ALLAAH KI IBAADAT KARNE WAALA MUWAHHID HAI AUR GHAIR ALLAAH KI IBAADAT KARNE WAALA MUSHRIK HAI


ALLAAH KI IBAADAT KARNE WAALA MUWAHHID HAI AUR GHAIR ALLAAH KI IBAADAT KARNE WAALA MUSHRIK HAI

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

☆ Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne farmaaya:

ولهذا كان كل من لم يعبد الله وحده فلابد أن يكون عابدا لغيره يعبد غيره فيكون مشركا، وليس في بني آدم قسم ثالث. بل إما موحد ، أو مشرك ، أو من خلط هذا بهذا كالمبدلين من أهل الملل : النصارى ومن أشبههم من الضلال ، المنتسبين إلى الإسلام

"Aur isiliye har woh shakhs jo Allaah akele ki ibaadat nahin karta toh Bilaa Shak woh Ghair Allaah ki ibaadat (zaroor) karta hai pas aisa shakhs Mushrik hai aur Bani Aadam (Insaanon) mein koi teesri qism nahin hai balke ya toh woh Muwahhid hai ya toh Mushrik hai ya aisa shakhs hai jo Tawheed ko Shirk ke saath milaa deta hai jaisa ke Millaton mein se (Deen ko) badalne waalon ne kiya. Maslan: Nasaaraa aur jo bhi inki mushaabihat karne waale (inke taur tareeqe par chalne waale) Gumraah log jo apni nisbat Islaam ki taraf karte hain." [1]

☆ Shaykh (Rahimahullaah) ne ye bhi farmaaya:

فكل من لم يعبد الله مخلصا له الدين ، فلا بد أن يكون مشركا عابدا لغير الله . وهو في الحقيقة : عابد للشيطان . فكل واحد من بني آدم إما عابد للرحمن ، وإما عابد للشيطان

"Pas har woh shakhs jo khaalis Allaah (akele) ki ibaadat nahin karta, Bilaa Shak wa Shubah woh Mushrik hai jo Ghair Allaah ki ibaadat (zaroor) karta hai. Aur haqeeqat mein woh Shaytaan ki ibaadat karne waala hai. Pas har koi Bani Aadam (Insaanon) mein se ya toh Al-Rahmaan ki ibaadat karne waala hota hai ya toh Shaytaan ki ibaadat karne waala." [2]

☆ Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne farmaaya:

فمن استكبر عن عبادة الله لم يكن مسلما، ومن عبد مع الله غيره لم يكن مسلما

"Pas jisne bhi Allaah (akele) ki ibaadat karne se takabbur kiya woh hargiz Musalmaan nahin hai aur jo bhi Allaah ke saath saath kisi Ghair ki bhi ibaadat karey aisa shakhs bhi hargiz Musalmaan nahin hai."
[3]

وما عليّ إلا البلاغ ، ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Mutarjim: Abd Al Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_____________

References:

[1] Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 14, Pg: 282.


[2] Majmoo' Al-Fataawaa, Jild: 14, Pg: 284.

[3] Kitaab Al-Nubuwwaat, Pg: 127.
 

Similar threads


Top