ABU HANIFAH AYIMAH AHLE SUNNAT KI NAZAR ME


ABU HANIFAH AYIMAH AHLE SUNNAT KI NAZAR ME
Jamaa/Tarteeb/Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

DALEEL No.1:
((حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ يُوسُفَ، أَخْبَرَنَا أَبُو فُلَانَ [قَالَ عَبْدُ اللهِ ابْنُ أَحْمَدَ ] : كَذَا قَالَ:أَبِي لَمْ يُسَمِّهِ عَلَى عَمْدٍ، وَحَدَّثَنَاهُ غَيْرُهُ فَسَمَّاهُ، يَعْنِي أَبَا حنَيْفَةَ، عَنْ عَلْقَمَةَ بْنِ مَرْثَدٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لِرَجُلٍ أَتَاهُ: "اذْهَبْ؛ فَإِنَّ الدَّالَّ عَلَى الْخَيْرِ كَفَاعِلِهِ"))
"Is'haaq Bin Yousuf rahimahullah ne hum se hadis bayaan ki wo kahte hainke "ABU FOLAAN" ne hum ko khabar di(Abdullah Bin Ahmed Bin Hanbal rahimahullahi-alaihima farmate hain:) mere waalid (Ahmed Ibn Hanbal rahimahullah ABU HANIFAH ka) amadan naam lena pasand nahi farmate, pas jab maine is baabat dosron se daryaaft kiya to mujhe malom howa ke "ABU FOLAAN"se muraad "ABU HANIFAH" hai, Alqamah Bin Marsad ne Sulaimaan Bin Buraidah aur Sulaimaan ne apne waalid BURAIDA raziallahu-anhu se bayaan karte hain k eek shakhs NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki khidmat me haazir howa to RASOOLULLAH salllahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: jaao neki ki taraf rehnumayi karo, neki ki taraf rehnumayi karne wala neki karne wale ki maanind hota hai. "(Musnad Ahmed:38/136, Hadis No.23027, Published: Muasasat Al-Risalah, First publishing:2001)

Is Hadis ki tahqiq par SHOEB ARNAOUT likhte hain:
((إسناده صحيح، رجاله ثقات رجال الصحيح، غير أبي حنيفة النعمان بن ثابت الإمام الثقة المشهور، فقد روى له الترمذي والنسائي))
"Is Hadis ki isnaad SAHIH hain aur is ke rijaal SAHIHAIN (Bukhari/Muslim) ke rijaal hain siwaye Abu Hanifah Numaan Bin Saabit ke jo imam/siqqah mash'hor hain pas in se riwaayat karne walon me Tirmiz aur Nasai rahmatullahi-alaihima hain."


DALEEL No.2:
((حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلَانَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ هِشَامِ بْنِ إِسْحَاق بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ كِنَانَةَ، عَنْ أَبِيهِ فَذَكَرَ نَحْوَهُ، وَزَادَ فِيهِ مُتَخَشِّعًا. قَالَ أَبُو عِيسَى: هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ، وَهُوَ قَوْلُ الشَّافِعِيِّ، قَالَ: يُصَلِّي صَلَاةَ الِاسْتِسْقَاءِ نَحْوَ صَلَاةِ الْعِيدَيْنِ، يُكَبِّرُ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى سَبْعًا، وَفِي الثَّانِيَةِ خَمْسًا، وَاحْتَجَّ بِحَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ. قَالَ أَبُو عِيسَى: وَرُوِي عَنْ مَالِكِ بْنِ أَنَسٍ، أَنَّهُ قَالَ: لَا يُكَبِّرُ فِي صَلَاةِ الِاسْتِسْقَاءِ كَمَا يُكَبِّرُ فِي صَلَاةِ الْعِيدَيْنِ، وقَالَ النُّعْمَانُ أَبُو حَنِيفَةَ: لَا تُصَلَّى صَلَاةُ الِاسْتِسْقَاءِ وَلَا آمُرُهُمْ بِتَحْوِيلِ الرِّدَاءِ وَلَكِنْ يَدْعُونَ وَيَرْجِعُونَ بِجُمْلَتِهِمْ.قَالَ أَبُو عِيسَى:خَالَفَ السُّنَّةَ))
"Imam Tirmizi rahimahullah farmate hain: Ye hadis 'HASAN SAHIH' aur yahi imam Shafayi rahimahullah ka qaul hai, wo kahte hain ke namaaze 'istisqaa' Eidain ki namaaz ki tarah padhi jaiyegi, pahli rak'at e saat(7) takbiren aur dosri rak'at me paanch(5), aur Imam Shafayi rahimahullah ne Syidina Abdullah Ibn Abbas razillahu-anhuma ki Hadis se istelaal kiya hai, Imam Malik Bin Anas rahiimahullah se marwi hai wo kahte hain



ki 'namaaze istisqaa' me Eidain ki (zaayed) takbiron ki tarah takbiren nahi kihi jayengi, likin Abu Hanifa ka kahna hai ke 'namaaze istisqaa' sarey se koi namaaz hi nahi hai aur naa 'Chaadar' palatne ka koi amal hai, balke sirf log jamaa hokar ek saath dua karenge aur laut jayenge. Imam Tirmizi rahimahulla farmate hain ke: Abu Hanifah ka ye qaul Sunnate Rasool ki khuli "MUKHAALIFAT" hai."
(Sunan al-Tirmizi, kitab-ul-Safar, Baab: Nammze istisqaa ka bayaan, Hadis No.559, is ki sanad ko Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah ne HASAN kahan hai. wa Sunan Ibn Majah:1266)


DALEEL No.3
((حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ هِشَامٍ الدَّسْتُوَائِيِّ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ أَبِي حَسَّانَ الْأَعْرَجِ، عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ " قَلَّدَ نَعْلَيْنِ، وَأَشْعَرَ الْهَدْيَ فِي الشِّقِّ الْأَيْمَنِ بِذِي الْحُلَيْفَةِ، وَأَمَاطَ عَنْهُ الدَّمَ ".
قَالَ: وَفِي الْبَاب عَنْ الْمِسْوَرِ بْنِ مَخْرَمَةَ. قَالَ أَبُو عِيسَى: حَدِيثُ ابْنِ عَبَّاسٍ حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ، وَأَبُو حَسَّانَ الْأَعْرَجُ اسْمُهُ مُسْلِمٌ. وَالْعَمَلُ عَلَى هَذَا عِنْدَ أَهْلِ الْعِلْمِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَغَيْرِهِمْ يَرَوْنَ الْإِشْعَارَ، وَهُوَ قَوْلُ الثَّوْرِيِّ، وَالشَّافِعِيِّ، وَأَحْمَدَ، وَإِسْحَاق، قَالَ: سَمِعْت يُوسُفَ بْنَ عِيسَى، يَقُولُ: سَمِعْتُ وَكِيعًا، يَقُولُ حِينَ رَوَى هَذَا الْحَدِيثَ، قَالَ: لَا تَنْظُرُوا إِلَى قَوْلِ أَهْلِ الرَّأْيِ فِي هَذَا، فَإِنَّ الْإِشْعَارَ سُنَّةٌ وَقَوْلُهُمْ بِدْعَةٌ. قَالَ: وسَمِعْت أَبَا السَّائِبِ، يَقُولُ: كُنَّا عِنْدَ وَكِيعٍ، فَقَالَ لِرَجُلٍ عِنْدَهُ مِمَّنْ يَنْظُرُ فِي الرَّأْيِ: " أَشْعَرَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ " وَيَقُولُ أَبُو حَنِيفَةَ هُوَ مُثْلَةٌ، قَالَ الرَّجُلُ: فَإِنَّهُ قَدْ رُوِيَ عَنْ إِبْرَاهِيمَ النَّخَعِيِّ، أَنَّهُ قَالَ: الْإِشْعَارُ مُثْلَةٌ، قَالَ: فَرَأَيْتُ وَكِيعًا غَضِبَ غَضَبًا شَدِيدًا، وَقَالَ: أَقُولُ لَكَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَتَقُولُ: قَالَ إِبْرَاهِيمُ: مَا أَحَقَّكَ بِأَنْ تُحْبَسَ، ثُمَّ لَا تَخْرُجَ حَتَّى تَنْزِعَ عَنْ قَوْلِكَ هَذَا))
"Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne Zol-Halifah me (qurbani ke jaanwar ko) do joton ke haar pahnai aur ki koohaan ke dayen janib 'Ish'aar'(halka zakham karna) kiya aur us se khon saaf kiya."
Imam Tirmizi rahimahullah farmate hain: Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma ki Hadis "Hasan Sahih" hai, Sahabah ikraam raziallahu-anhum ka isee par amal hai, tamaam Sahabah Kiraam raziallahu-anhum 'Ish'aar' ke qaayil hain, aur (salaf me se) Sufyaan al-Sauri, Shafayi, Ahmd Bin Hanbal, Is'haaq Ibn Raahawiyyah rahmatullahi-alaihim ka qaul hai (aur isee par amal bhi hai), Yousuf Bin Isaa rahimahullah farmate hain: mane Imam Wakee rahimahullah ko ye kahte howe sunaa jis waqt unhook ne ye hadis riwaayat ki ke is silsile me 'Ahlur-Raye' (Abu Hanifah aur unke Muqallid) ke qaul ko naa dekho, kion ke 'Ish'aar' Sunnate Rasool hai aur un(Ahnaaf) ka qaul bid'at hai, mene Abu Sayeb rahimahullah ko kahte sunaa ke hum log Imam Wakee rahimahullah ke paas the to unho ne apne paas ke ek shakhs se jo un(Ahnaaf) logon me se the jo Raye me ghaur o fikar karte hain, kaha ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne 'Ish'aar' kiya hai, aur ABU HANIFAH kahte hain ke 'Ish'aar' karna muslah hai (Muslah ka matlab aankh/naak, waghairah ka kaat dena) to us aadmi ne kaha: Ibraheem Nukhyee rahimahullah ne 'Ish'aar' kiya hai, aur Abu Hanifah kathe hain ke 'Ish'aar' karnaa Muslah hai to us aadmi ne kaha: Ibraheem Nukhyee se marwi hai ke unho ne kaha ke 'Ish'aar' Muslah hai, Abu Saayib rahimahullah farmate hain: maine Imam Wakee rahiimahullah ko dekha hai ke(uski is baat se) wo sakht naaraaz aur ghazab naak howe aur kaha: main tum se kahta hoon ke "RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya hai" aur tum kahte ho ke Ibraheem Nukhyee ne ye kaha (aur Abu Hanifah ne ye kaha) tum to us laayeq hoke ke tum ko qaid kardiay jaye phir us waqt tak qaid se naa nikaala jai jabtak ke tum apne qaul se baaz naa aajao."
(Sunan al-Timizi, kitb-ul-Haj, Baab ounton ke ish'aar ka bayaan, Hadis No. 906, aur is ki sanad sahih hai, Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah farmate hain:
((قُول لامام وکیع:لَاتَنْظُرُواإِلَى قَوْلِ أَهْلِ الرَّأْيِ فِي هَذَا. . . .الخ،وسندہ صحیح))
"(jaisa ke Imam Wakee rahimahullah farmate hain ke is mas'le me "Ahlur-Raye" ke qaul ko nah dekha jai….."
Is Hadis ki mazeed Takhreej: Sahih Mulim:1243[3016]. Sunan Abi Dawod:1752,1753. Sunan al-Nasai:2772,2773,2781, Sunan Ibn Majah:3097)

 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Manhaj 0

Similar threads


Top