ALLAAH KA KHAUF AUR USKE SAMARAAT AUR ZARAAE HUSOOL


ALLAAH KA KHAUF AUR USKE SAMARAAT AUR ZARAAE HUSOOL

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai/ Islamic Dawah Center Taif (Saudi Arab)
Romanised by Khadija Muhammadi
Khauf E Dil Be Chaini Ka Naam Hai. Jab Insaan Haraam Kaam Aur Masiyat Ka Irtikaab Karta Hai To Uska Dil Allaah Ke Khauf Se Laraz Jata Hai. Isi Tarah Allaah Ne Jin Kaamo Ke Karne Ka Hukam Diya Use Chhodne Se Bhi Dil Be Chain Ho Jata Hai Ya Un Par Amal Kar Ke Adam E Qabuliyat Ka Khadsha Mehsoos Karta Rehta Hai Usi Ka Naam Khauf E Ilaahi Hai. Ek Moamin Se Yah Khauf Matloob Hai Kuy Kr Allaah Ka Khauf Ibadat Hai Aur TAUHEED Me Shaamil Hai.
Qur'aan Me Khauf Se Mutalliq Mutaddid Qisam Ke Alfaaz Aur Kalme Aae Hai.
اتقوا: فاتقوا الله ما استطعتم(التغابن:16)
Tarjumah:Jitni Taqat Rakhte Ho Allaah Se Daro.
نذيرا: يا أيها النبي انا ارسلناك شاهدا ومبشرا ونذيرا.(الاحزاب: 45)
Tarjumah:Ay Nabi Ham Ne Aap Ko Gawahi Dene Wala,Basharat Dene Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bheja Hai.
خوف:انما ذالكم الشيطان يخوف اولياءه فلا تخافوهم ويخافون ان كنتم مؤمنين.(آل عمران: 175)
Tarjumah: Yah Khabar Dene Wala Shaitaan Hi Hai Jo Apne Dosto Se Darata Hai Tum Un Kaafiro Se Na Daro Aur Mera Khauf Rakho Agar Tum Moamin Ho.
وجلت: انما المؤمنون الذين إذا ذكر الله وجلت قلوبهم.(الانفال:2)
Tarjumah: Bas Imaan Wale To Ayse Hote Hai Ke Jab Allaah Ka Zikar Aata Hai To Unke Dil Dar Jate Hai.
خشيه: ان الذين هم من خشية ربهم مشفقون.(المؤمنون:57)
Tarjumah: Yaqeenan Jo Log Rab Ki Haibat Se Darte Hai.
رهبت: واياي فارهبون.(البقرة:40)
Tarjumah: Aur Mujh Hi Sd Daro.
رهق: وانه كان رجال من الانس يعودون برجال من الجن فزادوهم رهقا.(الجن:6)
Tarjumah: Baat Yah Hai Ke Chand Insaan Kuch Jinnat Se Panaah Talab Kiya Karte The Jis Se Jinnat Apni Sarkashi Me Aur Badh Gae Kuch Ne Kaha Jinnat Ne Unhe Mazeed Khauf Me Mubtila Kar Diya.
In Aayat Se Malum Hota Hai Ke Sirf Allaah Se Darna Chahiye. Yaha Ek Baat Ki Wazaahat Karte Hue Aage Chalta Hu Taaki Topic Bilkul Saaf Ho Jaae.
KHAUF KI QISME:
Darne Ka Mustahiq Sirf Allaah Hi Hai Uske Mukable Me Kisi Se Darna Ibadat Me Shirk Kehlaae Ga Uski 2 Surat Ban Sakti Hai.
(1) Bando Se Dar Kar Deen Par Amal Karna Chhod De. Iski Misaal Jaise Aap Yaha Saudi Ne Aameen Zor Se Bolte Hau Jab Apne Mulk Me Jate Hai To Logo Ke Dar Se Yah Amal Chhod Dete Hai.
(2) Gairullaah Se Is Tarah Darna Ya Darne Ka Aqeedah Rakhna Ke Woh Allaah Ke Bagair Khud Se Nuqsaan Pohncha Sakta Hai Maslan Boot,Wali,Jin, Mayyat Aur Khayali Bhatakti Roohe Wagairah.
Is Baat Ka Zikar Allaah Ne Qur'aan Me Kiya Hai:
انما ذالكم الشيطان يخوف اولياءه فلا تخافوهم وخافون ان كنتم مؤمنين.(آل عمران:175)
Tarjumah: Yah Khabar Dene Wala Shaitaan Hi Hai Jo Apne Dosto Se Darata Hai Tum Un Kaafiro Se Na Daro Aur Mera Khauf Rakho Agar Tum Moamin Ho.
Is Liye Kisi Surat Me Allaah Ke Alawah Dil Me Dusro Ka Dar Nahi Paida Kiya Jaae Ga Faidah,Nuqsaan Ka Malik Sirf Aur Sirf Allaah Hi Hai. Allaah Ke Hukam Ke Bagair Koi Hamara Kuch Bhi Bigaad Nahi Sakta. Farmaane Ilaahi Hai:
وان يمسسك الله بضر فلا كاشف له إلا هو وان يمسسك بخير فهو على كل شيء قدير.(الانعام:17)
Tarjumah: Agar Allaah Tumhe Kisi Qisam Ka Nuqsaan Pohncha E To Uske Siwa Koi Nahi Jo Unhe Us Nuqsaan Se Bacha Sake Aur Agar Woh Tumhe Kisi Bhalaai Se Behra Mand Kare To Woh Har Chiz Par Qaadir Hai.
Ha Tabai Khauf Is Khauf Se Alag Hai Woh Fitri Chiz He,Saanp Ko Dekh Kar,Darindo Ko Dekh Kar Insaan Dar Jata Hai. Yah Dar Allaah Ke Mukable Me Nahi Hota Hai Yah Sirf Fitratan Aysa Hota Hai Jaisa Ke Moosa Alyhis Salaam Saanp Se Dar Gae. Allaah Ka Farmaan Hai:
والق عصاك فلما رآها تهتز كأنها جان ولى مدبر ولم يعقب يا موسى لا تخف اني لا يخاف لدي المرسلون.(النمل: 10)
Tarjumah: Tu Apni Lathi Daal De Moosa Ne Jab Use Halta Jhulta Dekha Is Tarah Ke Goya Woh Ek Saanp Hai To Munh Mode Hue Pith Phair Kar Bhage Aur Palat Kar Bhi Na Dekha Ay Moosa Khauf Na Kha,Mere Huzur Me Paigambar Dara Nahi Karte.
Allaah Ka Farmaan Hai:
يا أيها الذين آمنوا اتقوا الله حق تقاته ولا تموتن إلا وانتم مسلمون.(آل عمران:102)
Tarjumah: Ay Imaan Walo Allaah Se Utna Daro Jitna Us Se Darna Chahiye Dekho Marte Dam Tak Musalmaan Hi Rehna.
Baaz Ulma Ne Is Aayat Ko "فاتقوا الله ما استطعتم " (Jitni Taqat Ho Allaah Se Daro) Se Mansukh Qaraar Diya Hai Halanki Jamhur Muhaqqiqeen Ka Kehna Hai Ke Yaha Haq Taqatahu Me Apni Taqat Bhar Darne Ka Hi Hukam Hai Kuy Ke Allaah Bando Ko Taqat Se Ziyada Mukallaf Nahi Banata. Allaah Ka Farmaan Hai:
لا يكلف الله نفسا الا وسعها.(البقرة:286)
Tarjumah: ALLAAH Kisi Jaan Ko Uski Taqat Se Ziyada Taklif Nahi Deta.
Ek Hadees Me Nabi SAV Maaz Bin Jabal RA Se Puchte Hai:
هل تدرى ما حق على العباد؟قال قلت الله ورسوله اعلم. قال فإن حق الله على العباد ان يعبدوه ولا يشركوا به شيئا. (مسلم:30)
Tarjumah: Kya Tum Jante Ho Ke Allaah Ka Haq Bando Par Kya Hai?To Unhone Kaha Ke Allaah Aur Uske Rasool Behtar Jante Hai. Aap Ne Farmaya:ALLAAH Ka Haq Bando Par Yah Hai Ke Woh Sirf Usi Ki Ibaadat Kare Aur Uske Sath Kisi Dusre Ko Shareek Na Kare.
Jis Bande Ne Sirf Allaah Ki Ibaadat Ki Aur Uske Sath Kisi Ko Shareek Nahi Tehraya To Usme Allaah Ka Haq Ada Kar Diya.
Ham Jaha Bhi Rahe Tanhaai Ho Ya Jamaat Safar Ho Ya Hazar,Raat Ho Ya Din Hamesha Allaah Ka Taqwah Ikhtiyaar Karna Hai Uska Khauf Khana Hai Aur Us Se Darte Rehna Hai Tirmizi Me Hasan Darje Ki Rivayat Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اتق الله حيث ما كنت واتبع السيئة الحسنة تمحها وخالق الناس بخلق حسن.(الترمذي:1987)
Tarjumah:Jaha Bhi Rahi Allaah Se Daro,Buraai Ke Baad(Jo Tum Se Ho Jae) Bhalaai Karo Ho Buraai Ko Mita De Aur Logo Ke Sath Husne Akhlaaq Se Paish Aao.
" اتق الله حيث ما كنت"
Bahut Hi Jaame Kalmah Hai. Ham Tanhaai Me Hote Hai Sath Me Net Wala Mobile Hota Hai Isme Khawahishaate Nafas Ka Har Saman Maujud Hai Allaah Ka Khauf Nahi Hoga To Yaha Buraai Karne Se Nahi Ruk Sakte. Kisi Ke Zimma Company Ka Hisaab Aur Kitaab Ho To Is Mamle Me Wahi Ameen Hoga Jo Allaah Se Darne Wala Hoga Lekin Aksar Log Allaah Se Nidar Hai. Aaj Buraai Ka Zamana Hai Mamuli Paiso Me Zina Karne Ko Mil Jata Hai Shaitaan Behka Kar Shaitaani Kaam Karwata Hai Bachta Wahi Hai Jo Allaah Ka Khauf Khata Hai Kaha Hai Koi Keh De "اني اخاف الله" Me Allaah Se Darta Hu.
Aaj Hamare Paas Har Qisam Ka Khauf Hai, Gurbat Ka Khauf Hai, DUSHMAN Ka Khauf Hai,Nokri Chale Jane Ka Khauf Hai,Salary Kat Jane Ka Khauf Hai,Bimaari Ka Khauf Hai. Agar Khauf Nahi To Allaah Ka Khauf Nahi Hai Jab Ke Sirf Allaah Ka Khauf Khana Chaahiye Tha. Allaah Ka Farmaan Hai:
واياي فارهبون.(البقرة:40)
Tarjumah:Aur Mujh Hi Se Daro.
Us Khauf Ko Dil Me Paiwast Karne Ke Liye Allaah Ne Paigambaro Ko Bheja,Nabi Akram SAV Ke Mutalliq Farmaya:
يا أيها النبي انا ارسلناك شاهدا ومبشر ونذيرا.(الأحزاب:45)
Tarjumah: Ay Nabi Ham Ne Aap Ko Gawahi Dene Wala Basharat Dene Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bheja Hai.
Allaah Ne Aap SAV Ke Sath Sare Nabiyo Ko Basheer Aur Nazeer Bana Kar Bheja. Surah Nisaa Me Allaah Ka Farmaan Hai رسلا مبشرين و منذرين Yani Ham Ne Rasool Banaya Hai Khishkhabriya Sunane Wala Aur Darane Wala.(165)
Mubashsheer Ka Matlab Imaan Laane Walo Ko Jannat Aur Uski Nemato Ki KhushKhabri Dene Wala Aur Nazeer Ka Matlab Imaan Se Mukarne Walo Ko Jahnnam Aur Uski Holnaak Azaab Se Darane Wala.
Allaah Ka Khauf Khaae Yani Allaah Ki Azmat Aur Jalaal Ka Ahsaas Kare Uske Samne Khade Hone Ka Tasawur Kare Aur Is Baat Ki Fikar Kare Ke Woh Khuli Chhupi Tamaam Bato Ko Janta Hai.
واسروا قولكم أو اجهروا به انه عليم بذات الصدور.(الملك: 13)
Tarjumah: Apni Bato Ko Zaahir Karo Ya Chupaao Woh To Seeno Ke Bhed Ko Bhi Janta Hai.
Salaf E Saleheen Ka Allaah Se Khauf Khana Aur Us Khauf Se Rona
Nabi SAV,Sahaba Karaam Aur Aslaaf Izaam Se Allaah Se Be Panaah Darne Ka Zikar Milta Hai Yah Log Allaah Ke Khauf Se Raat Raat Bhar Roya Karte Mahino Bimaar Rehte Jis Tarah Haandi Me Paani Kholta Hai Us Tarah Rone Ka Zikar Milta Hai Iski Be Shumaar Misaale Hai Jin Par Ulma Ne Mustaqil Kitaabe Likhi Hai. Khauf E Ilaahi Aur rone Ki Chand Ek Misaal Deta Hu.
(1) Abu Baqar RA Ne Ek Sparrow Ko Tree Par Betha Dekha To Bole Ay Sparrow Tumhare Liye Basharat Hai Tum Tree Par Bethi Ho Phal Khaati Ho Aur Udh Jati Ho Na Koi Hisaab Hai Na Koi Azaab,Ay Kaash Me Bhi Tumhare Jaisa Hota.
(2) Umar RA Kehte Hai Ke Kaash Me Mendha Hota Use Mota Taza Kar Zabaah Kar Ke Kha Liya Jata Magar Insaan Na Hota Ek Martaba Jab Unhone Surah Toor Ki Yah Aayat Padhi
ان عذابك ربك لواقع
Beshak Aap Ke Rab Ka Azaab Ho Kar Rehne Wala Hai. To Bahut Rone Lage Yaha Tak Ke Bimaar Padh Gae Bukhari Sharif Me Hai Umar RA Kehte Hai:
والله لو ان لي طلاع الأرض ذهبا لا فتديت به من عذاب الله عز وجل قبل ان أراه.(صحيح البخاري:3692)
Tarjumah: ALLAAH Ki Qasam Agar Mere Paas Zameen Bhar Gold Hota To Allaah Ke Azaab Ka Samna Karne Se Pehle Uska Fidiya De Kar Us Se Najaat Ki Koshish Karta.
(3) Abu Zar Gaffari RA Ne Kaha:
يا ليتني كنت شجرة تعضد.
Ay Kaash Me Tree Hota Jo Kaat Diya Jata.
(4) Anas Bun Maalik RA Kehte Hai:
لو تعلمون ما اعلم لضحكتم قليلا ولبكيتم كثيرا.(صحيح البخاري:6486)
Ay Mere Sahaba Agar Log Woh Jaan Le Jo Me Janta Hu To Fir Bahut Kam Hanso Ge Aur Ziyada Ro'oge.
(5) Usmaan RA Jab Kisi Qabar Par Jaate To Itna Rote Ke Dadhi Bhig Jati Aap Se Pucha Jata Ke Jannat Jahnnam Ke Zikar Par Aap Nahi Rote Is Par Kuy Rote Hai? To Woh Jawaab Dete Ke Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان القبر أول منازل الاخرة فإن نجا منه فما بعده أيسر منه وان لم ينج منه فما بعده أشد منه قال وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم ما رأيت منظرا قط إلا والقبر أفظع منه.(ابن ماجه: 3461)
Tarjumah: Aakhirat Ke Manazil Me Se Qabar Pehli Manzil Hai Pas Agar Kisi Ne Qabar Ke Azaab Se Najaat Paai To Uske Baad Ke Maraahil Aasaan Honge Aur Agar Jise Azaab E Qabar Se Najaat Na Mil Saki To Uske Baad Ke Manazil Sakhat Tar Honge Usmaan RA Ne Aur Kaha Ke Rasool SAV Ne Irshaad Farmaya: Ghabraahat Aur Sakhti Ke Aitbaar Se Qabar Ki Tarah Kisi Aur Manzar Ko Nahi Dekha.
(6) Khalifa E Aadil Umar Bin Abdul Azeez Ki Biwi Fatimah Se Aap Ki Ibaadat Ke Mutalliq Pucha Gaya To Unhone Jawab Diya Ke Woh Bahut Ziyada Nafli Ibadat Aur Aur Bahut Ziyada Nafli Roze Nahi Rakha Karte The Lekin Un Se Ziyada ALLAAH Se Darne Wala Kisi Ko Nahi Dekha Jab Woh Bistar Par Allaah Ko Yaad Karte To Uske Khauf Se Is Tarah Kaanpte Jis Tarah Shiddat E Khauf Se Parinda Phadphadata Hai.(شذا الرياحين من أخبار الصالحين)
(7) Ibne Abi Haatim Nd Abdul Azeez Bin Abi Dawood Se Rivayat Ki Hai Ke Jab Rasool SAV Ne Yah Aayat Padhi:
يا أيها الذين آمنوا قوا أنفسكم واهليكم نارا وقودها الناس والحجارة.(التحريم:6)
Tarjumah: Ay Imaan Walo Tum Apne Aap Ko Aur Apne Ghar Walo Ko Us Aag Se Bachaao Jis Ka Ayndhan Insaan Aur Patthar Hai.
Ek Buzurg Ne Sawaal Kiya Ke Ay Allaah Ke Rasool! Jahnnam Ke Patthar Duniya Ki Tarah Hai?To Aap Ne Farmaya:Jahnnam Ka Ek Patthar Duniya Ke Tamam Pahado Se Bada Hai. Itna Sunna Tha Ke Woh Buzurg Behosh Ho Kar Gir Padhe. Nabi SAV Ne Uske Dil Par Hath Rakha To Zinda The To Aap Ne Kaha Kalmah Padh Usne Kalmah Padh Liya Us Par Nabi SAV Ne Use Jannat Ki KhushKhabri Di.
ALLAAH SE DARNE KA INAAM:
Allaah Se Darne Ka Duniyawi Inaam Yah Hai Ke Insaan Ko Musibat Aur Mushkilaat Se Nikalne Ki Raah Milti Hai Aur Ayse Jagah Se Rozi Naseeb Hoti Hai Jis Ka Gumaan Bhi Nahi Hota. Allaah Ka Farmaan Hai:
ومن يتق الله يجعل له مخرجا ويرزقه من حيث لا يحتسب ومن يتوكل على الله فهو حسبه.( الطلاق:2-3)
Tarjumah: Aur Jo Shakhas Allaah Se Darta Hai Allaah Uske Liye Chutkare Ki Shakal Nikaal Deta Hai Aur Use Aysi Jagah Se Rozi Deta Hai Jis Ka Use Gumaan Bhi Na Ho Aur Jo Shakhas Allaah Par Bharosa Kare Ga Allaah Use Kaafi Hoga.
USKI MISAAL: 3Gaar Walo Ka Waqia Unme Se Ek Apni Chacha Zaad Bahan Par Farefta Tha Usne 100 Dinaar Ke Badle Us Se Bad Suluki Karne Ki Koshish Ki Jab Woh Qareeb Tha Ke Woh Khalwat Nashini Kare To Ladki Ne Use Allaah Se Darne Ka Wasta Diya Woh Aadmi Dar Gaya To Allaah Ne Gaar Ke Munh Se Patthar Hata Diya.(Bukhari & Muslim)
AUR KHAUF E ILAAHI KA AAKHIRAT KA INAAM JANNAT HAI:
(1) Allaah Ka Farmaan Hai:
ولمن خاف مقام ربه جنتان فباي آلاء ربكما تكذبان ذواتا افنان. (الرحمان:46-48l)
Tarjumah: Aur Us Shakhas Ke Liye Jo Apne Rab Ke Samne Khada Hone Se Dara 2 Jannat E Hai Pas Tum Apne Rab Ki Kis Kis Nemat Ko Jhuthlaao Ge?(Dono Jannate)Bahut Si Tehaniyo Aur Shaakho Wali Hai.
(2) Allaah Ka Farmaan Hai:
واما من خاف مقام ربه ونهى النفس عن الهوى فإن الجنة هي الماوى.(النازعات:40-41)
Tarjumah: Haa Jo Shakhas Apne Rab Ke Samne Khade Hone Se Darta Raha Hoga Aur Apne Nafas Ko Khawaish Se Roka Hoga To Uska Thikana Jannat Hi Hai.
(3)Abu Hurairah RA Kehte Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:
لا يلج النار رجل بكى من خشية الله حتى يعود اللبن في الضرع ولا يجتمع غبار في سبيل الله ودخان جهنم.(صحيح الترمذي:1633)
Tarjumah: ALLAAH Ke Dar Se Rone Wala Jahnnam Me Dakhil Nahi Hoga Yaha Tak Ke Milk Than Me Waapas Laut Jaae(Aur Yah Mumkin Nahi)Aur Jihaad Ka Gubaar Aur Jahnnam Ka Dhuwa Ek Sath Jama Nahi Honge.
ALLAAH KA KHAUF HAASIL KARNE KE ASBAAB:
(1) Ikhlaas Se Ilm Haasil Karna:ALLAAH Ka Farmaan Hai:
انما يخشى الله من عباده العلماء.
(الفاطر:28)
Tarjumah:Allaah Se Darne Wale Ilm Wale Log Hai. Allaama Ibne AlQaiyyam Ne Likha Hai Ke Bande Ko Rab Ki Jis Qadar Pehchaan Hogi Usi Qadar Us Se Darne Wala Hoga Aur Ibne Masud RA Kehte Hai Ke Allaah Se Darne Ke Liye Ilm Kaafi Hai Khauf Ki Kami Bando Ka Rab Ki Pehchaan Me Kami Ke Sabab Hai.
Aaj Ilm Walo Ki Kami Nahi,Kami Hai To Allaah Se Darne Walo Ki. Kya Wajah Hai Ke Ilm Wale Allaah Se Be Khauf Ho Gae Jab Ke Unhe Allaah Se Darna Chahiye Tha?Uski Wajah Yah Hai Ke Unhone Ikhlaas Se Ilm Haasil Nahi Kiya Ilm Ko Duniya Talbi Aur Shoharat Ka Zariya Bana Liya Is Liye Allaah Se Be Khauf Ho Gae.
(2) Tadabbur Ke Sath Qur'aan Ki Tilawat: ALLAAH Ka Farmaan Hai:
إذا تتلى عليهم آيات الرحمان خروا سجدا وبكيا.(مريم:58)
Tarjumah: Unke Samne Jab Rahmaan Ki Aayato Ki Tilawat Ki Jati Hai To Yah Sajdah Karte Aur Rote Gudgidate Gir Padhte Hai.
Abdullaah Bin Masud RA Ne Yahya Ne Bayan Kiya Ke Hadees Ka Kuch Hissa Amar Bin Murrah Se Hai (Bawasta Ibrahim) Ke Abdullaah Bin Masud RA Ne Bayan Kiya Ke Mujh Se Nabi SAV Ne Farmaya:Mujhe Qur'aan Padh Kar Sunaao Mene Arz Kiya Aap SAV Ko Me Padh Kar Sunaau? Woh To Aap SAV Par Hi Naazil Hota Hai. Aap SAV Ne Farmaya Ke Me Dusre Se Sunna Chahta Hu Chunacha Mene Aap Ko Surah An Nisa Sunani Shuru Ki Jab Me
فكيف اذا جئنا من كل امة بشهيد وجئنا بك على هولاء شهيدا.
Par Pohncha To Aap Ne Farmaya Thehar Jaao. Mene Dekha To Aap SAV Ki Aankho Se Aansoo Beh Rahe The.(Bukhari:4582)
(3) Allaah Ka Zikar Aur Un Moamino Ka Haal Malum Kare Jo Allaah Se Darne Wale The Ke Kaise Us Darjah Imaan Par Faaiz Hue?Allaah Ka Farmaan Hai:
انما المؤمنون الذين إذا ذكر الله وجلت قلوبهم.(الانفال:2)
Tarjumah: Bas Imaan Wale To Ayse Hote Hai Ke Jab Allaah Ka Zikar Aata Hai To Unke Dil Dar Jate Hai.
Nabi SAV Ne Arsh E Ilaahi Ke Mustahiq 7 Saya Daar Ka Zikar Karte Hue Farmaya:
ورجل ذكر الله في خلاء ففاضت عيناه.(صحيح البخاري:6806)
Tarjumah:Aur Ek Woh Aadmi Jis Ne Tanhaai Me Allaah Ko Yaad Kiya Pas Uski Aankhe Ashkbaar Ho Gai.
Allaah Se Darne Wale Moamin Allaah Ka Zikar Karne Wale Mazboot Imaan Wale Muttaqi Aur Parhez Gaar Din Me Roza Rakhne Wale Raat Me Qiyaamul Lail Karne Wale Aur Ita'at Aur Bhalaai Ke Kamo Me Sabqat Le Jane Wale Log The. Allaah Ka Farmaan Hai:
انهم يسارعون في الخيرات ويدعوننا رغبا ورهبا وكانوا لنا خاشعين.(الانبياء:90)
Tarjumah: Yah Log Nek Kamo Ki Taraf Jaldi Karte The Aur Lalach Aur Khauf Se Pukara Karte The Aur Hamare Samne Aajizi Karne Wale The.
(4) Masiyat Ka Irtikaab Insaan Ko ALLAAH Se Be Khauf Kar Deta Hai Is Liye Gunaho Se Taubah Masiyat Aur Nafarmani Se Bachna Aur Fisq Aur Fujoor Se Doori Allaah Ki Muhabbat Raza Khauf Aur Qurbat Ka Zariya Hai.
(5) Azaab Ki Aayat Par Gaur Aur Fikar Karna Jahnnam Aur Uski Holnaaki Ki Fikar Karte Hue Jahnnam Me Le Jane Wale Asbaab Se Parhez Kiya Jaae.
(6) Un Zaalimo Aur Nafarmano Ka Haal Karna Jinhone Allaah Se Be Khauf Ho Kar Duniya Ms Zulam Aur Fasaad Kiya To Allaah Ne Unke Sath Kaisa Sulook Kiya? Allaah Ka Farmaan Hai:
وكم من اهلكنا قبلهم من قرن هم أشد منهم بطشا فنقبوا في البلاد هل من محيص.(ق:36)
Tarjumah:Aur Unse Pehle Bhi Ham Bahut Si Ummato Ko Halaak Kar Chuke Hai Jo Un Se Taqat Me Bahut Ziyada The Woh Sheharo Me Dhundhte Hi Reh Gae Ke Koi Bhagne Ka Thikana Hai?
(7) Qayamat Ki Holnaak Ghadi Yaad Kare Jab Sare Log Nafsa Nafsi Ke Aalam Me Honge Aur Us Din Ki Holnaaki Se Sab Ke Hosh Ud Gae Honge. Allaah Ne Iski Manzar Kashi Ki Hai:
يا أيها الناس اتقوا ربكم ان زلزلة الساعة شيء عظيم يوم ترونها تذهل كل مرضعة عما ارضعت وتضع كل ذات حمل حملها وترى الناس سكارى وما هم بسكارى ولكن عذاب الله شديد.(الحج:1-2)
Tarjumah: Logo Apne Parwardigar Se Daro Bila Shuba Qayamat Ka Zalzala Bahut Hi Badi Chiz Hai Jis Din Tum Use Dekh Loge Ke Har Dudh Pilane Wali Apne Dudh Pite BACHCHO Ko Bhool Jaae Gi Aur Tamam Hamal Waliyo Ke Hamal Gir Jaae Ge Aur Tu Dekh Le Ga Ke Log Madhosh Dikhaai Denge Halanki Dar Haqeeqat Woh Mutawale Na Honge Lekin Allaah Ka Azaab Bada Hi Sakhat Hai.
(8) Nasihat Aamoz Sachche Waqiaat Aur Dilo Ko Mom Karne Wale Aur Wa'az Aur Nasihat Se Pur Bayanat Sune Us Se Dil Naram Hota Hai Aur Allaah Ka Khauf Paida Hota Hai.
Irbaaz Bin Saariyah RA Kehte Hai:
وعظنا رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما بعد صلاة الغداة موعظة بليغة ذرفت منها العيون ووجلت منها القلوب.(صحيح الترمذي:2676)
Tarjumah: Rasul SAV Ne Ek Din Hame Fajar Ki Namaz Ke Baad Ek Muassar Nasihat Farmaai Jis Se Logo Ki Aankhe Aansoo Se Bheeg Gai Aur Dil Laraz Gae.
In Tariqo Se Ham Allaah Ka Khauf Apne Dil Me Paida Kar Sakte Hai Aur Hamare Liye Zaroori Bhi Hai Ke Allaah Ka Khauf Apne Andar Paida Kare Taaki Uske Deen Par Sahih Se Chal Sake Faraaiz Aur Waajibaat Me Kotaahi Karne Par Dil Bechain Ho Sake Aur Mohrimaat Ke Qareeb Jate Waqt Khauf E Ilaahi Rok De Umooman Khauf Aur Khashiyat Hi Maruf Ki Baja Aawri Aur Munkiraat Se Bachne Ki Badi Wajah Banti Hai Jo Allaah Ka Khauf Khaae Ga Fir Use Kisi Ka Khauf Nahi Hoga. Khauf E Ilaahi Takmeel Imaan Aur Achche Islaam Ki Daleel Hai. Allaah Ke Khauf Se Dil Me Narmi,Pakigzi, Ulfat Aur Muhabbat Paida Hoti Hai Aur Awsaaf E Razeela Maslan Takbbur Bugaz Anaad Sarkashi Ka Khatma Hota Hai. Khauf E Rahman Ka Sab Se Bada Faidah Aakhirat Me Mile Ga Ke Woh Ayse Bando Ko Allaah Aman Naseeb Kare Ga Aur Jahnnam Se Nikaal Kar Jannat Me Dakhil Kare Ga.
Allaah Se Dua Hai Ke Hame Khauf Aur Khashiyat Ki Sifat Se Muttasif Kar Se Mohrimaat Se Bachaae Aur Awaamir Ki Baja Aawri Ki Taufeeq Bakhashe. Aameen
 

Similar threads


Top