ALLAAH KI NAAFARMAANI MEIN KISI KI ITAA'AT NAHIN KEE JAAYEGI


ALLAAH KI NAAFARMAANI MEIN KISI KI ITAA'AT NAHIN KEE JAAYEGI

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

قَال اللَّهُ تَعَالَى: {وَوَصَّيْنَا الإِْنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حُسْنًا وَإِنْ جَاهَدَاكَ لِتُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلاَ تُطِعْهُمَا إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأُنَبِّئُكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ}
(1)

Farmaan e ILaahi hai: "Aur Humne har insaan ko apne Waalidayn se achcha sulook karne ki wasiyat kee, aur agar woh dono tujh par zor daalein ke tu Mere saath us cheez ko shareek tehraaye jiska tujhe ilm nahin toh un dono ki itaa'at na karna, Meri hi taraf tumhein laut kar aana hai, phir Main tumhein bataaunga jo kuch tum amal karte the". (1)

قِيل: نَزَلَتْ فِي سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ. فَقَدْ رُوِيَ أَنَّهُ قَال: كُنْتَ بَارًّا بِأُمِّي فَأَسْلَمْتُ فَقَالَتْ: لَتَدَعَنَّ دِينَكَ أَوْ لاَ آكُل وَلاَ أُشْرِبُ شَرَابًا حَتَّى أَمُوتَ فَتُعَيَّرَ بِي، وَيُقَال: يَا قَاتِل أُمِّهِ. . وَبَقِيتُ يَوْمًا وَيَوْمًا. فَقُلْتُ: يَا أُمَّاهُ: لَوْ كَانَتْ لَكِ مِائَةُ نَفْسٍ، فَخَرَجَتْ نَفْسًا نَفْسًا مَا تَرَكْتُ دِينِي هَذَا، فَإِنْ شِئْتِ فَكُلِي، وَإِنْ شِئْتِ فَلاَ تَأْكُلِي. فَلَمَّا رَأَتْ ذَلِكَ أَكَلَتْ (2)

Kaha gaya hai ke Sa'd Bin Abi Waqqaas ke silsile mein ye aayat naazil hui, chunaanche marwi hai ke unhone farmaaya: Main apni waalidah ka farmaabardaar tha, Maine Islaam qubool karliya toh unhone kaha: Tum Ya toh is Deen ko chhord warnah main na khaaungi na kuch piyungi yahaan tak ke marjaaun, tu mujhe aar (zillat) dilaaya jaaye aur kaha jaaye: Aye apni Waalidah ke qaatil... Meri Waalidah ek din aur phir doosra din bhi isi haal mein rahi toh maine kaha: "Aye Maa ! Agar aap ki sau (100) jaanein ho aur ek ek karke saari jaanein nikal jaaein toh bhi main apne is Deen ko nahin chhordunga, aap chaahe khaalein Ya na khaaein, jab unhone aisa (mera iraadah) dekha toh khaaliya." (2)

《 Naaqil: Abd Al Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )
_____________

References:

(1) سورة العنكبوت / 8.


(2) الجامع لأحكام القرآن للقرطبي 13 / 328، وحديث سعد بن أبي وقاص قال: " كنت بارا بأمي فأسلمت. . . " أخرجه مسلم (4 / 1877 ـ ط الحلبي).
 

Similar threads


Top