah Allaah Aur Uske Ambiyaa Karaam Ke Dushmanon Se Adaawat (Dushmani) Rakhi Jaaye Aur Unke Naafarmaano Se Zyaada Se Zyaada Bughz (Nafrat) Rakha Jaaye.

Islaami Aqeedey Ke Bunyaadi Usoolon Mein Se Ek Usool Yeh Bhi Hai Ke Har Musalmaan Par Ahle Islaam (Eemaan Waalon) Se Muhabbat Rakhna Aur Mukhaalifeen (Ya’ni Jo Islaam Ke Khilaaf Hai Unse) Dushmani Rakhna Waajib Hai.

Lihaaza Muwahhideen Wa Mukhliseen Se Muhabbat Jabke Mushrikeen Se Dushmani, Aur Yeh Millat-e-Ibraaheemi Ka Ek Hissa Hai Aur Jo Log Un Par Eemaan Laaye Unka Bhi Shewa Raha. Unhi Salaf Saaliheen Ki Pairvi Ka Allaah Ne Humein Hukm Bhi Diya Hai. Jaisa Ke Farmaan ilaahi Hai :

قَدۡ کَانَتۡ لَکُمۡ اُسۡوَۃٌ حَسَنَۃٌ فِیۡۤ اِبۡرٰہِیۡمَ وَ الَّذِیۡنَ مَعَہٗ ۚ اِذۡ قَالُوۡا لِقَوۡمِہِمۡ اِنَّا بُرَءٰٓؤُا مِنۡکُمۡ وَ مِمَّا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ ۫ کَفَرۡنَا بِکُمۡ وَ بَدَا بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَکُمُ الۡعَدَاوَۃُ وَ الۡبَغۡضَآءُ اَبَدًا حَتّٰی تُؤۡمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَحۡدَہ


“(Musalmaano!) Tumhaare Liye Ibraahim Mein Aur Unke Saathiyon Mein Behtareen Namoona Maujood Hai, Jabke Un Sab Ne Apni Qaum Se Khuley Aam Kehdiya Ke Hum Tum Se Aur Jin Jin Ki Tum Allaah Ke Siwa Ibaadat Karte Ho Un Sab Se Hum Baraa-at Wa Bezaari Ka Elaan Karte Hain. Hum Tumhaare (Aqaaid Ke) Munkir Hain. Hum Mein Aur Tum Mein Dushmani Aur Nafrat Hamesha Ke Liye Zaahir Hogayi Jab Tak Ke Tum Ek Allaah Par Eemaan Na Laao...”

[Al-Mumtahina, Aayat: 4]


Aur Yahi Zaabita Deen Muhammadi Ka Bhi Hai. Allaah Ne Farmaaya :


یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡیَہُوۡدَ وَ النَّصٰرٰۤی اَوۡلِیَآءَ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّہٗ مِنۡہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الظّٰلِمِیۡن

“Aye Eemaan Waalon ! Tum Yahood Wa Nasaara Ko Dost Na Banaao Woh Tou Aapas Mein Hi Ek Doosre Ke Dost Hain. Tum Mein Se Jo Koi Unse Dosti Karega Tou Phir Beshak Woh Bhi Unhi Mein Se Hai. Zaalimon Ko Allaah Hargiz Seedha Raasta Nahi Dikhaata.”

[Al-Maaidah, Aayat : 51]

Is Aayat Mein Khusoosan Ahle Kitaab (Ya’ni Yahood Wa Nasaara) Se Mawaalaat (Dosti) Wa Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Gaya Hai
, Jabke Aagey Farmaan ilaahi Mein Amooman Tamaam Kuffaar Ki Muhabbat Aur Hamdardi Ki Hurmat Aayi Hai:

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡا عَدُوِّیۡ وَ عَدُوَّکُمۡ اَوۡلِیَآء

“Aye Eemaan Waalon ! Mere Aur Khud Apne Dushmanon Ko Apna Dost Na Banaao...”

[Al-Mumtahinah, Aayat : 1]


Balke Allaah Ta’aalaa Ne Tou Muminon Par Kuffaar Ki Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Hai Chaahey Woh Kaafir Kitne Hi Qareebi Rishtedaar Hi Kyun Na Ho.

Farmaan ilaahi Hai:

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الظّٰلِمُوۡنَ

“Aye Eemaan Waalon ! Apne Baapon Ko Aur Apne Bhaaiyon Ko Dost Na Banaao Agar Woh Kufr Ko Eemaan Se Zyaada Azeez Rakhein, Tum Mein Se Jo Bhi Unse Muhabbat Rakhega Woh Poora Gunahgaar Zaalim Hai.”

[Soorah At-Taubah, Aayat : 23]


Musalmaan Aur Kaafir Baraabar Nahi Hosakte.

Jaisa Ke Allaah Ne Kaha:

اَفَمَنۡ کَانَ مُؤۡمِنًا کَمَنۡ کَانَ فَاسِقًا لَا یَسۡتَوٗنَ

“Kya Woh Jo Mumin Hai Uske Misl (Jaisa) Hai Jo Faasiq Hai ? Yeh Baraabar Nahi Hosakte.”


[Soorah As-Sajdah, Aayat: 18]

Aur Ek Jagah Farmaaya:


اَفَنَجۡعَلُ الۡمُسۡلِمِیۡنَ کَالۡمُجۡرِمِیۡنَ

“Kya Hum Musalmaanon Ko Gunahgaaron (Ya’ni Kaafiron) Jaisa Kardengey?"

مَا لَکُمۡٝ کَیۡفَ تَحۡکُمُوۡنَ

"Tumhe Kya Hogaya Hai Tum Kaise Faisley Karte Ho.”

[Al-Qalam, Aayat: 35-36]

Bohat Saarey Log Is Azeem Usool Aur Qaaidey Se Naa Waaqif Hain
, Ba’z Logon Ko Main Ne Sunaa Jo Khud Ko Aalim Kehte Hain Aur Woh Kaafiron Ko Bhi Hamaare Bhaai Ya Brother Kehte Hain” (Kitna Khatarnaak Jumlah Hai Yeh!)

Pas Jaisa Ke Allaah Ne Kuffaar Ki Muhabbat Ko Jo Aqeedah-e-Islaam Ke Dushman Hai Haraam Kiya Hai, Wahin Ahle Eemaan Ki Muhabbat Ko Eham Aur Waajib Qaraar Diya Hai.

Farmaan ilaahi Hai :

لَا تَجِدُ قَوۡمًا یُّؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ یُوَآدُّوۡنَ مَنۡ حَآدَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ لَوۡ کَانُوۡۤا اٰبَآءَہُمۡ اَوۡ اَبۡنَآءَہُمۡ اَوۡ اِخۡوَانَہُمۡ اَوۡ عَشِیۡرَتَہُمۡ

“Allaah Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Rakhne Waalon Ko Aap Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karne Waalon Se Muhabbat Rakhte Huye Nahi Paaengey Chaahey Woh Unke Baap Ya Unke Bete Ya Unke Bhaai Ya Unke Kumbey Qabeeley Ke Azeez Hi Kyun Na Ho.”

[Al-Mujaadalah, Aayat: 22]


Neez Allaah Ka Farmaan Hai:

اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ

“(Musalmaano!) Tumhaara Dost Khud Allaah Hai Aur Uska Rasool Hai Aur Eemaan Waale Hain Jo Namaazon Ki Paabandi Karte Hain Aur Zakaat Adaa Karte Hain Aur Woh Rukoo (Khushoo Wa Khuzoo) Karne Waale Hai."

وَ مَنۡ یَّتَوَلَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا فَاِنَّ حِزۡبَ اللّٰہِ ہُمُ الۡغٰلِبُوۡن

"Aur Jo Shakhs Allaah Se Aur Uske Rasool Se Aur Musalmaanon Se Dosti Kare, Yaqeen Maaney Ke Allaah Ta’aalaa Ki Jamaat Hi Ghaalib Rahegi.”

[Soorah Al-Maaidah, Aayat: 55-56]


Aur Allaah Ka Farmaan Hai:


مُحَمَّدٌ رَّسُوۡلُ اللّٰہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ مَعَہٗۤ اَشِدَّآءُ عَلَی الۡکُفَّارِ رُحَمَآءُ بَیۡنَہُم

“Muhammad (ﷺ) Allaah Ke Rasool Hain Aur Jo Log Unke Saath Hain Kaafiron Par Sakht Hai Aur Aapas Mein Raham Dil Hain.”

[Soorah Al-Fath, Aayat: 29]


Aur Farmaaya:


اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ اِخۡوَۃ

“(Yaad Rakho!) Saarey Musalmaan Bhaai Bhaai Hain.”

[Al-Hujuraat, Aayat: 10]


Lihaaza Ahle Eemaan Deen Wa Aqeedey Ke Bhaai Hain. Chaahey Nasab Aur Watan Aur Zamaana Wa Auqaat Door Aur Mukhtalif Hi Kyun Na Ho.


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 

Similar threads


Top