Ahle Sunnat ka Aqeedah


Staff Member

Member
Staff member
Ahle Sunnat ka Aqeedah

Imam Abu Muhammad Abdul Rehman Bin Abi Hatim Al-Razi (rahimahullah) ne farmaya kii: Main ne apne walid (Abu Hatim Al-Razi) aur Abu Zurah (Al-Razi) say usool-e-deen mein mazhab-e-ahle sunnat k bare main pucha aur (yeh kii) Unhu ne tamam sharu mein ulma ko kis (aqeeday) par paya hai aur aap donu ka kya aqeeda hai? Toh Unhu ne jawab diya: Hum ne Hijaz, Iraq, Misar, Shaam aur Yaman k tamam sharu mein ulma ko is (darij zail) muzhab par paya kii:

1.“Beshak emaan qual wa aamal (ka naam) hai (aur yeh) zeaada hota hai aur kam
hota hai”.

2.“Quran har lihaz say Allah ka Kalam hai, mukhlooq nahi hai.”

3.“Aache aur bure taqdeer, Allah ki taraf say hai.”

4.“Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) k baad is ummat mein sab say bahtar Abu Bakr Sideek hai phir Umar Bin Al-Khatab , phir Usmaan Bin Aafaan, phir Ali Bin Abi Talib r.a aur yehi khulfaa-erashideen mahadiyeen hai.”

5.“Ashra (mubashra) jin k bare mein Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jannati hone ki gawahi diye hai (Humaray nadeek) wo jannati hai aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki baat haq hai.”

6.“Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) k tamam Sahaba k bare mein Rahmat ki dua mangne chahiye aur Un k darmeyaan jo ikhtilaaf thy un k bare mein soqoot (khamoshe iktiyaar) karna chahiye.”

7.“Allah Talah Apnay Arash par bagair (sawal) qayfiyaat (mustawi) hai, Apne mukhlooq say juda hai jaisay kii Us ne Apne kitab (Quran Majeed) mein aur Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zubaan (mubarak par) bayaan farmaya hai, Us ne har cheez ko ilm say gayra rakha hai, Us ki misal koi cheez nahi aur Wo sunay aur dekhnay wala hai.”

8.“Allah Talah aakhirat mein nazar aayegay, jannati log Usay apne ankhu say dekhaygay (Us ka) kalaam hai jisay chahay aur jab chahay.”

9.“Jannat haq hai, jahanam haq hai, aur yeh donu mukhlooq hai kabi faana na hoge, Allah k dostu k liye jannat ka badla hai, aur Us k na farmaanu k liye jahanam ka aazab hai siwaye un k jin par Wo (Allah) raham farmaye.”

10.“(Pull) seraat haq hai.”

11.“Mezaan (tarazu) k do (2) palday hai jin main bandu k achay aur buray aamal tohlay jayegay.”

12.“Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka hooz-e-qosar haq hai, aur shefaat haq hai.”

13.“Ahle Tawheed (Musalmanu) mein say (baaz) logu ka (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki) shefaat k zareye (jahanam ki) aag say nikalna haq hai.”

14.“Aazab-e-qabar haq hai.”

15.“Munkar wa Nakeer (Qabar mein sawal wa jawab karne walay farishtay) haq hai.”

16.“Karaman Katebeen (aamal likhne walay farishte) haq hai.”

17.“Moot k baad dobara zinda hona haq hai.”

18.“Kabeera ghunha karne walu ka mamila Allah ki masheyat (aur iraday) par hai (chahay toh aazab dey chahay baksh dey) hum ahle qibla (musalmanu) k ghunahu ki waja say un ki taqfeer nahi kartay, hum unka mamila Allah k supurd kartai hai. ”

19.“Hum (musalman) hukumranu k khilaaf bagawat k kayil nahi hai aur na fitnay (k door) main (ek dosray say) kitaal k kayil hai”

20.“Allah ne jisay hamara hakim banaya hai, hum us ki sunte hai aur ittat karte hai aur ittat say apna haath nahi nikaltai.”

21.“Hum (ahle) sunnat wal jamat (k ijma) ki paarwe karte hai aur shazuz, iktilaaf aur firqa bazi say ijtinaab karte hai.”

22.“Jab say Allah Talha ne Apne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko (Nabi wa Rasool bana kar) maboos farmaya hai, musalman hukumranu k saath mil kar (kafiru k khilaaf) jahad jari rahayga, isay koi cheez batil nahi karega (yani jahad humainsha jari rahayga)”

23.“Aur yehi mamila hajj ka (b) hai. ”

24.“Musalman hakimu k pass jaanwaru (aur deeghar amwal) k sadqaat (zakat, ashar) jama karaye jayegay.”

25.“Log apne ahkaam aur werasat mein mumin hai, aur Allah k haan in ka kya makaam hai maloom nahi, jo shakhs apne bare main kahta hai kii wo yaqinan mumin hai toh wo shakhs bidati hai aur jo shakhs yeh dawa karta hai kii wo Allah k haan (b) mumin hai toh aisa jhootu main say hai, aur jo kahta hai main Allah k saath mumin (yani Allah par emaan rakhta) hoon toh yeh shakhs (sahih aur) musyab hai. ”

26.“Murjai bidati ghumrah hai”

27.“Qadriya (taqdeer ka inkaar karne walay) bidati ghumrah hai aur Un mein say jo shakhs yeh dawa karay kii Allah Talah kise kaam k hone say phelay us ka ilm nahi rakhta toh aisa shakhs kafir hai.”

28.“Jamiya kafir hai”

29.“Rafzeyu ne Islam chod diya hai.”

30.“Khawarij (deen say) nikalay hue hai.”

31.“Jo shakhs yeh kahta hai kii Quran mukhlooq hai toh wo kafir hai, milat (islamiya) say kharij hai aur jo shakhs shoog boog k bawojood us shaksh k kufur mein shak karay toh wo (b) kafir hai. ”

32.“Jo shakhs Allah k Kalaam k bare main shak karte hue tawaqof karay aur kahay kii: mujhe pata nahi kii mukhlooq hai ya gair mukhlooq toh aisa shakhs jahmi hai.”

33.“Jo jahil shakhs Quran k bare mein tawaqof karay toh usay samjaya jayega.”

34.“Jo shakhs lafzi bil Quran (meray alfaaz jin say main Quran padta hoon) ya Al-Quran bil lafzi (Quraan meray alfaaz k saath) mukhlooq kahay toh wo jami (ghumrah) hai.”

35.“Abu Hatim Al-Razi ne farmaya: Ahle bidat ki yeh alamat hai kii wo ahle asar (ahle hadith) par humla kartai hai.”

36.“Zindiqh ki alamat yeh hai kii wo ahle hadith ko hoshoya (zahir parshte firqa) kahte hai, un ka isay muqsad ahadith ka inkaar hota hai. ”

37.“Jamiya ki alamat yeh hai kii wo ahle sunnat ko mushabaha kahte hai.”

38.“Murjia ki (ek) alamat yeh hai kii wo ahle sunnat ko mukhalifa aur naqsanaya kahte hai.”

39.“Rafzai ki yeh alamat hai kii wo ahle sunnat ko sanaya (nasbai) kahte hai. ”

40.“In tamam (Buray namu) ki bunyaad (bidat par) tasub aur masayat hai , ahle sunnat ka ek hi naam hai aur yeh mahaal hai kii un k bohut say (khud shakta) naam ekhata ho jaye. ”

41.“Abu Hatim aur Abu Zura donu ghumrahu aur bidatiyu say hajar (bycoot) karte thy, un (galat) aara’a ka shaded rad karte thy, ahadith k bagair rai wali kitabay likhne say sakhte say inkaar karte thy, ahle qalam (manteeq wa falsafay walu) ki majlis aur mutakimeen ki kitabay dekhne say mana’a karte thy aur kahte kii: sahib-e-kalaam kabi fala nahi paata (ila yeh kii marne say phelay tohba karay).”

Book: Asalu Sunnah Wa Aqeedah Al Deen.

Author: Imam Abu Muhammad Abdul Rehman Bin Abi Hatim Al-Razi (rahimahullah).

Translation: Dhahabi-e-Zamana Zubair Ali Zai (Rahimahullah)

Translation Into Roman Urdu: Yasiir Mahi

Taken From: Al Hadith No.1, Page No.44-48 Or Al Hadith No.2, Page No.41-45
(http://www.mediafire.com/vi…/7u8v9yn8mhllsis/AL-HADITH_2.pdf)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top