Social Media Ka Istemaal Deeni Dawat mai


Faisal Shaikh

New member
*Dawat Dena Deen ki*

*Social Media Ke Isstemal karna*


*Dawat Dena Deen ki. Yeh Har Muslim ka Fazr hai*

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.
Zamaney ki qasam.
Beyshak (bil-yaqeen)insane sir ta sir nuqsan mein hay
Siwaey un logon ke jo imaan laey aur nek amal kiey aur(jinhon nay)apas mein haq ki waseeyat ki aur aik doosry ko sabr ki naseehat ki.

*(Surah Al Asr)*

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya

Mera Pegam Logo Ko Pocha do agar Vo Ak hi aayat kyu na ho.

*Sahi Bukhari 3461*


Hum Ko Qu'ran Or Hadees ke Roshni mai Pata Chalta hai ki. Agar Hum ak aayat kyu na ho agar Logo tak pocha te hai to Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ke Faman ke Mutabik aamal karte hai.
*Nabi Ki Sunnat hai Allah ka Hu Kum hai ki Hum Deen Ki Dawat de.

Agar ap Srif ak aayat hi Jaan te hai to To Usko Logo Tak Pocha do.



*Social Media Ke Isstemal karna*

Sawal Yeh aata hai ki Deen Ki Dawat hum Kaise de.
Agar aj Ka jo Zamana hai Vo Global Village hai Yani Sari Chiz Bhot Choti Ho chuki hai Or Sath hi Sath Allah ke Tofik se Aasan bhi ho gai hai.
Agar ap dekhe ki Sare Media jo hai. Un mai Sub se Best, Sasta Or Aasan Media Vo hai Social Media. Websites or Internet.

Aj Hamara Access jo hai Internet per Bhot Aasna hai Because of Mobiles Or laptop..

*Sach Kahu to Internet Social Media Computer Laptop Mobiles Bure Nahi hai Iss ka iss Use Acha ya Bura hai*

Misal dena chata hu. Hamare Sub ke Ghar mai Chaku (Nife hai) iss ka Isstemal Per Depend karta hai ki Kaise karre.
Agar kisi ki Jaan lena hai ya kisi ko Zakmi karna hai *To Bhot Galat honga*
Or Agar usse se Sabji (Vegetables Cut karna hai to uska use Different Honga or Acha honga)

Hum Kisi bhi Buniyad per Social Media's ko Bura to nahi khe sakte per Istemaal Acha ya bura Khe sakte hai.

*Deene Dawat mai Quran or hadees Ko Logo Tak Phochane mai Social Media Ka bhot acha or sahi istemaal kar sakte hai*



*Social Media Ka Isstemal Kaise karre*

*What's App*
Aj Sub se Jada Popular App What'sApp hai. Or Kafi jada Log Isse Jude hai. To Hum iss App ka Istemaal karke Hum Logo tak Deen Ki Bat pocha Sakte hai.

*Tereeqa*
*Status*
Rakh kar Hum bhi Qu'ran ki aayat ya fir Hadees ka status Photo Ya Vedio form mai rakh sakte hai

*Messages* karna. Koi bhi Message Hum ko Mill ta hai deen ka. To phele check karle kya vo Sahi hai hai or Agar ap ko Sahi lage to usko forword karre. Isse ap ko bhi sawab melenga.ya fir ap khud Message likh kar send kare

*FaceBook*

Yaha per large Number of Peoples tak ap ni bat pocha sakte hai. Facebook per ap Newsfeed Jo ki ap ke time Line per aati hai waha per koi Photo Vedio ya fir Koi text Share kar sakte hai ya Post kar sakte hai.

Facebook per bhi ap ko . Status ka option melenga. *ap jo bhi status What'sApp per share karre ho waha per hi ap ko option mill jata hai same Post Facebook per share karne ka.

Facebook per ap page bhi create kar sakte ho..

*Instagram*

Hum Iss Instagram ko bhi same photos Or vedios post karne use kar sakte hai or hum yaha per Page bhi create kar sakte hai.

*YouTube*

Yaha per ap ko Jada Option nahi mill ta hai per fir bhi agar ap koi page Create karte ho or waha per lslamic Vedios Upload karte ho. Yeh bhi Faida deta hai.

*Iss hi Tarah Blog Or Website*

Yaha per koi Content ya fir books Vedios. photos Sub Upload kar sakte ho...
Per aj ke Trend mai yaha per jada log visit nahi karte...



*Dawat Kis ko Phele de/ Kaha se shuru karre*

Sub se phele ap khud ki isslah karre Uske Ap ne Ghar wali ko dawat de deen ki. Yaha per bhi social media ka role aata hai. Un ko dawat dene mai.

6. يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قُوٓا۟ أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلْحِجَارَةُ عَلَيْهَا مَلَٰٓئِكَةٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا يَعْصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.
Aye imaan waalo! Tum apne aap ko aur apne ghar waalon ko uss aag se bachao jis ka endhan insaan hein aur patthar jis par sakht dil mazboot farishte muqarrar hein jinhen jo hukum Allah Ta'aalaa deta hai uss ki na farmani nahi karte balke jo hukum diya jaaye baja laatay hein.

*Surah Tahreem Aayat Number 6*

Ghar walo se Shuru karke hum ko. Hamare Rishtedaar Dost Basti Or Shehar tak. Hamara paigam dena honta. Hai..
Abhi Hum khud jaan te hai ki Aj ke halat ke Mutabik hum Insan ak dusre se Kafi Dur Hogai hai... *Abhi hum jada kisi se mill na or Waqt guzar ne ko Tarji nahi dete*

To Hum dawat dene mai iss hi Social media ka Isstemal kar sakte hai jiss ke influence ne hame ap no se Dur kiya..

Hamara Maksad Allah Or Uske Pyare Nabi SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ki Bat Sub logo tak Pochana hona chaiye. Himmat se Or beshak Isslah karne wala Or Hidayat dene wala Sirf or sirf Allah hai.

*Allah Hum ko bhi Hidayat aata karre Aameen*



*Daleel Se Bat Karre / Daleel Pesh Karna*


Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.
unn se kaho agar tum sachche ho to koi daleel to pesh karo.

*Surah Baqarah Aayat Number 111*

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِن جَآءَكُمْ فَاسِقٌۢ بِنَبَإٍ فَتَبَيَّنُوٓا۟ أَن تُصِيبُوا۟ قَوْمًۢا بِجَهَٰلَةٍ فَتُصْبِحُوا۟ عَلَىٰ مَا فَعَلْتُمْ نَٰدِمِينَ

Aye musalmano! Agar tumhen koi fasiq khabar de to tum uss ko achhi tarah tehqeeq kerlia karo aisa na ho ke nadaani mein kisi qaom ko eza pahoncha do phir apnay kiye par pasheymani uthao.

*Surah Al Hujuraat Aayat Number 06*

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya

Jo Koi bhi Muj Per Jut Bandega Jo Dozak mai Dalkhil Honga

*Sahi Bukhari Hadees Number 106*

Agar Hum ko Koi bhi Chiz Forward karni hai Ya Logo Tak Pochani hai. Deen Ki Dawat Dena Hai.
Iss chiz mai bhot Zaruri Yeh hai Ki *Ap ak Bar Check karle Ki Jo Bat mai Share karra hu. Ya khud Forward karra hu. *To kya vo sach hai*
Quran Or Nabi Ki Sunnat Se Sabit hai ya nahi.

Aj ke Dour mai Ap ko Koi bhi Chiz check karna bhot aasan, hogaya hai Quran Ka Apps hai Hadees ke Apps Hai waha per aap ko bus Number enter Karna hota hai. Or ap check kar sakte hai

*Yad Rakhna Har Bat Daleel ke Sath*


*Din ke Kam mai Kaise Aagre Bade Qu'ran se 3 Formulas*

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.
إِن يَنصُرْكُمُ ٱللَّهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمْ ۖ وَإِن يَخْذُلْكُمْ فَمَن ذَا ٱلَّذِى يَنصُرُكُم مِّنۢ بَعْدِهِۦ ۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ ٱلْمُؤْمِنُونَ

Agar Allah Ta'aalaa tumhari madad kare to tum par koi ghaalib nahi aa sakta aur agar woh tumhen chhor de to uss ke baad kaon hai jo tumhari madad kare? Imaan waalon ko Allah Ta'aalaa par hi bharosa rakhna chaahiye.

*Surah Al-mraan Aayat Number 160*

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.

وَٱلَّذِينَ جَٰهَدُوا۟ فِينَا لَنَهْدِيَنَّهُمْ سُبُلَنَا ۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَمَعَ ٱلْمُحْسِنِينَ

Aur jo log Hhamaari raah mein mushaqqaten bardasht karte hein Hum unhen apni raahen zaroor dikha denge. Yaqeenan Allah Ta'aalaa neko kaaron ka saathi hai.

*Surah Al Ankaboot Aayat Number 69*

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.

agar tum nahi jaante to ehl-e-ilm se daryaft karlo

*Surah Nahl Aayat Number 43*

In Aayat se Hame Pata chalta Hai ki.
*Sub se phele Hum ko Allah per Bharosa Rakhna hai*
*Fir Hard work karna hai*
*Or Last mai Experts se Ya Jaan ne wale se Iim Hasil karna hai*


Yeh Teen Formulas ap Kisi bhi Feild Mai Apply karo Sirf Deen mai nahi. To Zarur Ap ko Allah Kamiyab karenga.


*Allah Hum ko Iss Duniya mai Or Akhirat mai Kamyab karre*
Aameen.



*Ilm (Knowledge) Hasil karte Rehna. Or Sath hi Sath Dawat dena*

Deen Ki Dawat Dene mai Sub se Bada Role. To Ilm Ka Hota hai Jitna ap ke Pass, Ilm utna ache se Ap Dawat sakte hai.
Per Hum ko ak Bat Yeh bhi Dhan mai Rakh na Chaiye ki.
Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya

Mera Pegam Logo Ko Pocha do agar Vo Ak hi aayat kyu na ho.

*Sahi Bukhari 3461*

Yaha per ak Bat mai Yeh waza hat karna chata hu. Ki. *Agar Hum ko Ak Aayat bhi Pata hai to Usko Logo tak Pochana hamari zimmedaari Hai per Sath hi sath Hum ko Ilm bhi Sikh Te rehna hai..

Sub se phele aayat Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM per Nazil Hui vo..

اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّكَ الَّذِىۡ خَلَقَ‌ۚ‏

Parh apnay Rabb ke naam se jis nay paida kiya
*Surah Alaq Aayat Number 01*

Hum Dono Marhale Per balanced Rehna hai. Sub se phele Agar hum Thoda Ilm Kyu na Ho. Ak aayat ki kyu na pata ho to uski Dawat dena hai. Sath hi sath Ilm hasil karte Rehna hai.

Qu'ran ko samaj Kar pado. Nabi ki Sunnat ko Jaano Khud ap ne Zindagi mai Sunnat ko Zinda Karro Sath hi sath Logo tak iss Dawat Do.


*Dawat ke kam mai Taklif per sabr karna*

Yeh Duniya ka Dastoor hai Agar koi bhi Acha kam Shuru karte ho To Log ap ke Khilaf mai Hote hai.
Iss mai Koi Shak nahi.
Sare Nabi ke Mukhalif mai log Khade thy.

Waise hi ghar ap Deen ka Kam Shuru karte ho To Taklif Or Pareshaani aati hi Kyu ki Deen ki Dawat dena bhot Mushkil kam hai...

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM
Ne Bhot Takleef Uthaya iss Ummat ke Liye Shahaba Ne Be shumar Qurbani Di. .
Tab Ja kar Yeh Deen Mukamil Hum tak Pocha.

To Iss mai Koi Shak nahi ki Dawat ka Kam mushkil hai Per Agar Hum Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ki Sunnat Per aamal karre Allah ka Kam karre hai .
*To Beshak Allah hi Us ki Madat karenge Iss mai Koi Shak Hi nahi*

وَإِن يَمْسَسْكَ ٱللَّهُ بِضُرٍّ فَلَا كَاشِفَ لَهُۥٓ إِلَّا هُوَ ۖ وَإِن يُرِدْكَ بِخَيْرٍ فَلَا رَآدَّ لِفَضْلِهِۦ ۚ يُصِيبُ بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنْ عِبَادِهِۦ ۚ وَهُوَ ٱلْغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ

Aur agar tum ko Allah Ta'aalaa koi takleef pahonchaaye to ba-juz Uss ke aur koi uss ko door karne wala nahi hai, aur agar woh tum ko koi khair pahonchaana chaahe to Uss ke fazl ka koi hataney wala nahi, woh apna fazl apne bandon mein se jis par chaahe nichhawar karde aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.

*Chapter Number 10 verse number 107*

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ ۚ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

Aye imaan waalo! Sabr aur namaaz ke zariye madad chahao, Allah Ta'aalaa sabr karne waalon ka saath deta hai.

*Chapter Number 02 Verse Number 153*


Hum ko Chahiye ki Hum Sabar kare Agar Hum ko Koi bhi Taklif Pareshaani aati hai. To Allah se Madat talab karre. Aur agr mushkile aaye to use face kre bcoz Allah swt apne bande ko mushkil me daal kr uska sbr test krte hai aur agr uss bande ne sbr kiya aur Allah pr yakeen rakhta hai toh wo kamiyab ho gya

*It na Yaad Rakhe ki Allah Hum ko Iss ka Badla Zarur Denga*


*Dawat Dete hai Per Koi Sunta nahi*

hamesha Ya Aksar aaisa hota hai Ki Hum Deen Ki Dawat Dete hai Vedios Photos Hadith Quran ki aayat Share karte hai.
Lecture Books Bhot Kuch Share karte hai.
Samja Te hai Bhot Jada waqt Lagate hai. Per Hota Yeh hai Ki Sunnat Nahi. Samaj Ta nahi.
Namaz (Salah Pad Bole To Aata Aara Chalo aaya In Sha Allah)
To jo Dawat dete hai Vo Chod dete hai Bolna.
Dawat dena Aare Jaane de Nahi Sunta Nahi Dhan deta.

Aaisa Nahi karna hai Hum ko Hamara Deen Logo tak Srif Pochana hai. *Our Duity is To Deliver The Message*
Hidayat Dene Wala Allah hai.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Farmata Hai.

إِنَّكَ لَا تَهْدِى مَنْ أَحْبَبْتَ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَهْدِى مَن يَشَآءُ ۚ وَهُوَ أَعْلَمُ بِٱلْمُهْتَدِينَ

Aap jise chaahen hidaayat nahi kar sakte balke Allah Ta'aalaa hi jise chaahe hidaayat karta hai. Aur Woh hidaayat paane waalon ko khoob jaanta hai.

Humara Kam Deen ki Bat Un Tak Pochan hai. Bus Mana Nahi Mana Allah per Chodo.
Ap Ummeed mat haro.

*Yeh Topic ap ne ap Mai ak bhot Bada Topic hai. Allah Hum ko Hidayat aata karre Ameen*
Or Deen ki Samaj aata karre.

Mai ne Social Media Ko iss Mai Sub se Jada Target isliye kiya kyu ke Aj ke dour Mai. social Media per Log ap na Kimti waqt jada Spend karte hai.
Ap one Click Mai Bhot Logo tak pouch sakte hai...
Yeh Ak Tara Ka Global Village hai.
Hum ki Iss Communication Media ka Istemaal Deen ke Kam Mai Allah ke Raza ke Liye Karna
Hai Beshak Allah Bhetarin Badala Dene wala hai.
 

Similar threads


Top