ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

20 RAKA'AT TARAWEEH KE MUTA'ALLIQ IMAM IBN TAIMIYAH RH KE QAUL KA JAWAB

IMAM IBN TAIMIYAH RH farmate hain

كَمَا أَنَّ نَفْسَ قِيَامِ رَمَضَانَ لَمْ يُوَقِّتْ النَّبِيُّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – فِيهِ عَدَدًا مُعَيَّنًا؛ بَلْ كَانَ هُوَ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – لَا يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ وَلَا غَيْرِهِ عَلَى ثَلَاثَ عَشْرَةَ رَكْعَةً، لَكِنْ كَانَ يُطِيلُ الرَّكَعَاتِ، فَلَمَّا جَمَعَهُمْ عُمَرُ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ كَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً، ثُمَّ يُوتِرُ بِثَلَاثٍ، وَكَانَ يُخِفُّ الْقِرَاءَةَ بِقَدْرِ مَا زَادَ مِنْ الرَّكَعَاتِ، لِأَنَّ ذَلِكَ أَخَفُّ عَلَى الْمَأْمُومِينَ مِنْ تَطْوِيلِ الرَّكْعَةِ الْوَاحِدَةِ، ثُمَّ كَانَ طَائِفَةٌ مِنْ السَّلَفِ يَقُومُونَ بِأَرْبَعِينَ رَكْعَةً، وَيُوتِرُونَ بِثَلَاثٍ، وَآخَرُونَ قَامُوا بِسِتٍّ وَثَلَاثِينَ، وَأَوْتَرُوا بِثَلَاثٍ، وَهَذَا كُلُّهُ سَائِغٌ، فَكَيْفَمَا قَامَ فِي رَمَضَانَ مِنْ هَذِهِ الْوُجُوهِ، فَقَدْ أَحْسَنَ.
Ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne QAYAM E RAMAZAN ki RAKA’AT ka koi MU’AYYIN ADAD HATMEE taur par MUQARRAR nahi farmaya khud JANAB NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN aur GHAIR RAMAZAN me 13 RAKA’AT se zyada nahi padhte the lekin AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAKA’AT TAWEEL hoti thi ( YAANI HAR RAKA’AT ME ZYADAH QIRAT KARTE THE) aur baad me HAZRAT UMAR RZ ne SAYYADNA ABI BIN KA’AN RZ ki IMAMAT me ek JAMA’AT par sab ko JAMAA kiya to wo unko 20 RAKA’AT aur 3 WITR padhaate aur RAKA’AT ke ZYADAH hone ki wajah QIRAT HALKEE,THODI HOTI, jo MUQTADIYON ke liye TAWEEL RAKA’AT ki NISBAT AASAN aur HALKEE hoti

Aur phir baad me SALAF ka ek TAAIFA wo bhi tha jo 40 TARAWEEH aur 3 RAKA’AT WITR padhte the aur kuch log 36 RAKA’AT TARAWEEH aur 3 RAKA’AT WITR padhte the aur ye sab SOORATEN JAAYEZ thi ya JAARI thi is liye INME jo SOORAT bhi APNAA li jaaye ACHII HAI
[[ FATAWA AL KUBRA JILD 2 SAFA 119,120 ]]

SCAN

NOTE>> IMAM IBN TAIMIYAH RH ki is IBARAT se BAZAHIR MALOOM hota hai ki inke NAZDEEQ TADAAD RAKA’AT TARAWEEH me TAUS’AA hai yaani jo jitni chahe padh le
Lekin TAHQEEQI baat ye hai ki aisa nahi, balki inhe khud IQRAAR hai ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM 13 RAKA’AT se ZYADAH nahi padhte the to SAABIT huaa ki SUNNAT ADAD to yahi hai

Aur rahi baat HAZRAT UMAR RZ ke HUKM ki to SAHEEH BAAT ye hai ki IMAM MALIK RH ne HADD DARJAH SAHEEH SANAD se HAZRAT UMAR RZ ka HUKM NAQAL farmaya ki

مَالِكٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، أَنَّهُ قَالَ: أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَيَّ بْنَ كَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا لِلنَّاسِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً
HAZRAT UMAR RH ne ABI BIN KA’AB AUR TAMEEMDARI RZ ko HUKM diya ki wo logo ko 11 RAKA’AT padhaayen
(Muwatta Imam Malik Book No.6 Hadees No.4)

Ye RIWAYAT MU’ATTA jaisi AZEEM aur MASH’HOOR KITAB aur deegar kayi KUTUB E HADEES me BASANAD SAHEEH MAUJOOD hai aur NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke AMAL ke MUWAFIQ bhi hai is liye ye kahna SAHEEH nahi ki HAZRAT UMAR RZ ne logo ko 20 RAKA’AT par JAMAA kiya

IMAM IBN TAIMIYAH RH ke HUM ASAR MASH’HOOR HANAFI ALIM ALLAMA ZAYLEE RH ka kehna hai

وَعِنْدَ ابْنِ حِبَّانَ فِي “صَحِيحِهِ” عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ أَنَّهُ عليه السلام قَامَ بِهِمْ فِي رَمَضَانَ، فَصَلَّى ثَمَانِ رَكَعَاتٍ، وَأَوْتَرَ
Ki SAHEEH IBN HIBBAN me HAZRAT JAABIR RZ se MARWI hai ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne SAHABA IKRAAM RZ ko 8 RAKA’AT TARAWEEH aur phir WITR padhaayi
[[ NASAB UR RA’YAH FI AHADEES AL HIDAYA JILD 2 SAFA 152 ]]

SCAN

Aur IMAM IBN TAIMIYAH RH ke HUM ASAR IBN MULAQQIN SIRAJUDDIN ABU HAFS UMAR BIN ALI BIN AHMAD RH apni MAAYANAZ TAHQEEQI KITAB me farmate hain

ورُوِيَ عَن يزِيد بن رُومَان قَالَ: كَانَ النَّاس يقومُونَ فِي زمن عمر بن الْخطاب بِثَلَاث وَعشْرين رَكْعَة
رَوَاهُ مَالك فِي «الْمُوَطَّأ» (وَالْبَيْهَقِيّ) لكنه مُرْسل؛ فَإِن يزِيد بن رُومَان لم يدْرك عمر
Ki YAZEED BIN ROOMAN ne HAZRAT UMAR RZ ke DAUR me 23 RAKA’AT TARAWEEH padhne ki jo RIWAYAT BAYAN ki hai wo MURSAL hai q ki YAZEED BIN ROOMAN ne HAZRAT UMAR RZ ka DAUR paaya hi nahi
[[ AL BADAR UL MUNEER JILD 4 SAFA 351 ]]

SCAN

Aur USOOL E HADEES ke MUTABIQ MURSAL YA MUNQATA RIWAYAT ZA’EEF hoti hai QABIL E ISTEDLAL nahi hoti

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

FOR MORE DETAILS CLICK HERE>>ahlehadithhaq.wordpress.com
 

Similar threads


Top