20 Rakat Taraweeh Par Ijma Ka Dawa Batil Hai


Abdul Adil

Member
20 Rakat Taraweeh Par Ijma Ka Dawa Batil Hai_____

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Assalamualaikum Warah Matullah Wa Barkatuhu

Jab Hamare Hanafi Bhai Sahih Hadees Se Koyi daleel nahi de pate ki Rasoolullah ﷺ ne Ramzan me 20 rakat taraweeh padhi to wo kahte hai ki is baat par ummat ka ijma hai ki taraweeh 20 rakat hai halakin unka ye dawa batil hai, main yahan par ummat ke bade bade Aimmah E Hadees Ka hawala nakal kr deta hun jisse sabit ho jayega ki 20 rakat taraweeh par ijma ka dawa batil hai

1] Imam Abu Hanifa Rahimahullah :-

Imam Abu Hanifa Rahimahullah se 20 rakat taraweeh padhna Sahih sanad ke sath sabit nahi hai albatta Imam Abu Hanifa Rahimahullah ke shagird Imam Muhammad Bin Hasan As-Shaibani Rahimahullah apni Moatta me 11 rakat wali hadees nakal karte hai jisse pata chalta hai ki Imam Abu Hanifa Rahimahullah bhi 11 rakat hi ke qayel the

Baab :- Qayam e Ramzan Aur Uski Fazilat

أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، حَدَّثَنَا سَعِيدٌ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ كَيْفَ كَانَتْ صَلاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ؟ قَالَتْ:

«مَا كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ وَلا غَيْرِهِ عَلَى إِحْدَى عَشْرةَ رَكْعَةً، يُصَلِّي أَرْبَعًا، فَلا تَسْأَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا، فَلا تَسْأَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلاثًا» ، قَالَتْ: فَقُلْتُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ أَتَنَامُ قَبْلَ أَنْ تُوتِرَ؟ فَقَالَ: يَا عَائِشَةُ، عَيْنَايَ تَنَامَانِ وَلا يَنَامُ قَلْبِي

Abu Salmah Bin Abdurrahman ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se sawal kiya ki ramzan me Rasoolullah ﷺ ki namaz ki kaifiyat kya hoti hai? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne jawa diya Aap ﷺ ramzan wa gair ramzan me gyarah (11) rakat par ijafa Farmate the . 4 Rakat Padhte Tum unki husn wa khoobi aur taweelat ko mat poocho. fir 4 rakat ada karte tum unki hushn aur taweelat ka na poocho fir 3 rakat padhte (yani witr) Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kahti hai ki maine Janab E Muhammadur Rasoolullah ﷺ ki khidmat me arz kiya Aap wirt se pahle so jate hai ? Aap ﷺ ne farmaya aie Ayesha Meri Aankhe to so jati hai lekin mera dil nahi sota

[Moatta Imam Muhammad Jild-1 Hadees Number - 238]

2] Imam Malik Rahimahullah :-

Imam Malik Rahimahullah Farmate hai

الذي آخذ به لنفسي في قیام رمضان هو الذي جمع به عمر بن الخطاب الناس إحدیٰ عشرة ركعة وهی صلاة رسول الله ﷺ ولا أدري من أحدث هذا الركوع الكثیر ذكره ابن مغیث

Maine Apne Liye Qayam E Ramzan (Taraweeh) 11 rakat ikhteyaar karta hun Isi Par Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu ne logon ko jama kiya tha aur yahi Rasoolullah ﷺ ki namaz hai , mujhe pata nahi ki logon ne ye bahut si rakate kahan se nikal li hai? ise ibne mugeesh maliki ne jikr kiya hai.

[کتاب المتحجدین ص ۱۷۶ , فقرہ ۸۹۰ , دوسرا نسخہ ص ۲۸۷ تصنیف عبد الحق اشبلی متوفی ۵۸۱ ھ]

Allama Ayni Hanafi Rahimahullah Farmate hai

وقیل إحدیٰ عشرة ركعة وهو إختیار مالك لنفسه و اختیاره أبو بكر العربی

Aur Kaha jata hai ki taraweeh 11 rakat hai ise Imam Malik aur Imam Abu Bakar Al-Arabi ne apne liye ikhtiyar kiya hai.

[Umadatul Qaari Jild-11 Safa-126 Hadees Number -2010]

3] Imam Safayi Rahimahullah _____

Imam Safayi Rahimahullah 20 rakat taraweeh ko pasand karne ke bad farmaya ki

وليس في شيء من هذا ضيق ولاحد ينتهى إليه لأنه نا فلة فإن أطالوا القيام وأقلوا السجود فحسن وهو أحب إلي وإن أكثر وا الركوع و السجود فحسن

Is Cheej (Taraweeh) me jarah barabar bhi tangi nahi hai aur na koyi had hai , kyunki ye nafil namaz hai , agar rakate kam aur Qayam lamba ho to behtar hai aur mujhe jyada pasand hai ki agar rakate jyada ho to bhi behtar hai.

[Mukhtasar Qayam ul Lail Marwazi Safa Number- 202&203]

4] Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ______

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah se Ishak Bin Mansoor Rahimahullah ne poocha ki Ramzan me kitni rakate padhi chahiye ? to unhone farmaya

قد قيل فيه الوان نحوا من أربعين ، إنما هو تطوع

Is par 40 tak rakate riwayat ki gayi hai , ye sirf nafali namaz hai.

[Mukhtasar Qayam Ul Lail Safa - 202]

وقَالَ أَحْمَدُ:‏‏‏‏ رُوِيَ فِي هَذَا أَلْوَانٌ وَلَمْ يُقْضَ فِيهِ بِشَيْءٍ

Imam Tirmizi Rahimahullah Kahte hai ki Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah
kahte hai ki is silsile me kayi kism ki bate marwi hai unhone is silsile me koyi faishla nahi kiya

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 806]

Maloom Hua Ki Aimmah E Arabah me se kisi ek Imam se bhi ye sabit nahi hai ki 20 rakat taraweeh sunnat e muakkadah hai , aur usse kam jyada jayez nahi

6] Imam Ishak Bin Raweyah Rahimahullah _______

Imam Ishak Bin Raweyah Rahimahullah kahte hai

‏‏‏‏‏‏وقَالَ إِسْحَاق:‏‏‏‏ بَلْ نَخْتَارُ إِحْدَى وَأَرْبَعِينَ رَكْعَةً عَلَى مَا رُوِيَ عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ،

Ishak Bin Raweyah Rahimahullah kahte hai hame Ubaiyy Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ki riwayat ke mutabik 41 rakat margoob hai

7] Imam Qurtubi Rahimahullah ____

Imam Qurtubi Rahimahullah ne farmaya

«ثم اختلف في المختار من عدد القيام فعند مالك : أن المختار من ذلك ست و ثلاثون ...... وقال كثير من أهل العلم :إحدى عشرة ركعة أخذا بحديث عائشة المتقدم»

Taraweeh ki tadad me ulema ka ikhtelaaf hai , Imam Malik ne (ek riwayat me) 36 rakat ikhteyaar ki hai aur kaseer ulema kahte hai ki 11 rakat hai unhone Sayyada Ayesha Razi Allahu Anha ki hadees se istidlal liya hai.

[الفہم لما اشکل من تلخیص کتاب مسلم ج - ۲ ص ۳۸۹-۳۹۰]

8] Imam Abu Bakar Al-Arabi Maliki Rahimahullah _____

Imam Abu Bakar Al-Arabi Maliki Rahimahullah ne kaha

«والصحيح أن يصلى أحد عشر ركعة صلوة النبي ﷺ وقيامه فأما غير ذلك من الأعداد ، فلا أصل له ولا حـد فـيه»

Aur Sahih Ye Hai ki 11 rakat padhni chahiye yahi Rasoolullah ﷺ ki namaz hai aur yahi Qayam (Taraweeh) hai. iske alawa jitni riwayate marwi hai unki koyi asal nahi hai aur iski koyi had nahi hai.

[عارضتہ الحوذی ج - ۴ ص - ۱۹ ح - ۸۰۶]

9] Allama Ayni Hanafi Rahimahullah ____

Allama Ayni Hanafi Rahimahullah ne kaha

«وقد اختلف العلماء في العدد المستحب في قيام رمضان على أقوال كثيرة ، وقيل إحدى عشرة ركعة»

Taraweeh ki mustahab tadad ke bare me ulema ka ikhtelaaf hai aur bahut aqwaal rakhte hai kaha jata hai ki taraweeh 11 rakate hain

[Umdatur Qari Jild-11 Safa - 126&127]

10] Allama Sooyuti Rahimahullah ____

Allama Sooyuti Rahimahullah ne kaha

«أن العلماء اختلفوا في عددها»

beshaq Taraweeh ki tadad me ulema me ikhtelaaf hai.

[Al-Haawi Al-Fatawa Jild-1 Safa-348]

11] Ibne Hammam Al Hanafi Rahimahullah ______

Ibne Hammam Al Hanafi Rahimahullah ne kaha

«فتحصل من هذا كله أن قيام رمضان سنة إحدى عشرة ركعة بالوتر في جماعة فعله ﷺ»

In saari bahas se ye nateeza hashil hua ki witr ke sath Taraweeh 11 rakat hai , ise Rasoolullah ﷺ ne jamat ke sath padha hai.

[Fatahul Qadeer Sharah Al-Hidaya Jild-1 Safa-407]

12] Imam Tirmizi Rahimahullah ______

Imam Tirmizi Rahimahullah farmate hai

وَاخْتَلَفَ أَهْلُ الْعِلْمِ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ

Aur Ulema ka Qayam e Ramzan (Tadad E Rakat) me ikhtelaaf hai.

[Jamey Tirmizi Hadees Number -806]

Alhamdulillah In Hawalon se maloom hua ki dewbandi bhaiyon aur barelvi bhaiyon ka ye dawa ki 20 rakat hi Sunnat E Muakkadah hai , isse kam jyada jayez nahi hai ye bat galat aur batil hai.

Aur In Hawalon se sabit hua ki 20 rakat taraweeh par muqallid bhaiyon ka ijma par dawa batil hai , jab ulema ke darmiyan itna bada ikhtelaaf hai to ijma kahan se aa gya?

Wallahu Alam
 

Similar threads


Top