20 Rakat Taraweeh Ke Mutalliq Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ki Taraf Mansoob Riwayat Ki Tahqeeq {Riwayat Number - 2}


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Ibne Abi Shaibah Rahimahullah Farmate hai

حَدَّثَنَا وَکِیعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَیْسٍ ، عَنِ أَبِی الْحَسْنَائِ : أَنَّ عَلِیًّا أَمَرَ رَجُلاً یُصَلِّی بِہِمْ فِی رَمَضَانَ عِشْرِینَ رَکْعَۃً۔

Abul Hashna'a farmate hai ki Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne ek aadmi ko huqm diya ki wo logon ko Ramzan me 20 Rakat namaz e (Taraweeh) padhaye

(Musanaf Ibn Abi Shaibah Jild -2 safa 285 Hadees Number - 2737)

Isi Tarah se ek riwayat Sunan Al Kubra lil Baihaqi me hai

Imam Baihaqi Rahimaullah (Died 457 H) ne farmaya

أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّہِ بْنُ فَنْجُوَیْہِ الدِّینَوَرِیُّ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاقَ السُّنِّیُّ أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّہِ الْبَزَّازُ حَدَّثَنَا سَعْدَانُ بْنُ یَزِیدَ حَدَّثَنَا الْحَکَمُ بْنُ مَرْوَانَ السُّلَمِیُّ أَخْبَرَنَا الْحَسَنُ بْنُ صَالِحٍ عَنْ أَبِی سَعْدٍ الْبَقَّالِ عَنْ أَبِی الْحَسْنَائِ : أَنَّ عَلِیَّ بْنَ أَبِی طَالِبٍ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُ أَمَرَ رَجُلاً أَنْ یُصَلِّیَ بِالنَّاسِ خَمْسَ تَرْوِیحَاتٍ عِشْرِینَ رَکْعَۃً۔وَفِی ہَذَا الإِسْنَادِ ضَعْفٌ وَاللَّہُ أَعْلَمُ۔ [ضعیف]

Abul Hasna'a Kahte Hai Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne ek shaksh ko huqm diya ki wo paanch waqfon me logon ko 20 rakat padhaye.

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Safa-497 Hadees Number 4621]


Tahqeeq :- Ye Riwayat zaeef hai kyunki Abul Hasna'a Mazhool hai


Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah (Died 752 H) farmate hai


"أبو الحسناء بزيادة ألف، قيل: اسمه الحسن، وقيل: الحسین، مجهول“

Abul Hasna'a uska name Hasan Aur Hussain Bhi bataya jata hai , ye Mazhool hai . mazeed ye ki Ali Razi Allahu Anhu se iski mulaqaat ka bhi koyi saboot nahi hai .

[تقريب التهذيب (8053)]


Nemwi Hanafi Rahimahullah is riwayat ko zaeef hone ki daleel dete huye farmate hai

"قلت: ومدار هذا الأثر على أبي الحسناء وهو لايعرف،،

Main Kahta hun is Asar ka daromadar Abul Hasna'a par hai aur ye gair maroof hai.

[آثار السنن، ت ذوالفقار (ص: ۲۹۳)]


Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah (Died 752 H) Mazeed farmate hai

"روى عن الحكم بن عتيبة عن حنش عن علي في الأضحية،

Yani isne doosre muqam par do waaston se Ali Razi Allahu Anhu se riwayat nakal ki hai

[تهذيب التهذيب (۷۹/۱۲)]

aur jer e nazar riwayat me usne sima'a ki sharahat nahi ki , lihaza Hafiz Ibne Hazar Rahimahullah ki is Sharahat se yahi maloom hota hai ki Ali Razi Allahu Anhu se iski mulaqat sabit nahi hai.

Note :- Imam Ibne Abi Shaibah Rahimahullah Farmate hai

حَدَّثَنَا وَکِیعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَیْسٍ ، عَنِ أَبِی الْحَسْنَائِ : أَنَّ عَلِیًّا أَمَرَ رَجُلاً یُصَلِّی بِہِمْ فِی رَمَضَانَ عِشْرِینَ رَکْعَۃً۔


Agar Ye Kitabat ki galti nahi to Ibne Abi Hasna'a bhi namaloom hai lekin razeh yahi lagta hai ki ye Kitabat ki galati hai aur yaha bhi Abul Hasna'a hi hai, Musannaf Ibne Abi Shaibah Ke kayi muhaqqeen ne yahan Abul Hasna'a hi likha hai maslan dekhiye


[مصنف ابن أبي شيبة، ت أسامة (رقم: 7764)]


Balki Hanafiyon ke Pasandeedah Muhaqqiq Awama Sahab ne bhi Abul Hasna'a hi likha hai

[مصنف بن أبي شيبة، ت عوامة رقم: 7763
]
 

Top