NASEER KHAN

New member
Assalamo Alykum Warehmatullah, Mera Ek Aham Sawl hai ke Agar Kisi Khatoon Zina Kare aur Ussay Hamal ho Jaye to Usi Zinakari se Nikah Jayez hogi aur Wo hamal se Jo Bacha Paida hoga Wo Halal hoga❓ aur Us Bachche ki Nisbat Kiski hogi❓

Bara Meherbani Jawab Asan Roman Urdu me Quran-o-Sunnat ki Roshni me humari Rehnumayi farmaye.
Jajak Allah Khairan.
 
Last edited:

Umar Asari

Administrator
Staff member
Assalamo Alykum Warehmatullah, Mera Ek Aham Sawl hai ke Agar Kisi Khatoon Zina Kare aur Ussay Hamal ho Jaye to Usi Zinakari se Nikah Jayez hogi aur Wo hamal se Jo Bacha Paida hoga Wo Halal hoga❓ aur Us Bachche ki Nisbat Kiski hogi❓

Bara Meherbani Jawab Asan Roman Urdu me Quran-o-Sunnat ki Roshni me humari Rehnumayi farmaye.
Jajak Allah Khairan.
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Ek momin deendaar aur paak daaman aurat se shaadi karta hai lehaza kisi momin ke liye jaaiz nahi ke woh zaniyah aurat se nikah kare. Allah Ta’ala ka farmaan hai:
الزَّانِي لَا يَنكِحُ إِلَّا زَانِيَةً أَوْ مُشْرِكَةً وَالزَّانِيَةُ لَا يَنكِحُهَا إِلَّا زَانٍ أَوْ مُشْرِكٌ ۚ وَحُرِّمَ ذَٰلِكَ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ​
Tarjumah: Badkaar mard siwaaye zaniyah ya mushrikah aurat ke kisi (paak baaz aurat) se nikah nahi kar sakta aur badkaar aurat ko bhi badkaar ya mushrik mard ke siwa aur koi nikah mein nahi laata aur yeh (badkaar aurat se nikah karna) mominon par haraam hai.
(Surah An-Noor: 3)

Is Aayat se ma’loom hota hai ke zaniyah se zaani shaadi karta hai, momin ke liye jaaiz nahi ke woh zaniyah se nikah kare. Aur doosri baat yeh hai ke hamal ki haalat mein kisi aurat se nikah nahi ho sakta hai yani hamal mein shaadi karna mana’ hai kiunki talaaq, khula’ aur wafaat mein hamal ki iddat bayan ki gayi hai taake istebraa-e-rahem ho jaaye. Allah Ta’ala ka farmaan hai:
وَأُولَاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَن يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ​
Tarjumah: Aur jo hamal waali hain un ki iddat yeh hai ke woh apna hamal waza kar den.
(Surah At-Talaq: 4)

Mazkoorah baaton ka khulaasa yeh huwa ke
ek momin zaniyah se nikah nahi kar sakta hai aur zaniyah agar hamal se ho to iddat mein hone ki wajah se waise bhi us ke saath nikah jaaiz nahi hai. Han agar zaniyah apne gunaahon par sharmindah aur nadim ho kar sachche dil se taubah kar le to Allah Ta’ala taubah ke sabab bade se bade gunaah ko mu’aaf kar deta hai. Sachchi taubah ke baad jab hamal waza ho jaaye yani bachcha paida ho jaaye tab us aurat se nikah karna jaaiz hoga.
Raha zina ke nateeje mein paida hone waale bachche ka halaal hone aur us ki nisbat ka masla to agarche bachche ko shar’ee istilaah (term) mein walad-uz-zina kaha jaata hai magar us bachche ka koi qusoor nahi hai, zaani aur zaniyah ke jurm ka kuch bhi hissah us bachche par nahi hai, Allah Ta’ala ka farmaan hai:
وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَى​
Tarjumah: Aur koi kisi doosre ka boojh nahi uthaayega.
(Surah Al-An’aam: 164)

Is liye woh bachcha haisiyat ke aitbaar se musalmaanon ke aam bachchon jaisa hi hai, woh bhi taqwa ki bunyaad par Allah ke yahan muqarrab ho sakta hai aur jannat mein daakhil ho sakta hai.
Aur jahan tak nisbat ka mu’aamla hai to choonke walad-uz-zina ka zaani se nasab saabit nahi hai is liye bachche ki nisbat zaani ki taraf nahi ho sakti hai, maa ki taraf nisbat hogi aur us bachche ko fulanah ka beta kaha jaayega yani fulaan aurat ka beta.
Wallahu A’lam Bis-Sawaab
Jawaab By: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
 
[/QUOTE
 
Top