100 baar «لَا إِلهَ إِلَّا اللَّهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ الْمُبِينُ» ka wird karna kaisa hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
100 baar «لَا إِلهَ إِلَّا اللَّهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ الْمُبِينُ» ka wird karna kaisa hai?

Prepared By: Umar Asari

✵Sawaal✵
Hadees hai ki jo saw bar la ilaah illallahu ul malik ul haqq ul mubeen ka wird karega to Allah Tala use faqr se panaah dega, wahshate qabr ko khatm karega aur usko be niyaz bana dega aur woh jannat ke darwazay par dastak dene wala hoga.
Is message ko khob share kro. Apney phone me rok kar na rakho.

Kiya ye hades sahi ha?

✯Jawaab✯
Is mein koi shak nahi ki Quran o Hadees ko doosron tak pahunchaana bahut sawaab ka kaam hai. Lekin doosron tak pahunchaane se pehle us ke baare mein tehqeeq karna bhi zaroori hai. Aap ne jis Hadees ke mutalliq poocha hai woh sahih nahi hai. Yeh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot hai. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne is se mutanabbih kiya hai. Farmaya:
لَا تَكْذِبُوا عَلَيَّ؛ فَإِنَّهُ مَنْ كَذَبَ عَلَيَّ فَلْيَلِجِ النَّارَ​
Tarjumah: Mujh par jhoot mat bolo. Kiunki jo mujh par jhoot baandhega woh dozakh mein daakhil hoga.
(Sahih Bukhari: 106)

Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Fatah ul Bari mein likhte hain:
هُوَ عَامٌّ فِي كُلِّ كَاذِبٍ، مُطْلَقٌ فِي كُلِّ نَوْعٍ مِنَ الْكَذِبِ، وَمَعْنَاهُ لَا تَنْسِبُوا الْكَذِبَ إِلَيَّ​
Tarjumah: («لَا تَكْذِبُوا عَلَيَّ» Mujh par jhoot mat bolo) Yeh har jhoote ke silsile mein aam hai, har qism ke jhoot mein mutlaq hai, aur iska ma’na hai ki meri taraf jhoot mansoob na karo…
(Fatah ul Bari)

Salamah bin Akwa’ Radhiallahu Anhu se riwayat hai woh kehte hain ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna:
مَنْ يَقُلْ عَلَيَّ مَا لَمْ أَقُلْ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ​
Tarjumah: Jo shakhs mere naam se woh baat bayan kare jo main ne nahi kahi to woh apna thikaana jahannam mein bana le.
(Sahih Bukhari: 109)

In Ahadees par Imam Bukhari Rahimahullah ne yeh baab baandha hai:
بَابُ: إِثْمِ مَنْ كَذَبَ عَلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ​
Yani: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandhne waale ka gunaah kis darje ka hai (iske mutalliq baab).

Lehaaza kisi bhi cheez ko share karne se pehle uski tehqeeq kar len. Khud itna ilm na ho to kisi alim se raabta karen.

Ab aaiye us Hadees ke mutalliq tafseel dekhte hain jis ke baare mein aapne poocha hai:
Us Hadees ko Abu Nu’aim Asbahani ne Hilyat ul Awliya mein «عن سَلْمِ بنِ مَيْمُوْنٍ الخَوَّاص ‘ عن مالكِ بنِ أنسٍ» se naql kiya hai.
(Hilyat ul Awliya: 8/280)

Aur Salm bin Maimoon Al-Khawwaas ke mutalliq Meezaan ul Aitedaal (2/186-187) mein hai.
Ibn e ‘Adi farmaate hain:
ينفردُ بمتونٍ وبأسانيد مقلوبةٍ​

Ibn e Hibban farmaate hain:
وكان من كبارِ عُبادِ أهلِ الشامِ ، غلب عليه الصلاحُ حتى غفل عن حفظِ الحديثِ وإتقانهِ ، فلا يحتجُ بهِ​

Uqaili farmaate hain:
حدث بمناكير لا يتابعُ عليها​

Abu Hatim kehte hain:
لا يكتبُ حديثهُ​
(Mazeed dekhen: Siyar o A'laamin Nubala: 8/179-180, Az-Zu’aafa Al-Kabeer Lil-Uqaili: 2/165, Al-Kamil Fi-Zu’aafa-ir-Rijaal: 4/350-351)

Aur Khateeb Baghdaadi ne isi riwayat ko Tareekh e Baghdaad mein «الفضل بن غانم عن مالك بن أنس كلاهما عن جعفر بن محمد عن أبيه عن جده عن أبيه عن علي» se naql kiya hai.
(Tareekh e Baghdaad: 14/322)

Al-Fazl bin Ghanim ke mutalliq Meezaan ul Aitedaal (3/357) mein hai.
Yahya kehte hain:
ليس بشيءٍ​

Daraqutni kehte hain:
ليس بالقوي​

Khateeb kehte hain:
ضعيف​

➤ Is Hadees par muhaddiseen ke aqwaal:
Is Hadees par muhaddiseen ne kalaam kiya hai. Chunaancha Hafiz Iraaqi likhte hain:
Is Hadees ko Mustaghfiri ne Ad-Da’waat mein aur Khateeb ne Ar-Ruwaat mein naql kiya hai. Aur iski sanad mein Al-Fazl bin Ghaanim za’eef rawi hai.

Aage mazeed likhte hain:
Is Hadees ko Abu Nu’aim ne Hilyah mein naql kiya hai. Aur uski sanad mein Salm bin Khawwaas naami raawi za’eef hai.
(Takhreej o Ahadees Ihyaa o Uloom-id-Deen: 1102)

Imam Dara Qutni farmaate hain:
كل من رواه عن مالك ضعيف​
Tarjumah: Jisne bhi Malik se riwayat kiya hai woh zaeef hai.
(Lisaan ul Mezaan: 6/347)

Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Munkar kaha hai.
(Silsila Az Zaeefah: 3310)

Khulasa e Kalaam yeh hai ki yeh Hadees Sahih nahi hai. Lehaaza is Hadees ki nisbat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf karna ghalat hai.
Allah Knows Best.
 

Similar threads


Top