“ Tawba ki Ehmiyat aur Ta’seer”


Abdul Mussavir

New member
ﺑﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ





“ Tawba ki Ehmiyat aur Ta’seer”

Tehreer(urdu) :- Muhammad Irfaan Butt

Source :- Magazine Mazalla Ahle HadeesMay2018

Romanised :- Abdul Mussawwir



الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد


Tawba kya hai ?

Jab koi shaqs kisi gunah ka murtakib ho jata hai to woh koshish karta hai kisi tarah woh uss amal se mubarra ho jaye lehaza uss ke liye woh uzr karta hai.

Imam Raghib asfahani ؒ ne apni kitab “ magifradat lilquran” me aitzar(yani us zurm se mubarra hona jiska irtikaab usne kiya) ki teen qismein batayi hai

1) pehli surat yeh woh apne zurm ka sire se inkar karde aur kahe ke mene yehnhi kiya
2) us ke liye wajah talash kare aur bahane tarashne lage
3) *teesri yeh hai ke woh ae’itraaf zurm kare aur use waqiye zurm samjhe aur ainda na karne ka yaqeen dilaye iss surat ko tawba kkehte hai .*

Lughvi definition( ma’ini)

Arbi me har lafz kisi harfi maade se bana hota hai aur lafz tawba ‘ت’‘و’ ’ ب’ se se bana hai iska lugvi mana hota hai ruju karna, palatna aur nidamat.

*Allahﷻke liye aur Bandeke liye lafz tawba me farq*
Tawba ka lafz Allah ﷻne apne liye bhi istemaal kara hai aur insanno ke liye bhi.Jab tawba lafz Allahﷻ ke liye istemaal ho to uska matlub hoga tawba qubool karna muaaf karna bande ki taraf ruju karna is surat me tauba ka lafz علی ke sath istemal hota hai

Jese Surah baqra ayat 37Allahﷻfermata hai :-

فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ ۚ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ
(hazrat) aadam (ؑ) ney apney rab say chand baaten seekh li aur Allah ﷻney unn ki tawba qabool farmaee be-shaq wohi tawba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai.



Jab yeh lafz bando ke sath ata hai ha to uska matlub hota hai ke tawba karna Allah ki taraf ruju hona gunaho se ruju karna is surat me amuman الی ke sath ata hai

jese ke quranme surahmaida 74


أَفَلَا يَتُوبُونَ إِلَى اللَّهِ وَيَسْتَغْفِرُونَهُ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَّحِيمٌ

Yeh log kiyon Allah ki taraf nahi jhuktay aur kiyon istaghfar nahi kertay? Allah ﷻ boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hai


Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya


Jis ne suraj ke magrib se tulu hone se pehle pehle tawba Karli to Allah us ki tawba qabool karega

(Muslim Kitab azkar wa-dua)

*Istelahi definition (Ma’ini)*


Iske istelahi maina ke hawale se mukhtalif logo ne mukhtalif ta’biraat ki hai barhaal alfaaz mukhtalif hai mafhum ek hi banta hai.

1) Gunah ka ba-hasan wujoh tarq karna (mufradat alquran)
2) Hazrat Junaid bagdadi ؒ se pucha gya ke tawba ka kya matlub hai to unhone farmaya ke *gunah ko faramosh kardena yani tawba karne ke baad gunah ki lazzat ka ehsaas bhi dil se is tarh khatm ho jaye ko goya who janta hi nhi ke gunah kiya hota hai*
3) tawba ka maina ruju karna bhi hai aur gunah se saib hone ke bhi (Tafseer Da-wat-alquran)


*Tawba 3 chijo ka naam hai jo tarteeb k e sath payi jaati hai*

Ilm(Knowledge), Haal(present/feeling) ,Fa’il(action).

Ilm se murad yeh janna ki gunaho ke be shumar nuqsanat hai sab se bada nuqsaan yeh hai key yeh gunah bande aur mehbub haqeeqike darmiyan hijab ban jata hai to is ma’rifat se taqleef mehsus karta hai kyu ke isse mehbub se dur rehna kisi bhi halat me gawara nhi hota is fa’il par woh nidamat mehsus karta haiaur yehi tawba ki dusri chij hai jiss haal kehte hai magar is par yeh halat galib ajati hai to yeh aik halat paida hoti hai jise fa’il ke qasad wa irad kehte hai

*mukhtasar yeh ke deen ki istelahi me tawba gunah se Allah ki ita’at ki tarf ruju karne ka naam hai .*




*Tawba ki sharait*

Tawba ke hawale se chand sharait bayan ki jati hai ko ke darz zail hai ;-

1) Haqeeqi nadamat wa afsos


2) Ainda gunah na karne ka wada

3) Gunah ko amalann tarq kar dena

Yeh 3 sharait huquq Allah ki adaigi me kohtayi ke hawale se hai agar koi kohtayi huqooq ul ibaad ke zaman me hui hai to is me aik aur sharait ka izafa ho jayga ke kisi shaqs ke sath zyadti ke ssorat me is ka haq lautana muaf katrana hai

Yani jiske sath aapne bura kara ho use muafi talab kare.


*Tawba ki sharait quran wa hadees ki roshni me*



Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai keNabi kareem ﷺ ne farmaya – momin jab gunah karta hai to us ke dil par aik siyah dhabba padh jata hai phir agar tawba kare aur ainda ke liye use baaz ajaye aur astagfaar kare to usska dil chamak kar saaf ho jata hai yeh dhabba dur ho jata hai aur agar mazeed gunah kare to dhabba badh jata hai yaha tk ke pura dil siyaah ho jata hai

Hazrat shoaib ؑne apni qaum ko tawba wa astagfaar ki dawat dete hue farmaya

Quran Hud 90


وَاسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ ۚ إِنَّ رَبِّي رَحِيمٌ وَدُودٌ
Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf tawba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai




Hazrat Aisha رضي الله عنه se rivayat hai ke ke woh waqiya afak ke mauqe par Nabi ﷺ ne mujhse farmaya aey aisha agar tum se gunah ka irada ho gya to Allah se astagfaar kiya karo kyu ke gunah se tawba astagfaar aur nidamat hi hai .(Musnad Ahmed’musnad abu saeed khudri)

Abdulllah bin Moaqal kehta hai ke me apne walid ke sath Abdullah bin Masood رضي الله عنه ke pass gya to me ne un ko kehte hue suna ke Allah ke rasul ﷺ ne farmaya :- *nidamat sharmindgi hi tawba hai* (Musnad Ahmed’Musnad abi Hisham hadees Al-abbas bin Abdul Muttalib))


Nidamat ke aqsaam ke hawale se Hazrat Umar رضي الله عنه ka ek qawl marvi hai
*nidamat 4 qism ki hoti hai*

1) nidamat ek din ki jab koi ghar se bila khana khaye chala jaye
2) nidamat ek saal ki jab jara’at ka waqt gaflat me guzar jaye
3) nidamat umar bhar ki jab biwi se muafiqat na ho
4) nidamat abdi jab ke Allah tala nakhush ho

Hazrat ibn Masood رضي الله عنه farmate hai ek shaqs ek aznabi aurat ka bosa liya jo ke haram tha phir wo Nabi ﷺ ki khidmat me hazir hua aur us ka kaffara daryaft kiya us par yeh ayat nazil hui



quran hud 114


وَأَقِمِ الصَّلَاةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِّنَ اللَّيْلِ ۚ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ۚ ذَٰلِكَ ذِكْرَىٰ لِلذَّاكِرِينَ
Din kay dono siron mein namaz barpa rakh aur raat ki kaee sa’aton mein bhi yaqeenan nekiyan burayion ko door ker deti hain yeh naseehat hai naseehat pakarney walon kay liye.


Us shaqs ne arz kiya ya Rasulallah kiya yeh hukm sirf mere liye hai aap ﷺ ne farmaya tumhare liye bhi aur meri ummat me har us shaqs ke liye jo is par amal kare.(Sahi Muslim Ba’ab Salat kaffara)

upar ki hadees se malum hota hai ki jin gunaho ka uzalamumkin hai un ka kaffaraa ada karna hoga Hazrat Nafi رضي الله عنه se rivayat hai ke ek aurat daur e nabwi me zewar musti’ar liya karti thi ,usne kisi se zewar manga aur usko wapas na diya rasulallah ﷺ ne irshaad farmaya yeh aurat tawbakare aur jo kuch uske pass hai wo logo ko ada kare. Aap ﷺ ne kayi martaba is tarh farmaya lekin us aurat ne nahi mana akhir kaaraap ﷺ ne aurat ka hath katne ka hum diya (sunan Nasa’i)




*Tawba ke baare me chand ayah mubarak mulaihza farmaye*

Quran surah baqra 160
إِلَّا الَّذِينَ تَابُوا وَأَصْلَحُوا وَبَيَّنُوا فَأُولَٰئِكَ أَتُوبُ عَلَيْهِمْ ۚ وَأَنَا التَّوَّابُ الرَّحِيمُ
Magar woh log jo tawba ker len aur islaah ker len aur biyan ker den to mein unn ki tawba qabool ker leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hun.


Quran surah maida 39
فَمَن تَابَ مِن بَعْدِ ظُلْمِهِ وَأَصْلَحَ فَإِنَّ اللَّهَ يَتُوبُ عَلَيْهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ
Jo shaks apney gunah kay baad tawba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai




Quran surah taha 82

وَإِنِّي لَغَفَّارٌ لِّمَن تَابَ وَآمَنَ وَعَمِلَ صَالِحًا ثُمَّ اهْتَدَىٰ
Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun jo tauba keren eman layen nek amal keren aur raah-e-raast per bhi rahen.


Quran Surah tehrim 8
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَّصُوحًا
Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi khalis tauba kero



*Tawba ikhlaas ke sath ki jati hai tawba ka maqsad mahaz dikhawa ya logo ki tareef ka husul nhi hota balqe khalis Allah ki raza aur apne gunaho ki muafi ke liye ki jati hai*




*Tawba aur Astagfaar me farq*

Kuch alfaaz ese hote hai jo ke hum aam taur par matradifat ke taur par istemaal karte hai jabke woh deen ki bohut ahem istelahat hoti hai aur un ke maini me farq hota hai jese nabi aur rasool islaam aur imaan aur yehi muamla tauba aur astagfaar ke hawale se bhi hai


*Astagfaar ka maina hai dhaapna aur chupana.Tawba me astagfaar ka maina shamil hai gunah ko gunah jaan kar tarq kar dena aur us gunah par naadim(afsos) hone ke sath Allah ﷻ se magfirat talab karna aur gunah ko tarq kardena un ke majuma ka naam hai*

Astagfaar ka talluq zuban aur dil se hai jabke tawba ka talluq zabaan dil amal aur irade sab se hai




*Tawba ki ehmiyat*

Hamare deen me tawba ki ehmiyat bohut hai isnsaan khata ka putla hai uss se khata sarzad ho jati hai khata ka sarzad ho jana koyi badi baat nhi kyu ke Allahﷻ ne farmaya


Quran Sura Nisa 28

يُرِيدُ اللَّهُ أَن يُخَفِّفَ عَنكُمْ ۚ وَخُلِقَ الْإِنسَانُ ضَعِيفًا
Allah chahta hai kay tum say takhfeef ker dey kiyon kay insan kamzor peda kiya gaya hai.


Galtiya har shaqs se hoti hai koi bhi shaqs aib se paak nhi hota galti se paak ya to farishte hai ya fir ambia kiraam hote hai lekin asal imtihaan khata ke sarzad hone ke baad shuru hota hai agar insaan khata ke baad tawba karta hai ita’at ki taraf ruju karta hai to yeh tarj e amal tarj e admiyat kehlayga aur yeh tarj e amal insaan ko shaitaan se alag karta hai
Hazrat Anas رضي الله عنهse rivayat hai :
*Har insaan khata kaar hai magar behteen insaan woh hai jo tawba karte hai* (Sunan Ibn Majah)

galati Adam ؑ se bhi hui thi aur shaitaan mardodd se bhi lekin tarj e admiyat ke mutabiq nhi jese hi apni galti ka ehsaas hua pareshaan hue aur foran Allahﷻ ko yaad kiya uski tarf ruju hue intehayi khubsurat dua kalimaat hai jo kiis mauqe par Allah ne Hazrat Adamؑ ko sikhaye

Quran surah ahraaf ayah 23


قَالَا رَبَّنَا ظَلَمْنَا أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ
Dono ney kaha aey humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar tu humari maghfirat na keray ga aur hum per reham na keray ga wo waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen gay




Iske baraqs shaitaan ka tarj e amal bhi hai jo ke Allah ne quran me farmaya


surah baqra 34
وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ
Aur jab hum ney farishton say kaha kay aadam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya. Uss ney inkar kiya aur takabbur kiya aur woh kafiron mein hogaya.

yehi tawba ka darwaja hai jo ke Allah ﷻ ne khula rakh kar insaan ke liye nijaat ki aik umeed baqi rakhi hai wrna agar yeh tawba ka darwaza band kardiya jata aur insaan ki har galti par muakhiza hone lagta hai to kon hai jo Allahﷻ ki pakad se mehfuz reh pata ? Agar har galati par Allahﷻ ka azab aane latga to kon hai jo nijaat pata ? Allah ﷻ ne khud yeh baat quran me farmay

Al-Quran Surah fatir 45
وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللَّهُ النَّاسَ بِمَا كَسَبُوا مَا تَرَكَ عَلَىٰ ظَهْرِهَا مِن دَابَّةٍ وَلَٰكِن يُؤَخِّرُهُمْ إِلَىٰ أَجَلٍ مُّسَمًّى ۖ فَإِذَا جَاءَ أَجَلُهُمْ فَإِنَّ اللَّهَ كَانَ بِعِبَادِهِ بَصِيرًا
Aur agar Allah Taalaa logon per unn kay aemaal kay sabab darogeer farmaney lagta to roy-e-zamin per aik jaandaar ko na chorta lekin Allah Taalaa inn ko aik miyad-e-moyyan tak mohlat dey raha hai so jab inn ki woh miyad aa phonchay gi Allah Taalaa apnay bandon ko aap dekh ley ga




Chuncanche yeh Allah ki shaan al-gafu al rehmaan aur Raheem ka mazhar hai ki us ne hume mohlat de rakhi hai aur apne bando ker liye tawba ka darwaja khukla rakha hai aur tb tk ke liye khula rakha hai jab tk insaan par maut ke asaar namudar nhi ho jate hadees nabvi hai

Allah tala bande ki tawba is waqt tk qabool kartarehta hai jab tak girgirah(maut ki kaifiyat) na ajaye (sunan ibn majah kitab zuhd ba’ab at-tawba)




Is liye insaan ka tarz-e-amal yeh hona chahiye ke wo har waqt tawba karta rahe na jane kon se lamhe uska akhri waqt ajaye yeh maut ki talwaar har waqt insaano ke saro par latki rehti hai hadees me ata hai ke nabi ﷺ ne aik sahhabi se pucha ke *tumhe zindagi se kitni umeed hai sahabi ne jawab diya ke mujhe to itni bhi umeed nhi ke me kal ka suiraj dekh paunga bhi ya nhi Nabi ﷺ ne farmaya itni lambi umeed mujhe to yeh bhi umeed nhi ke men yeh saans jo andar liya hai use bahar nikaal paunga ya nhi

Yeh baat kon farma rha ahi Allah ka woh banda jisse maut ka farishta ruh kabz karne ke liye izazat talab karta hai to phir hamari kiyaehisyat hogi

Nabi ﷺ ka mamul tha ke woh bohut kasrat se astagfaar wa tawba farmaya karte the
haz Abu Hurairaرضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ na farmayta
(Sahi Bukhari Ba’ab astagfaar Nabiﷺ)


*Qasm Allah ki me din me sattar baar se jyada astagfaar wa tawba karta hu*



Hazrat abu Saeed khudri رضي الله عنه se rivayat hai ke

Shaitaan ne Allah se kaha ke qasm hai teri izzat ki aey mere parwaddigaar me tere bando ko hamesha gumrah karta rahunga jab tk ke un ki rohein unke jism me hai Allah ne farmaya qasm hai apni izzat ki aur buzurgi ki mere bande jab tk mujhse bakshish mangte rahnge me bhi hamaesha bakhsta rahunga

(Musnad Ahmed)


Hazrat Ali رضي الله عنهse rivayat hai ke rasullah ﷺ ne farmaya Allah ﷻ us bande momin ko dost rakhta hai jo gunaho me mubtala hota hai bohut jyada tawba karta hai (Sahi Muslim Kitab tawba)
tashreeh :- yeh mansha nhi hai ke gunaho me mubtala hone ki wajah se dost rakhta hai balqe gunaho par naadim wa sharminda hone se tawba karne ki wajah se use dost rakhta hai b




Hazrat Abu Musa ashariرضي الله عنه se rivayat hai ke rasulallah ﷺ ne farmaya



Allah ﷻ raat me apna hath felata hai taqe woh din me gunah karne wala tawba kare aur din me hath feladeta hai taqe raat me gunah karne wala tawba kare yaha tk ki suraj magrib se nikle (Sahi Muslim Kitab at tawba)

*Tawba Ki Ta’aseer*

tawba karne se insaan ke nm’e a’amaal par kiya tabdeeli aati hai iska andaza hadee se lagaya ja sakta hai .

hazrat Abdullah bin Masood رضي الله عنه se rivayat hai kehte hai Nabi ﷺ ne farmaya :- *Gunaho se Sahi aur puckhta tawba karne wala shaqs esa hai ke jisne gunah nhi kiya ho*

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke kehte hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :- *qasm hai us zaat ki jiske qabze me meri jaan hai agar tum log gunah na karo to Allah tumhe utha le aur tumhare jagah aise logo ko paida karde jo gnah karein aur Allah se tawba wa magfirat chahe aur fir Allah unhe bakhshein*(Sahi Mulism)




Gaur kijiye ke agar koi shaqs kisi dusre shaqs se koi chij baar baar mange to use gussa ata hai lekin Allah ki Shaan yeh hai ke insaan Allah se na mange to Allah ko insaan ke is ravvayya par gussa ata ha.

Hazrat Anas رضي الله عنه kehte hai ke Nabi kareem ﷺ ne farmaya Allah Ta’ala fermata hai aye Ibn Adam jab tk tu mujse gunaho ki muafi mangta rahega aur mujse umeedrakhega me tumhe maaf karunga tune jobura kaam kiya hoga muje uski parwa nhi hogi yani tu chahe kitna hi bada gunah gaar ho tujhe maafkarna mere nazdeek koi badi baat nhi. Aey ibn Adam agar tere gunah asmaan tk tk bhi pohuch jaye aur tu mujhse maafi chahe to me tujhe maafi dunga aur mujh ko iski parwa nhi hogi. Aey Ibn Adam agar tu mujse is haal me mile ke tere sath zameen bhar gunah ho to me tere pass zameen bhar magfirat lekar aaunga.(mishkat masabeh)

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya *Agar tum int gunah karo ke asmaan tk pohuch jaaye phir tum tawba karo to Allah tum ko muaaf kar de is qadr uski rehmat wasie’e hai (Musnad Ahmed)

*Tawba Ayah Quran ki Roshni Me*

Al-Quran Surah baqra 222
إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ التَّوَّابِينَ وَيُحِبُّ الْمُتَطَهِّرِينَ
Allah tauba kerney walon ko aur pak rehney walon ko pasand farmata hai

Al-Quran surah nissa 63

وَمَا أَرْسَلْنَا مِن رَّسُولٍ إِلَّا لِيُطَاعَ بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوا أَنفُسَهُمْ جَاءُوكَ فَاسْتَغْفَرُوا اللَّهَ وَاسْتَغْفَرَ لَهُمُ الرَّسُولُ لَوَجَدُوا اللَّهَ تَوَّابًا رَّحِيمًا
Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay

Al-quran Surah hud 3 aur 52 aur 90

وَأَنِ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ يُمَتِّعْكُم مَّتَاعًا حَسَنًا إِلَىٰ أَجَلٍ مُّسَمًّى وَيُؤْتِ كُلَّ ذِي فَضْلٍ فَضْلَهُ ۖ وَإِن تَوَلَّوْا فَإِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ كَبِيرٍ
Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf kerao phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney walay ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz kertay rahey to mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai.

وَيَا قَوْمِ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ يُرْسِلِ السَّمَاءَ عَلَيْكُم مِّدْرَارًا وَيَزِدْكُمْ قُوَّةً إِلَىٰ قُوَّتِكُمْ وَلَا تَتَوَلَّوْا مُجْرِمِينَ
Aey meri qom kay logo! Tum apney paalney walay say apni taqseeron ki moafi talab kero aur uss ki janib mein toba kero takay woh barasney walay badal tum per bhej dey aur tumahri taqat per aur taqat qooat barha dey aur tum jurum kertay huye roo gardani na kero.

وَاسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ ۚ إِنَّ رَبِّي رَحِيمٌ وَدُودٌ
Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai.


Trasliteration Note:-

Tawba ke Tareeqe me sabse behtreen Namaz padhke tawba karna (Salat ul Tawba)


Salaat Al-tawbah - (Allah se maafi talab karne ki namaz)

Hazrat Ali رضي الله عنه se rivayat hai ki Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه ne farmaya ki Rasulallahﷺ ne farmaya ki jab koi banda gunah kar baithe phir wuzu kare aur khoob achchi tarah wuzu kare uske baad 2 rakaat namaz padhe aur Allah ﷻ se apne us gunah ki maafi mange to Allah ﷻuske gunah ko yaqeenan maaf farma dega

phir unhone ye aayat tilwat farmayee

وَالَّذِينَ إِذَا فَعَلُوا فَاحِشَةً أَوْ ظَلَمُوا أَنفُسَهُمْ ذَكَرُوا اللَّهَ فَاسْتَغْفَرُوا لِذُنُوبِهِمْ وَمَن يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا اللَّهُ وَلَمْ يُصِرُّوا عَلَىٰ مَا فَعَلُوا وَهُمْ يَعْلَمُونَ

(Al Quran 3:135)

Tarjuma:- Aur wo log jo koi khula gunah (fahisha , zina) kar baithte hain ya apne haq mein koi aur burayee kar baithte hain to Allah ﷻ ko yaad karte hain aur apne gunaho ki bakhshis maangte hain , Aur Allah ﷻ ke siwa kaun gunah bakhsh sakta hai, aur wo jaan bujh kar apne kiye par ade nahi rahte, aur jabke wo jante hain.

Sunan Abu Dawud,

Allah se apne gunaho ki bakshish ,Tauba wa astagfaar talab karte raho

Al-Quran(Nissa:110)

وَ مَنۡ یَّعۡمَلۡ سُوۡٓءًا اَوۡ یَظۡلِمۡ نَفۡسَہٗ ثُمَّ یَسۡتَغۡفِرِ اللّٰہَ یَجِدِ اللّٰہَ غَفُوۡرًا رَّحِیۡمً.

Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Allah Taalaa say istaghfaar keray to woh Allah ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.

Rivayat me ata hai ke ek baar ek shaqs Hazrat Ali رضي الله عنه ke pass aya aur pucha. Aap us shaqs ke bare me kya kehte hai jisne koi gunah ka kam kara? Jawab diya :- Usse chahiye Allah سبحانه وتعالى se Tawba wa astagfaar kare.

Us shaqs ne kaha ke agar woh dobara gunah kare ? Hazrat Ali ne fr wohi farmaya ke Allah se tauba kare aur astagfaar kare. Us shaqs ne kaha ke admi ne esa hi kiya lekin fir wapas gunah kar betha.Hazrat Ali ne bola ke woh Allah se tawba kare aur astagfaar kare.

us shaqs ne fir yeh sawal dohraya Hazrat ali fr yhi jawab diya aur bola ke jab tk tauba astagfaar kare jb tk woh shaytan ko na hara de.

Yani :- Shaytan uske tauba wa astagfaar se mayus ho jaye aur fr usse gunah ke liye na bahkaye.

Ref:- Hun'ad bin al sari kitab al-zuhd.


Akhir me Allah سبحانه وتعالى se dua ke hume gunaho se bachaye aur tawba ki toufeeq de Ameen .

wa akhirud dawana wal hamdulillahi rabbil alameen
Jazakallaho khaira
18-05-2018

 

Similar threads


Top