ALLAAH KE KALIMAH KO BULAND KARNE KE TAREEQE


ALLAAH KE KALIMAH KO BULAND KARNE KE TAREEQE

بسم الله الرحمن الرحيم

• Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya:
جَاهِدُوا الْمُشْرِكِينَ بِأَمْوَالِكُمْ وَأَنْفُسِكُمْ وَأَلْسِنَتِكُمْ
"Mushrikeen se apne Amwaal (Maal), apni Jaanon aur apni Zubaanon se Jihaad karo." [1]

FAWAAYED
: J!haad ka lafz sirf Q!taal ke liye hi istemaal nahin kiya jaata balke lughatan us mein jis tarah umoom hai, istelaahi taur par bhi uska ma'naa umoom ka haamil hai ke Allaah ke Kalimah ko buland karne ke liye kee jaane waali har koshish J!haad kehlaayegi. Jaisa ke mazkoorah Hadees mein Maal, Jaan aur Zubaan se J!haad ka zikr hai. Albattah jab J!haad ka lafz mutlaq istemaal ho toh wahaan Q!taal ke ma'naa mein hoga. Wallaahu A'lam.

IS RAASTE MEIN HAMESHAH DUSHMANON KI MAUJOODGI RAHEGI

• Muhammad Bin 'Abdul-Wahhaab (Rahimahullaah):
Jaanlo ke Allaah (تعالى) ne apni Hikmat wa Maslahat e Khaassah se jab kisi Nabi ko Tawheed ki da'wat dene ke liye bheja toh unke Dushman bhi khadey kardiye jaisa ke Farmaan e ILaahi hai:
وَكَذَ ٰ⁠لِكَ جَعَلۡنَا لِكُلِّ نَبِیٍّ عَدُوࣰّا شَیَـٰطِینَ ٱلۡإِنسِ وَٱلۡجِنِّ یُوحِی بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضࣲ زُخۡرُفَ ٱلۡقَوۡلِ غُرُورࣰا
"Aur isi tarah humne Insaanon aur Jinnon mein se Shayaateen (ko), har Nabi ke dushman banaayein, un mein se har ek doosre ke kaan mein chikni chupdi baatein daalta rehta hai taake usey dhoke mein rakhe." [2]

AHL e BAATIL KE ULOOM WA FUNOON

• Ba'z auqaat Tawheed ke dushman maz'oomah (qiyaasi) uloom (fields of knowledge) wa funoon (sciences, arts), kitaabon aur dalaayel ke hathyaaron se lais hote hain. Farmaan e ILaahi hai:
فَلَمَّا جَاۤءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَیِّنَـٰتِ فَرِحُوا۟ بِمَا عِندَهُم مِّنَ ٱلۡعِلۡمِ
"Phir jab unke Rasool khuli nishaaniyaan (dalaayel) lekar unke paas aaye toh woh us (jhoote) ilm par itraate rahey jo unke paas tha." [3]

• Jab aap ke ilm mein ye baat aagayi ke Allaah (تعالى) ki raah mein rukaawat banne ke liye baatil ke Ashaab e ILm fasaahat wa balaaghat aur dalaayel ke hathyaar lekar baithe hue hain toh Aap par waajib hai ke Deen ka ILm seekhein, ye Aapke paas hathyaar hoga jis se un (Insaanon mein se) Shayaateen ka Aap muqaablah kar sakenge.

• In Shayaateen ke Sardaar Iblees ne Allaah (تعالى) ke darbaar mein da'waa kiya tha.
قَالَ فَبِمَاۤ أَغۡوَیۡتَنِی لَأَقۡعُدَنَّ لَهُمۡ صِرَ ٰ⁠طَكَ ٱلۡمُسۡتَقِیمَ ۔ ثُمَّ لَـَٔاتِیَنَّهُم مِّنۢ بَیۡنِ أَیۡدِیهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ وَعَنۡ أَیۡمَـٰنِهِمۡ وَعَن شَمَاۤئِلِهِمۡ وَلَا تَجِدُ أَكۡثَرَهُمۡ شَـٰكِرِینَ
"Usne kaha: Pas is wajah se ke Toone mujhe gumraah kiya toh main un (logon ko gumraah karne) ke liye Tere seedhe raaste par zaroor baithoonga. Phir main unke saamne se aur unke peeche se unke paas zaroor aaunga, aur unke daayein (right) se aur unke baayein (left) se bhi (aaunga), aur Tu unki aksariyat ko shukr guzaar nahin paayega." [4]

• Lekin jab Aapki tawajjah Allaah (تعالى) ki taraf hogi aur Qur'aani Dalaayel par Aap ghaur wa fikr karenge toh phir na khauf ki gunjaayish rehti na gham ki. Farmaan e ILaahi hai:
إِنَّ كَیۡدَ ٱلشَّیۡطَـٰنِ كَانَ ضَعِیفًا
"Beshak Shaytaan ki chaal badi kamzor hai." [5]

• Muwahhideen mein se ek aam Muwahhid Mushrikeen ke hazaar 'Ulamaa' par bhaari hota hai. Khud Allaah (تعالى) ka irshaad hai:
وَإِنَّ جُندَنَا لَهُمُ ٱلۡغَـٰلِبُونَ
"Aur hamaara hi lashkar ghaalib (aur bartar) rahega." [6]

• Is se ye saabit hua ke Allaah (تعالى) ka lashkar (bilkul isi tarah) Dalaayel aur Zubaan se ghaalib hota hai jis tarah ke woh Talwaar aur Neyze se ghaalib hota hai. Khatrah toh us Muwahhid ko hai jo baghair hathyaar ke Raah e J!haad par jaaraha hai (chaahe woh Maidaan e Jung mein J!haad karna ho Ya Dalaayel wa Zubaan se J!haad).

QUR'AAN e MAJEED MEIN BAATIL PARASTON KE HAR E'TERAAZ KA JAWAAB MAUJOOD HAI

• Allaah (تعالى) ne hum par Qur'aan e Majeed naazil farmaakar azeem ehsaan farmaaya hai ke is mein har cheez jiska Hidaayat se ta'lluq hai bayaan kardi gayi hai. Woh Musalmaanon ke liye Hidaayat, Rehmat aur Bashaarat hai. Ahl e Baatil jo bhi e'teraaz Ya daleel pesh karein Qur'aan e Majeed mein uska hal maujood hai, Farmaan e ILaahi hai:
وَلَا یَأۡتُونَكَ بِمَثَلٍ إِلَّا جِئۡنَـٰكَ بِٱلۡحَقِّ وَأَحۡسَنَ تَفۡسِیرًا
"Woh log jo bhi tumhaare saamne e'teraaz ki baat pesh karte hain. Hum uska haqeeqi aur behtareen tashreeh ke saath jawaab bhej dete hain." [7]

Ba'z Mufassireen ka kehna hai ke ye Aayat har us Daleel ko shaamil karti hai jo Baatil parast Qiyaamat tak ghard kar laayenge. [8]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:


[1] Sunan Abu Daawood: 2504 (Saheeh); Sunan Al-Nasaai: 3098; Musnad Ahmad: 9943, 27716; Sunan Al-Daarmi: 2745, Saheeh Ibn Hibbaan: 4808.

[2] Soorah No. 6, Al-An'aam, Aayah: 112.

[3] Soorah No. 40, Al-Mu'min, Aayah: 83.

[4] Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayaat: 16, 17.

[5] Soorah No. 4, Al-Nisaa, Aayah: 76.

[6] Soorah No. 37, Al-Saaffaat, Aayah: 173.

[7] Soorah No. 25, Al-Furqaan, Aayah: 33.


[8] Kashf Al-Shubuhaat, Muhammad Bin 'Abdul-Wahhaab (Rahimahullaah) ki.
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Ta’leem o Ta’allum 0

Similar threads


Top