ALLAAH KE RASOOL PAR JHOOTA ILZAAM LAGAAYA JAATA HAI JIS SE QUR'AAN KI AAYAAT KI TAKZEEB HOTI HAI


ALLAAH KE RASOOL PAR JHOOTA ILZAAM LAGAAYA JAATA HAI JIS SE QUR'AAN KI AAYAAT KI TAKZEEB HOTI HAI

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Woh ilzaam kya hai jo Qur'aan ki aayaat ko jhutlaati hai ?

Woh jhoot ye hai ke Allaah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi kisi ko Kaafir nahin kaha.

Aaiye Qur'aan aur Ahaadees se jawaab talab karte hain.

Allaah (تعالى) ne apne Rasool (ﷺ) ko hukm diya ke:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم، بسم الله الرحمن الرحيم.
یٰۤاَیُّهَا الۡمُدَّثِّرُ. قُمۡ فَاَنۡذِرۡ

"Aye Kapda oardhne waale. Utho aur (logon ko) daraao."
(1)

Is aayat mein ye baat waazeh taur par bataayi gayi hai ke Allaah (تعالى) ne Rasool (ﷺ) ko khullam khulla wa alaaniyah taur par logon ko daraane ko kaha hai toh jab Rasool (ﷺ) logon ko daraate toh yaqeenan sab ke saamne aawaaz buland karke hi daraate.

Hadees mein aaya hai ke:

عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا خَطَبَ احْمَرَّتْ عَيْنَاهُ وَعَلَا صَوْتُهُ وَاشْتَدَّ غَضَبُهُ حَتَّى كَأَنَّهُ مُنْذِرُ جَيْشٍ يَقُولُ صَبَّحَكُمْ وَمَسَّاكُمْ

"Jaabir Bin 'Abdullaah (Raziyallaahu 'Anhu) ne bayaan kiya ke Jab Rasool Allaah (ﷺ) khutbah dete toh Aapki aankhen surkh (laal) hojaati, aawaaz buland hojaati aur Aap ke ghusse ki kaifiyat shadeed hojaati thi yahaan tak ke aisa lagta jaise Aap kisi lashkar se daraa rahey hain farmaa rahey hain ke woh (lashkar) Subah ya Shaam (tak) tumhen aalega." (2)

Dekhiye Rasool Allaah (ﷺ) ka andaaz e bayaan jab Aap (ﷺ) logon ko daraate toh kaisa hota tha.

Allaah (تعالى) ne ek doosre maqaam mein Rasool (ﷺ) ko farmaaya:

يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنزِلَ إِلَيْكَ مِن رَّبِّكَ ۖ وَإِن لَّمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسَالَتَهُ ۚ وَاللَّهُ يَعْصِمُكَ مِنَ النَّاسِ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِينَ.

"Aye Rasool (ﷺ) jo kuch bhi Aapki taraf Aapke Rabb ki jaanib se naazil kiya gaya hai pohnchaa deejiye. Agar Aapne aisa na kiya toh Aapne Allaah ki Risaalat adaa nahin kee (ya'ni Allaah ka paighaam logon tak nahin pohnchaaya) aur Aapko Allaah (تعالى) logon se bachaalega, Beshak Allaah (تعالى) Kaafiron ko hidaayat nahin deta." (3)

Is aayat se hamen saaf pata chal raha hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ko Allaah ne Hukm diya ke Aap Mera paighaam logon tak pohnchaaye toh Rasool (ﷺ) ne waise hi kiya.

Rasool Allaah (ﷺ) ka pehla aur Aakhri Hajj jisey Hajjatul-Wadaa' kaha jaata hai us mein Aap (ﷺ) ka mash'hoor khutabh jis mein ghaaliban ek laakh (1 lakh) se zyaadah log maujood the, un tamaam logon ke saamne Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

اللَّهُمَّ هَلْ بَلَّغْتُ، ‏‏‏‏‏‏قَالُوا:‏‏‏‏ نَعَمْ، ‏‏‏‏‏‏ثَلَاثَ مَرَّاتٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ اللَّهُمَّ اشْهَدْ، ‏‏‏‏‏‏ثَلَاثَ مَرَّاتٍ.

"Aye Allaah kya maine pohncha diya ?" Logon ne teen baar kaha: Haan (Aapne pohncha diya). Rasool Allaah (ﷺ) ne (bhi) teen baar farmaaya: "Aye Allaah tu gawaah reh, Aye Allaah tu gawaah reh, Aye Allaah tu gawaah reh."
(4)

Toh aaiye hamaara jo mawzoo hai uski taraf chalte hain.

Qur'aan ke andar hamen beshumaar dalaael milenge jahaan Allaah ki kitaab mein Kaafir, Kaafiroon, Kaafireen, Kuffaar, Mushrikoon, Mushrikeen aise alfaaz milenge.

Kya khayaal hai Rasool Allaah (ﷺ) ne Kabhi nahin kaha Kaafiron ko Kaafir ?
Kya aisa kehne waala ke Rasool Allaah (ﷺ) ne kabhi kisi ko Kaafir nahin kaha, Kya woh Qur'aan ke aayaat ko jhutla raha hai ya nahin ?

Aur Qur'aan ke ek harf ko bhi jhutlaane waala Kaafir hai.

Rasool Allaah (ﷺ) hum sab se zyaadah Allaah (تعالى) ke hukmon par chalne waale aur hum sab se zyaadah Allaah ka khauf rakhne waale the jaisa ke khud Rasool (ﷺ) ne apne baare mein kaha:

أَمَا وَاللَّهِ إِنِّي لَأَخْشَاكُمْ لِلَّهِ وَأَتْقَاكُمْ لَهُ

"Sunlo ! Allaah ki Qasam ! Allaah (تعالى) se Main tum sabse zyaadah darne waala hoon. Main tum mein sab se zyaadah Muttaqi (parhezgaar) hoon." (5)

Toh phir chaliye is baatil wa ghalat nazariye ka khaatmah Allaah ke kalaam se karte hain jis mein Allaah (تعالى) ne apne Rasool (ﷺ) ko hukm diya ke:

قُلۡ یٰۤاَیُّهَا الۡکٰفِرُوۡنَ

"Aap keh deejiye ke Aye Kaafiro !" (6)

Allaah ke hukm ko maanna aur uspar chalna ibaadat hai toh phir Takfeer karna bhi ibaadat hui kyunke ye Hukm e Ilaahi hai.
Ab agar koi Jaahil, Kazzaab, Ghaddaar, Khayaanatdaar, Ghaleez Shakhs baghair ilm ke aur baghair Deen ki samajh rakhte hue ye kahey ke ye Hukm toh Rasool Allaah (ﷺ) ko diya gaya tha hamen nahin toh usey Allaah (تعالى) ka ye farmaan dekhna chaahiye jisey Rasool Allaah (ﷺ) ne naqal kiya hai:

إِنَّ اللَّهَ أَمَرَ الْمُؤْمِنِينَ بِمَا أَمَرَ بِهِ الْمُرْسَلِينَ

"Yaqeenan Allaah ne Muminon ko bhi usi baat ka Hukm diya jiska Rasoolon ko Hukm diya." (7)

Bus is mawzoo' ko Allaah (تعالى) ke is farmaan se khatm karte hain jis mein Allaah (سبحانه وتعالى) ne farmaaya:

لَّقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ

"Yaqeenan tumhaare liye Rasool Allaah (ﷺ) mein behtareen namoonah (maujood) hai."
(8)

Aur ye baat hum jaante hain ke ibaadat ke qubool hone ke liye Rasool (ﷺ) ka tareeqah shart hai.

Toh jo log Rasool Allaah (ﷺ) par ye ilzaam lagaate hain unhe ma'loom karna chaahiye ke ye kitna khatarnaak jurm hai jiski wajah se Insaan Kaafir hojaata hai.

Allaah se du'aa hai ke hamen Deen ki saheeh samajh ataa karey aur buri samajh se hum Us Allaah ki panaah chaahte hain.

اللهم فقهنا في الدين و نعوذ بك من سوء الفهم ولله الحمد والمنة و أعلم

Muharrir (Writer): 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )

_____________
References:

(1) Soorah No. 74, Al-Muddaththir, Aayaat: 1, 2.
(2) Saheeh Muslim: 2005.
(3) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 67.
(4) Sunan Abu Daawood: 3334.
(5) Saheeh Al-Bukhaari : 5063.
(6) Soorah No. 109, Al-Kaafiroon, Aayah: 1.
(7) Saheeh Muslim: 2346.
(8) Soorah No. 33, Al-Ahzaab, Aayah: 21.
 

Similar threads


Top