📮 IKHTELAAF PAIDA HO JANE PAR KYA KIYA JAAYE❓


Amaat ullah

New member
📗 Jaha 1 se zyada insan baste aur rahte hai waha IKHTELAAF hojana natural hai. Isme koi tajjub ki baat nahi.
Lekin IKHTELAAF ko baaki rakhna aur usko hal karne koshish Na karna ye tajjub ki baat hai.
Aaye dekhte hai Allah ne kya karne ko kaha jab ikhtelaaf paida ho jaye :

⭕يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ أَطِيعُوا۟ ٱللَّهَ وَأَطِيعُوا۟ ٱلرَّسُولَ وَأُو۟لِى ٱلْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَٰزَعْتُمْ فِى شَىْءٍۢ فَرُدُّوهُ إِلَى ٱللَّهِ وَٱلرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌۭ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
⭕Tarjuma:

Aye imaan waalo farma- bardaari karo Allah ki aur farma-bardaari karo Rasool (sallallahualaihiwasallam) ki aur tum mein se ikhtiyaar waalo ki, phir agar kisi cheez mein ikhtelaaf karo to use lautaao Allah ki taraf aur Rasool ki taraf agar tumhe Allah par aur qayaamat ke din par imaan hai, ye bahuth behtar hai aur ba-etebaar anjaam ke bahuth accha hai.

📙(Surah 4 Nisa’a: Ayat 59)

🔵🔵 Khulasa :

✔IKHTELAAF ko Allah ki taraf yani Quran ki taraf lautaye.

✔IKHTELAAF ko Rasool SallallahuA’laihiWaSallam ki taraf yani Rasool ki sahih Hadees ki taraf lautaye.

✔Yahi tariqa Anjam (result) ke hisaab se behtar hai.

🔴🔴 HAM IKHTELAAF ko KHATAM NAHI KARNA CHAHTE

🔹Aaj musalmano ke amal se ye dikhta hai ke ham ikhtelaaf ko baaki rakhna chahte hai.

Kyunke ham QURAN aur Sahih Hadees ke Roshni me ham apni islaah nahi karna chahte.

🔹Apne maslaqo ko lekar adkar baith gaye. Quran ki ayat aati hai aur Rasool SallallahuA’laihiWaSallam ki sahih Hadees bhi aati hai lekin kya kare ham apne maslaq aur baap dadao ke rasm riwaj ko nahi chhod sakte.http://letsknowahlulhadees.wordpress.com/
 
Top