20 Rakat Taraweeh Ke Mutalliq Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki taraf mansoob Riwayat ki tahqeeq {Riwayat Number -1}


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Hafiz Jubair Ali Zai Rahimaullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

روى الإمـام الـحـافـظ الـمـحـدث زيد بن على الهاشمي في مسنده كما حدثني زيد بن علي عن أبيه عن جده عن على انه امر الذي يصلي بالناس صلاة القيام في شهر رمضان أن يصلى بهم عشرين ركعة يسلم في كل ركعتين ويراوح مابين كل أربع ركعات.


Sayyadna Ali Murtaza Razi Allahu Anhu ne us shaksh ko huqm diya jo Ramzan Shareef me logon ko Namaz(taraweeh) padhata tha ki wo 20 rakate namaz (taraweeh) padhaye har 2 Rakato ke Darmiyan Salam fere aur har 4 Char rakat ke beech me aram ke liye kuch waqfa kar le.

[Musnad Al Imam Zaid Bin Ali safa 158]

Jawab

Imam Zaid Bin Ali rahmullah Ki taraf mansoob “musnad zaid” Ahle Sunat ki kitab nahi hai balki ye Zaidi Shiyon ki Kitab hai aur Aal - e - Dewband Ka is kitab se hujjat lena is bat ki daleell hai ki dewbandiyo aur zaidi shiayo ki apas me Dili Dosti hai .

Doosra “Musnad Zaid” ka buniyadi

Rawi Abu Khalid Umar bin Khalid Al Wasiti Kazab Rawi hai.

[Dekhiye Musnad Zaid Safa-48]

Is Rawi ke mutalliq

1] Imam Yahya bin Ma'een Rahimaullah Farmate Hai

“Kazzab”

[Al-Jarah Wa Ta'adeel Jild-6 Safa-230 Sanad Sahih ]

2] Imam Isahaq Bin Rawehya Rahimaullah farmate hai

”Umar Bin Khalid wasiti Hadees ghadta tha.”

[Al-Jarah Wa Ta'adeel Jild-6 Safa-230 Sanad Sahih ]

3] Imam Abu Zara’a Ar-Raazi Rahimaullah farmate hai

”wo Hadeese Banata tha.”

[Al-Jarah Wa Ta'adeel Jild-6 Safa-230 Sanad Sahih]

4] Imam Waqiy Bin Al Jaraah Rahimaullah farmate hai

”Wo Kazzab tha”

[Kitab ul Maarifah At-Tareekh Imam Yakoob Bin Sufiyan Farshi Jild-1 Safa-700 Sanad Sahih]

5] Imam Daraqutni Rahimaullah ne kaha

Kazzab

[Al-Zoafa Wa Matrookeen Daraqutni 403]


Asal Mazmoon :- (Dekhiye Tahqiqi Maqalat Jild - 3 Safa 510)
 
Last edited:
Top