AGAR PAAON SOJAYE TO…?


AGAR PAAON SOJAYE TO…?
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.83, page:35)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ سَعْدٍ قَالَ‏:‏ خَدِرَتْ رِجْلُ ابْنِ عُمَرَ، فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ‏:‏ اذْكُرْ أَحَبَّ النَّاسِ إِلَيْكَ، فَقَالَ‏:‏ يَا مُحَمَّدُ‏.‏
"Abdul Rahmaan Bin Sa'ad rahimahullah se marwi hai ke (Syidina) Ibn Omer (raziallahu-anhuma) ka paaon sogaya to ek aadmi ny unke se kaha: aap apne nazdeek sab se mahbob insaan ko yaad karein, to unho ne farmaaya "Ya Muhammed" 'aye Muhammed[sallallahu alaihi wasallam]."(Adab-ul-Mufrad lil-Imam Bukhari, Hadis No.964. /wa Musnad Ali Bin Ja'ad:2/917, Hadis No.2633. /wa Tabqaat Ibn Sa'ad:4/154. /wa Amal-ul-Yaum Wal-Lailah li-Ibn al-Sunni - Ba-Tahqiq Saleem al-Hilali:169)

Is riwaayat mein Abu Is'haaq Amro Bin Abdullah al-Sabeeyi mash'hor MUDALLIS raawi hai.(Dekhiye: Tabqaat-ul-Mudalliseen li-Ibn Hajar:91, Tabqah Salisha) ye riwaayat "AN" se hai.

Usool-e-Hadis ka mash'hor mas'alah hai ke Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ke ilaawah dosri kitabon mein Mudallis ki AN waali riwaayat ZAYEEF hoti hai.(masalan Dekhiye: Kitab al-Risaalah lil-Imam al-Shafayi:1035. /wa Al-Kifayah [Fi'ilm al-Riwayah] lil-Khatib, page:361)

Saabit howa ke ye riwaayat ZAYEEF o MARDOD hai, lihaza is se istedlaal jaayez nahi hao.
 
Top