ALLAH AUR RASOOL KI ITA'AT


ALLAH AUR RASOOL KI ITA'AT
Tahreer: NASEER AHMED KASHIF hafizahullah
(Maahnaamah AL-HADIS, Sumaarah No.39, page:65)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
﴿يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَوَلَّوْا عَنْهُ وَأَنْتُمْ تَسْمَعُونَ[20] وَلَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ قَالُوا سَمِعْنَا وَهُمْ لَا يَسْمَعُونَ[21] إِنَّ شَرَّ الدَّوَابِّ عِنْدَ اللَّهِ الصُّمُّ الْبُكْمُ الَّذِينَ لَا يَعْقِلُونَ[22]﴾
(Surah al-Anfaal:20-22)
"Aye woh logo jo emaan laye ho! ALLAH aur uske RASOOL(sallallahu alaihi wasallam) ki ita'at karo aur tum is se muh nha phairo jabke tum sun rahe ho aur tum un logon ki tarah nah hojao jinho ne kaha tha: hum ne sonliya, haalaanke wo sonte nahi the. Yaqinan ALLAH ke nazdeek zameen par chalne wale bad'tareen (woh) bahre gonge hain jo aqal nahi rakhte."

FIQHUL QURAN:
1)ALLAH aur uske RASOOL sallallahu alahi wasallam ki ita'at farz hai.

2)Kitab o Suannat ke mukhalifeen ka ye tariqah hai ke ilm hojane ke bawajod NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki hadis ko radd kardete hai.

3)Quran O Hadis nah son'ne wale Quran O Hadis bayann nah karne wale logon ki misaal un jaanwaron ki tarah hai jo aqal rakhte balke wo un jaanwaron se bhi ziyadah gumraah hai.

4)Sirf zabaani taur par ye kah dena ke maine Quran O Hadis ka hukom sonliya, kaafi nahi hai balke amal ke saath us dawe ki tasdeeq zurori hai.

5)Agar che shar-al-Dawaab wali aayat banu Abdul-Daar ke bare me naazil howi hai. (Dekhiye: Sahih Bukhari:4646) likin ye apne nuzool ke saath khaas nahi hai balke har wo shakhs jo (jaan'ne ke bawajod) haq ki ittibaa nahi karta isee zeman me hai. (Dekheyi: Al-Tafsee al-Sahih Muaso al-Sahih al-Mabsor minal Tafseer bil-Maasor li-shaikh Hikmat Bin Basheer:2/392)
 

Similar threads


Top