Ahle hadees , imamo ki, mujtahido ki, sab ki izzat karne wale hain


Ahle hadees , imamo ki, mujtahido ki, sab ki izzat karne wale hain


Agar aapke kaan me kisi shaitaan ne ye soor foonk diya ho ke ahle haadees imamo aur mujtahidon, buzrugon aur nek logon ke munkir hain to hum aap se kahenge ke ye us ne galat kaha?

Hum ahle hadees ,
imamo ki,
buzrugo ki,
mujtahido ki,
muhaddiso ki,
sab ki izzat karne wale hain in sab ki buzrugi maante hain inhein apna sardaar aur peshwa jaante hain,

LEKIN

Ise kya karen ke khud inhi aimma e kiraam ne humein ye farma diya hai ke sahih hadees ke muqable me na hamari mano na kisi aur ki.
(al mizaan al kubra al sha'rani- jild-1 page-60)

pus in ka maanna aur inki maanna bhi yahi hai ke jo hadees me hai maane jo is ke khilaaf ho use chhod den,

imamo ka jo dushman ho charo imamo se bugaz o bair rakhta ho hum to use matrood aur shaitaan ka chhota bhai jaante hain,

haan beshak hadees e Rasool ke muqable me kisi ke qoul ko maanna ye khud in charo imamo ki taaleem ke khilaaf hai,
is liye chhod dete hain, ye nahi karte ke is ke muqable me hadees hadees ko chhod de,

hamare nazdeek ye allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sareeh tauheen, hadees ki Aalaa be-adbi aur deene Islam ka sareeh khilaaf hai, kai sau ahaadeesein jo sareeh hain sahih hain jin ke khilaaf hanafi mazhab ki fiqaah ki kitaabein hain, kahiye hum kaise hadeeson ko chod den? Aur kaise in fiqah ki kitaabon ko le lein? Insaaf, imaan, islaam, buzrugon ki taleem aur aqwaal e aimma ka khulasa to ye hai ke hum hadees ko len aur fiqaah ko choden, pus yahi hum chahte hain.
 

Top